Hawa hai ifsha yeh raaz mujh par, sabab hai kya dil ki be kalli ka Na jane kis din milega, mauqa jawar-e-rahmat mein hazri ka Unhein ki nisbat se ho raha hai yeh dar bhi wa ilm-o-aagahi ka Hayat jin ki hai dars-e-ilfaz, sabq hai eethar-o-bandagi ka Ghuroor hai jis ko maal o zar par, woh jis ko hai zame khisrovi ka Kabhi to un ki gali mein jaye, maza to chakhay gadaagari ka Ramooz-e-haq ke wahi hain mahram, payam-e-haq hain wahi majsam Wahi mukarram, wahi moazzam, hai un pe eimaan har ummati ka Kamaal-e-khallaq zaat un ki, razaaye razaq baat un ki Har ek jehat se hayat un ki nisaab-e-kaamil hai muttaqi ka Saba se koi to aaj keh de, naweed-e-shehr-e-jameel la de Wagarna gulzar-e-dil mein ab to har ek gul ka hai rang pheeka Kalaam-e-tafreeq-e-haq o baatil, kya jahan ne unhein se hasil Hain jab wahi rehnuma manzil to phir kisay khof gumrahi ka? Hazoor-e-wala ki shaan-e-aqdas ka tazkira agar na ho 'nadaan' Na guftagu ka hai koi maqool, na koi maqsad hai shairi ka *Rajiyu Nadaan* Is shandar naat ke khaliq hindu hain. Chhabees saal se America mein moqeem hain jahan unhein har roz urdu bolne ka moqa nahi milta. Un ki madri zaban Telugu hai aur aaj tak yeh ghar mein sirf Telugu bolte hain. Un ki maashri zaban Angrezi hai jab ke un ki ikhtiyari zaban urdu hai jo woh guzishta bees saal se intehai diljama'i balke junoon se seekh rahe hain. Un ka takhallus Nadaan hai ummeed hai qareen na sirf naat se balke unki urdu dosti se bhi mutasir honge.