Behriyah Town Pakistan ki aik badi tameerati scheme hai. Islamabad aur Lahore ke baad Karachi mein is ke projects ka aghaz hua jis mein hazaron logon ne bhari munafa ki umeed par sarmaya kari ki. Mein kuch arsa qabl aik azeez dost se milne un ke ghar Behriyah Town gaya to unho ne mujhe is poore ilaqe ko tafseel ke sath dikhaya. Doran guftagu unho ne bataya ke yahan pehle jo plots saste mil rahe the woh ab bohot mehenge ho rahe hain. Un ki baat sun kar mujhe aik khayal aya. Woh ye ke Behriyah Town ke malik Malik Riaz ke paas koi aam shakhs chala jaye to woh usey free mein bilkul koi plot nahi denge. Koi bhi ye kaam nahi kare ga. Balkay aik bara karobari shakhs kisi mamooli shakhs se milne se bhi inkar karde ga. Koi yeh ke apne karobar mein se aik plot usey muft mein de de. Magar is duniya mein Allah Ta'ala ki hasti woh wahid hasti hai ke koi bhi shakhs munh utha kar un ke paas ja sakta hai. Din raat kisi bhi waqt ja sakta hai. Woh muflis aur qalash hone ke bawajood bhi poore itminan aur aitemad ke sath un se un ki besh qeemat jannat muft mein maang sakta hai. Is yaqeen ke sath ke usey ye jannat mil jayegi. Usey ja kar sirf ye kehna hoga ke malik suna hai aap ki jannat mein plot mil rahe hain. Mein ne is jannat ko nahi dekha lekin yaqeen hai ke kehne wale ne bilkul sach kaha hai. Mere paas koi sarmaya nahi, sirf ye yaqeen hai ke aap jannat ke malik hain aur mein jannat ke baghair reh nahi sakta. Mein dil se har tasub aur ghair Allah se har umeed khatam kar ke aap ke paas aya hoon. Meri sun lijie. Bakhuda ye yaqeen itni badi cheez hai ke agle lamhe insaan ke liye jannat ka faisla ho jayega. Jannat ki shart agar amal saleh hai to is ki taufeeq bhi is yaqeen aur iman ke sale mein de di jayegi. Yehi sakhaawat Allah Ta'ala ko malik al samawat wal arz banati hai. Magar afsos ke Malik Riaz ke Behriyah Town mein sarmaya kari karne wale bohot hain. Malik al samawat wal arz se mangne wale kam hain.