raat ke das baj chuke thay. ek student ka phone aya. usne kaha, sir, please mere abu se baat karein. maine kaha, kya baat? usne kaha ke sir aap ko to maloom hi hai ke aaj kal O level ke imtehanat ho rahe hain. aur kal mera Islamiyat ka paper hai. lekin mere abu mujhe Islamiyat revise nahi karne de rahe hain. woh keh rahe hain ke physics parho, physics. kyun waqt zaya kar rahe ho. do din baad physics ka paper hai. use revise karo. Islamiyat bhi koi parhne ki cheez hai? yeh phone sunne ke baad main mobile haath mein letey kitni der sochta raha gaya ke is paidaishi musalman se kaise aur kyun baat karon? maine school mein bachon ke liye Quran Majeed ke tarjume ki class shuru kar rakhi hai. jiska maqsad unmein yeh salahiyat peda karna hai ke woh baghair grammar ke uljhanon mein parhe Quran ka mafhoom thora bohot samajh saken. is ke liye unhein alfaaz yaad karwaye jate hain aur yeh kaam haftay mein do baar, sirf 15, 15 minute ke liye hota hai. is ke liye main unhein chhoti surten lafzan lafzan tarjuma kar ke photo copy karake deta hoon aur unhein kehta hoon ke woh ghar mein rozana sirf paanch minute issay dhoorha lein. mere paas dasvi class ke bachay aaye aur kehne lage ke sir please humein yeh photo copy na diya karein balkay email kar diya karein, hum computer pe parh lein ge. maine kaha is ki wajah? woh kehne lage ke sir, jab hum yeh parhte hain to agar hamare walidain dekh lein to humein daant te hain ke kyun waqt zaya karte ho. chemistry aur maths parho, Quran bhi koi seekhne aur parhne ki cheez hai? ek parhi likhi tez taraar khatoon walidain ki meeting ke din school aayi aur mujhe kehne lagi ke aakhir aap log Islamiyat parha kar bachon ka waqt kyun zaya karte hain. agar yehi waqt woh baqi mazameen ko dein to kitna behtar result aaye. main hairani se uski taraf dekh raha tha. usne mazeed kaha ke aap ko to maloom hi hai ke 'Alif' ke abu flan deeni jamat ke baqaid hain aur woh zamana taleem mein bohot hi mutharrik thay. unhone sare tafaseer parh rakhi hain aur usne kaha ke main khud bhi university mein tamam deeni mahaafil mein jati rahi thi aise mein 'Alif' ko Islamiyat parhne ki aakhir kiya zaroorat hai. main khamoshi aur tasaf se uske dalail sun raha tha aur soch raha tha ke is khatoon ne yeh kyun nahi kaha ke main aur mera khawand rozana khana khaate hain aise mein hamare bete ko khane ki kya zaroorat hai? yeh to hamare invidual aur khandani rawayon ki ek jhalak thi ab aate hain idaron ke rawayye ki taraf. Doctor Abdul Razzaq (marhoom) mujhe ek university ke Vice Chancellor ke paas le kar gaye. Vice Chancellor sahab university ke Fine Arts department ke liye Islamiyat ka syllabus tarteeb dilwana chahte thay aur Doctor sahab ki khwahish thi ke main unka ye kaam kar doon. unhone mujhe ek haftay ka time diya. ek haftay ke baad dobara meeting hui jismein ahem professors bhi shamil thay. maine syllabus ka khaka pesh kiya. sab ne ek zabaan kaha its too much. Vice Chancellor sahab ne kaha janab hum haftay mein sirf ek period dena chahte hain jabke mera khaka haftay mein do period ke liye tha. maine arz kiya ke maine khud hi bohot kam rakha hai, itna to har musalman ko janana hi chahiye. unhone kaha yeh mumkin nahi, ise aur kam karein. maine kaha aur kam karna mere liye mumkin nahi. aur un se arz kiya ke agar aap is kam se kam pe bhi raazi nahi to aakhir aap yeh takleef kyun kar rahe hain? Vice Chancellor sahab hans diye aur kehne lage janab, na hamare talib ilm padhna chahte hain na hum padhana chahte hain, yeh to asal meinN ichi AC ka tawaqqa hai jise poora karna zaroori hai warna degree valid nahi hogi. Bas aap formality poora kar den. Main maazrat kar ke uth aaya lekin wahi formality behrhal unho ne kahin aur se poora karwa li. Yeh university ek commercial qisam ka idara hai aise tijarati taleemi idaray se to hamein koi gilah nahi lekin woh idaray jin ki wajah tasis hi deen aur dini uloom ka ahiya tha aur woh idaray jo amooman apne naam ke sath Islami qisam ka sabiqa ya laiqa lagana pasand karte hain. Unka haal bhi mashallah yeh hai ke wahan bhi pehle darjah hamesha maths, physics, chemistry aur English ko hasil rahe ga. Darjah doosra Urdu, Economics jaise mazameen ka ho ga, darjah teesra mutala Pakistan aur muashrati uloom ka aur darjah choutha Islamiyat ka ho ga. Yeh ek khamosh tarteeb hai jis par tamam taleemi idaroon ka skooti ijmah ho gaya hai aur is ke mutabiq woh un mazameen aur un mazameen ke ustaaz se sulook karte hain. Jis ka natija yeh hai ke un idaray se doctor, engineer aur science daan to peda ho rahe hain lekin ''insaan'' nahi peda ho rahe. Insaan ko insani muashrati aur dini uloom banate hain lekin main ne apne tadreesi career mein kabhi nahi dekha ke kabhi kisi idaray ke intizami buzurgamhar is baat pe sar jor ke bethe hon ke hamare bachay das bara saal school mein Quran aur Islamiyat parhte hain lekin aakhir woh is qabil kyun nahi hote ke Quran sahih parh saken ya samajh saken ya dini masaail se kamaharqa agahi hasil kar saken aur unhein zindagi mein nafiz kar saken. Is ke baraks agar English bolne mein koi kami aajaye ya maths physics ka result namanzoor aajaye to dorain lag jati hain, meetings pe meetings hoti hain, ek halchal hai jo barpa ho jati hai aur aakhir kharabi talash kar li jati hai aur is ki asal kar di jati hai. Isi liye mujhe yaqeen hai ke agar aaj hukumat yeh ilan kare ke tamam muashrati aur dini uloom ke mazameen khatam kiye ja rahe hain to shayad thor abehat ihtijaj ho ga, do chaar din awazain uthengi aur phir khamoshi chha jaye gi lekin agar yeh ilan kiya jaye ke tamam medical colleges aur engineering universities band ki ja rahi hain to ek toofan hai jo barpa ho jaye ga aur jab tak yeh idaray bahal nahi ho jayenge to qaum chain se na baithay gi. Is ki wajah yeh hai ke hum infiradi aur ijtimaai tor par in tamam sciences ko apni aur apne bachon ki zarurat samajhte hain. Jabkeh deen aur dini uloom ko zarurat nahi balkay tabarruk, taqaddus aur tawassul ka zariya samajhte hain. Insaan hamesha apni zaruraton ko pura karne ke liye tajawuz aur jidd o jahad karta hai. Tabarruk, taqaddus hasil ho jaye to achi baat hai lekin yeh koi aisi zarurat nahi ke is ke liye tan man dhan lagadia jaye. Tareekh aur hamare rawaye yeh batate hain ke Islami mulkon ne makhaz formality poora karne ke liye Islamiyat ko lazim qarar diya hai jabkeh hum ne makhaz tabarrukan is ka libada odh rakha hai. Hamare is infiradi aur ijtimaai rawaye ka natija hai ke aaj dini ilm ka shuba aam tor par majburon, maazuron, nadaron, ghareebon aur yateemon ke supurd ho kar reh gaya hai aur is ka lazmi asar hai ke deen bhesiat majmooi bhi musalman muashroon mein yateem ho kar reh gaya hai. Pedaisi musalmanon aur mulkon ka masla hi yeh hai ke un ka talluq dunya se to tan man dhan aur zarurat ka hota hai jabkeh deen ya dini ilm se un ka rishta makhaz tabarruk, taqaddus, tawassul, rasam, rawaj aur ek formality se ziada nahi hota. Jab ke haqeeqat yeh hai ke jab tak hum deen aur dini uloom se apna talluq zarurat ke darje mein qaaim nahi karte hamare suchay aur achay musalman hone ka dawa makhaz dawa hi rahe ga. Aur Allah ke huzoor khare ho kar is daway ka saboot faraham karna shayad hamare liye mumkin na ho ga. Abhi waqt hai ke hum deen aur dini uloom ko apni zarurat banalain ta ke zarurat ke waqt yeh hamare kaam aayen. Aisa na ho ke jab hamen انIlm ke zaroorat hone ka ehsaas ho to waqt bohat aage nikal chuka hai aur hum bohat peechay reh chuke hain.