Sana-e Khwaja mein ae zehn! Koi mazmoon soch Janab! Wadi-e hairat mein gum hoon, kya sochon! Zubaan! Marhalah-e madh pesh hai, kuch bol Mijaal-e harf-e zadan hi nahin hai kya bolun? Qalam! Bayaz-e aqeedat mein koi misra likh Baja kaha, sar-e tasleem kham hai kya likhoon? Shaoor! Un ke maqam-e paimberi ko samajh Mein qaid had mein hoon woh be karaan mein kya samjhoon? Khird! Baqadr-e rasaai tu un ke ilm ko jaan Mein na rasaai ka nuqta hoon unko kya jaanoon? Khayal! Gunbad-e khizr ki simt udhar khul Yeh mein hoon aur yeh mere baal o par hain, kya kholoon? Talab medine chale nekiyon ke daftar bandh Yahan yeh rukht-e safar hi nahin hai kya bandhoon? Nigah dekh! ke hai roobar diyaar-e Jamal Hai zara zara yahan aftaab, kya dekhoon? Dil! Un se harf-e dua, shewa-e tamanna maang Bila sawaal woh daaman bharain to kya mangaun? Hazoor! Ajz-e byan ko byan samajh lejiye Tehi hai daaman-e fan, aastaan pe kya laaun?