Jo bhi mumkin hain aur jo hain na mumkinat Manhsoor us ki marzi pe har ek baat Sari tareefon ki mustahiq ek zat Jis ne takhleeq ki hai ye kul kaainat Sari tanzeem o taqweem o tansibaat Ye zamanay ke adwaar, din aur raat Ye tagheer, tabdil, sukoon o sabat Manhsoor us ki marzi pe har ek baat Har qawi us ke aagey zaeef o haqeer Wo hi bakhshay hai toqeer ya tahqeer Kuch na kaam aaskein ge ye peer o faqeer Inna allaha 'ala kulli shayin qadeer Mojzay hoon, karamat ya bayaanat Manhsoor us ki marzi pe har ek baat Hai ye insaan takhleeq ka shaahkaar Use izn o amal ka mila ikhtiyaar Hai nataij ka Allah par inhtisar Wo hi malik o khaliq o parwardigaar Us ke aagey hai bande ki kya auqaat Manhsoor us ki marzi pe har ek baatcenter;"> *** Jin ko hasil hui hai mata-e-ghuroor, wo samajh bethe Allah se hain door door Kitne nadaan hain, un ko nahi hai shaoor, inn Allah Aleem bi zat-e-sudoor Tod dijiye yeh bataaye laat o maat, manhusr us ki marzi pe har ek baat *** Wo hai Wahid, Ahad, La Sharika lahu, us ka hi zikr hai raat din chaar sau Bagh-e-aalam mein jo bhi hai taaza numoo, aur wo phool jo kho chuke rang o boo Us ke qabze mein hai sab hayat o mamat, manhusr us ki marzi pe har ek baat ***