Hamare mohtaram dost aur karam farma janab Muhammad Islam ne ye tasurat humein das saalah number ke liye likh kar diye the. Magar sahuwa, is shumare mein shamil hone se rah gaye. Is ke liye hum Islam sahib se maazrat khawah hain aur un ki qeemti raaye ko is shumare ka hissa bana rahe hain. (Idara) Kisi ne bilkul theek kaha hai ke waqt aur umar guzarte der nahi lagti. Abhi kal ki hi baat lagti hai ke soaye haram, ka silsila shuru hoa aur aaj us ke safar ko das saal guzar gaye. Aur is arse mein soaye haram ek nanhe poday se kab ek shajar saya daar ban gaya pata hi nahi chala. Meri maloomat ke mutabiq soaye haram khalis bilanfa wa nuqsaan (No Profit - No Loss) ki bunyad par chal raha hai aur is se kisi ka koi maali mufaad wabasta nahi. Is liye maadiyat ke is dor mein janab Bukhari sahib ne jis lagan aur shoq se is deeni farz ko jaari o saari rakha hai wo qabil e tareef hai. Aur sath sath Bukhari sahib ki puri family ne jo be lout apna qeemti waqt waqf kar rakha hai us ki tareef na karna bhi ziadti hogi. Soaye haram is phal daar darakht ki manind hai jis par mukhtalif aqsam ke phal lagte hain aur har bandah apne apne zaiqay aur pasand ke hisaab se us ka phal pasand karta hai. Is liye mere haathon mein jaise hi soaye haram ka shumara aata hai mein sab se pehle 'Awaz-e-Dost' parhta hoon. Kyunki janab Bukhari sahib is mein jo bhi likhte hain dil se likhte hain aur dil se nikli hui baat hamesha asar rakhti hai. Soaye haram ka Noor-ul-Quran wala silsila haqeeqatan apni misaal aap hai kyunki is se qari ko ek hi jagah mukhtalif tarajim aur tafaseer mil jati hain. Wo un ka aaps mein moawazna bhi kar sakta hai. Aur apni chahat aur pasand ke mutabiq jis ko bhi parhna chahe parh bhi sakta hai. Is ke ilawa mukhtalif ulema-e-karam se 'Sawal o Jawab' ka silsila aur 'Main Kaise Musalman Hua' bohat achi kaawashain hain aur is se parhne wale ko bohat kuch seekhne ka moqa milta hai. Aakhir mein, mein dua go hoon ke soaye haram din dugni raat chugni taraqqi kare aur is ki aabiyari mein jis jis ne bhi apni basat ke mutabiq hissa dala hai Allah tabarak wa ta'ala us ko jaza-e-khair de aur us kaawish ko us ki maghfirat ka zariya banaye, Ameen. Dua go Soaye Haram ka ek adna qari Muhammad Islam, Production Planning Department Century Paper and Board Mills