Main 'Mercy Clinic' par story ke liye ghar se nikla tha ke maghribi uttar Pradesh ke Meerut sheher mein meri mulaqat Ayvi Singh aur unki munh boli beti Bhoomika se hui. Ayvi apne hi ghar mein ek chhota sa school chalati hain. Bachon ke chehkne ki awaaz dopahar tak to ghar mein goonjti rehti hai, phir khamoshi cha jati hai. Ayvi Singh ki kahani Is ghar mein ek aisa shakhs bhi rehta hai jiski ghair mamooli kahani Mercy Clinic par pehle se hi pechida bahas ko aur uljha deti hai. Is khubsurat shakhs ka naam Ayvi Singh hai. Jawani ki tasweeren dekhne to kisi film star se kam nahi. Lekin ye 25 saal pehle ki baat hai. Wo Bharati bahriya mein mulazim the. Ayvi se shadi ke sirf chand mah baad chhutiyo ke liye ghar laut rahe the ke unki motorcycle hadse ka shikar ho gayi. Dimagh mein chot lagi, aur unki zindagi hamesha ke liye badal gayi. Ab wo na bol sakte hain, na khud kha sakte hain, na chal sakte hain aur na dactron ke mutabiq unki sehat yaabi ka koi imkaan hai. 25 saal se wo bistar par pade hain, naak mein ek tube lagi hui hai, khane ke liye wo is tube ka aur khilane ke liye Ayvi ka sahara lete hain. Ayvi Singh ki kahani 'Mere walidain hamesha yeh hi sikhate the ke jis se shadi ho rahi hai uske gham aur uski takleef mein shareek rehna' in 25 barson mein unki har zarurat Ayvi Singh ne hi poori ki hai. Umra takreeban 48 saal. Shadi ke waqt Ayvi ne jawani mein qadam rakha hi tha ke uski zindagi bhi hamesha ke liye badal gayi. 'Hum sirf chhe saat mahine hi saath rahe, wo bhi lagatar nahi kyunke Ayvi ki naukri hi kuch aisi thi aur phir ye hadsa hogaya...tab se meri zindagi Ayvi ki dekh bhaal mein hi guzri hai.' Jis kamre mein Ayvi apni zindagi guzar rahe hain, wo kisi hospital ke kamre se kam nahi hai. Ek almari dawaiyon se bhari hui hai, is mein zaroorat ka tamam samaan maujood hai, injection ki syringe se lekar 'nebulizer' ki tube tak. Ayvi khud ek tarbiyat yafta nurse se kam nahi hain. Main jhijakate hue unse wo do sawal pooch hi leta hoon jo mere dil mein to hain lekin zabaan par aasani se nahi aate: Kya aapne Ayvi ko chhod kar kabhi doosri shadi karne ke baare mein nahi socha? Aur aapne apni zindagi to Ayvi ko zinda rakhne mein guzaar di lekin wo kya haalaat honge jin mein aap bhi 'Mercy Clinic' ya be izat maut ki himayat kar sakti hain? 'Agar koi insaan coma mein hota hai yaani poori tarah be hosh, aur uski family ke paas itna paisa bhi nahi hai ke uski dekh bhaal kar sake to phir ye kya ja sakta hai kyunke use to kuch maaloom hi nahi...aur haan maine dobara shadi ke baare mein socha tha lekin meri ek shart thi ke meri zindagi mein jo bhi doosra shakhs aaye usse Ayvi ko bhi qubool karna hoga!' Ayvi Singh ki zindagi mein koi doosra shakhs to nahi aaya: lekin Ayvi kehti hain ke 'bemar koi jaan boojh kar to hota nahi, shayad ye hi meri taqdeer thi, mere walidain hamesha yeh hi sikhate the ke jis se shadi ho rahi hai uske gham aur uski takleef mein shareek rehna.' lekin das baras pehle unhone ek bachi ko godh lene ka faisla kiya.ir="RTL" style="text-align: center;">Bhumika ki kahani Das baras pehle Ayu Singh ne Bhumika ko god lenay ka faisla kia tha. Bhumika ek yateem khane mein pal rahi thi: 'Mujhe beti hi chahiye thi, main use ghar le aayi. Ab Bhumika ki umar das gyarah saal hai. School se lotte hi woh Anand Singh ke saath khel mein lag jaati hai. Munh kholo, munh band... bolo ae, be, se... kya sab cheezein ek hi tarah bolo ge...!' Mujhe Anand ki be jaan aankhon mein thodi chamak nazar aati hai. Woh galey se kuch awaaz to nikalne ki koshish karte hain lekin shayad us ka matlab Ayu aur Bhumika hi samajh sakte hain. Bhumika bhi ab poori phurti ke saath woh saare kaam karti hai jo 25 barson se Ayu karti aayi hain. Iss bachi ne apni zindagi ka raasta abhi se tay kar rakha hai, bade ho kar woh doctor banna chahti hai. Ayu aur nanni Bhumika ne Anand ko zinda rakha hai: 'Unhe kuch dino ke liye hospital mein dakhil karana pada to ghar bilkul sona hogaya... lekin mere zehan mein yeh sawal uthata hai ke jo mohabbat aur jo dekh bhaal Anand ko mili hai, woh doosre kitne logon ko mil paati hogi? Kitne log apni zindagi iss tarah qurbaan karne ka jazba rakhte honge aur agar mareez ke theek hone ka koi imkaan nah ho to kya unhe yeh qurbaani deni bhi chahiye?' Yeh hi bahas aaj kal Hindustan mein chal rahi hai. Kya zindagi ke haq mein maut ka haq bhi mazmir hai? Kin halat mein insaan ko apni zindagi khatam karne ka ikhtiyar hasil hona chahiye? Zindagi ka malik kaun hai aur yeh mushkil faisla karne ka majaz kaun? Yeh zindagi aur maut ka sawal hai. Zindagi kab zinda rehne laaik nahin rehti, iss pechida sawal ka koi asaan jawab nahin hai. (BBC 27 August 2014) (Iss pechide sawal ka jawab sirf sucha aasmani mazhab hi de sakta hai)