Is waqt dunya ki tijarat par 50 badi companies qabza hain. Ye agar chahain to puri dunya ki bijli band kar dein, telephone ka nizam jam kar dein, dunia bhar ki traffic khari reh jaye, khoraak band kar dein aur jab chahain bankon ko deewalia kar dein. Magar afsos ki baat ye hai ke in mein se aik company bhi musalmanon ki nahi hai. In mein se 43 ka talluq America se hai, 3 companies Japan, aik Holland, aik Switzerland, aik Britain aur aik ka talluq Singapore se hai. Ye companies is waqt dunya ki 70 se 75 percent daulat ki malik hain. In mein se sab se ghareeb company "Sui Tomo Life" hai jo 37 hazaar 5 sau 35 million dollar ke assests ki malik hai. Ye assests Pakistan ke budget se 3 guna zyada hain. Dunya ki das badi munafa kamane wali companies mein 8 American hain aur dunia mein sab se zyada munafa kamane wali Holland ki company "Shell" hai. Ye saalana 10.8 billion dollar kamati hai. Aap dunya ke tamam taraqqi yafta mumalik par nazar doraiye. Phir ye dekhiye ke in mumalik ki multinational companies kitni hain? Aap hairat zadah reh jayenge ke dunya ke tamam taraqqi yafta mumalik apni multinational companies ki badolat hi maashi jin banaye hue hain. Ab zara tasveer ka doosra rukh bhi dekhiye. Is waqt dunia mein tail peda karne wale 11 bade mumalik hain. In mein se das mumalik musalman hain. Is ka matlab hai ke dunya mein sab se zyada tail balkay taqreeban sara tail hi musalmanon ke paas hai. Magar ye Islami mumalik tail jaisi daulat ke bawajood bhi ghareeb, badhaal aur maghrib ke dast nagar hain. Is ki sab se badi wajah ye hai ke musalmanon ki koi badi multinational company nahi hai. 58 Islami mumalik ke paas koi aik bhi tail nikaalne wali company nahi hai. Is waqt sirf America ki 20 se zyada aisi companies hain jo Islami mumalik se tail nikaal rahi hain. Ab sawal ye hai ke aalam-e-Islam maashi tangdasti se kaise nikle? Islami Jamhooria Pakistan ko maashi diw banane mein aik tajir ka kirdar kya hai? Is ka jawab aalam-e-Islam ke azeem mufakkir Maulana Abul Hasan Ali Nadwi dete hain: "Jab tak aalam-e-Islam ilm o siyasat, sanat o tijarat mein maghrib ka mukhtaaj rahega, maghrib us ka khoon chusta rahega, usi ki zameen ka ab-e-hayat nikaalega, us ka samaan tijarat aur masnoaat lootega, har roz us ki mandiyan, bazaaron aur jebon par chhaape marega aur us ki har cheez par haath saaf karta rahega. Jab tak aalam-e-Islam maghrib se qarz leta rahega aur apni hukumat ka intizaam karne, ahem aur khalidi ahdoun ko por karne, apni fauj ko training dene ke liye maghrib ke aadmiyon ka rehan menat rahega, wahan ka samaan tijarat o sanat mangwayega, aur us ko apna ustaad, murabbi aur sarparast hakim aur sardar samjhega, us ke hukm aur us ki raaye ke baghair koi kaam nahi karega, is waqt tak maghrib khud ko hakim aur sardar samjhega, is waqt tak aalam-e-Islam, maghrib se muqabla karna to darna us se ankhain bhi nahi mila sakta. Ye ilmi aur sanati zindagi ka wo shoba tha jis ke bare mein aalam-e-Islami ne ahd-e-maazi mein kotasahi se kaam liya aur jis ki tazire mein us ko taweel aur zaleel zindagi ka maza chakhna pada aur us par maghribi qayadat aur sardari masalat ki gayi jis ne dunia mein tabahi o ghairat gari, qatal o khoon rezi aur khudkushi barpa ki. Ab agar is moqa par bhi aalam-e-Islam ne ilmi o sanati tayyari aur apni zindagi ke mamlaat mein azadi ke bare mein ghafalat barti aur us marhala bhi us se ye chok ho gayi to dunya ki taqdeer mein bad naseebi aur shiqwaat likh di jayegi aur insaniyat ke ibtila ki muddat aur taweel ho jayegi." (Dunya par musalmanon keUrooj aur zawaal ka asar So, musalman tajir mulk, millat aur aalim Islam ki khairkhwaahi ka jazba le kar aage barhe. Apni tadbeer se musalman ummah ki taqdeer badalne ka faisla kare. Woh din door nahi jab musalmanon ka maashi ghulam wujood mein aajayega.