Motapa aur is ka sada baba: Woh log jo motay hain aur dublay hona chahte hain woh apne jism ki falto charbi ko tehqiq kardain aur is ke liye sab se ahem sabziyan, leemo aur khatti ashya khaana hai. Beenaai tez hojayegi: Sauf barabar miqdaar mein shakkar ke hamrah milakar raat ko khatay rehne se beenai tez hojati hai. Kaano ke dard ka asaan ilaaj: Roghan gul aur sirka barabar miqdaar mein pakakar kaanon mein daalen, kaan ka dard fori door hojayega. Safed pyaaz ka arq aur murghi ke anday ki safedi dono hambal lein aur un ke chand qatre kaan mein daalen, kaan ke dard ko be had afaqa hoga. Mooli ke patte lein aur un ka teen chhatank paani nikaal lein dono ko is qadar aag par pakaayen ke woh jal jaye isay neem garam kaan mein daalen, kaan dard aur warm foran khatam hojayega. Anday ki safedi aur roghan gul hambal le kar milayen aur unhein kaan mein daalen. Behraapan khatam hojayega. Aawaz baith jaye to usay khol lein: Purane jolein aur unhen bhun lein, das gram ki miqdaar mein yeh chand bar khaayen, aap ki baithi hui aawaz khul jayegi. Behraapan door kijiye: Ek gram noshadar lein aur usay paani mein milakar us ko kaan mein hasb-e-zaroorat daalen. Kaan ka behraapan kuch hi arse ke musalsal istemal se khatam hojayega. Balghami khansi aur dama ke liye: Tambaku ki jaleethi ko dobara aag par rakh kar is qadar jalaayen ke us ka rang safaid nikal aaye. Usay paani mein dourtay rakh kar khatay rehain, balghami khansi aur dama hamesha ke liye door hojayega. 4 gram arq gao zaban lein. Is mein cheeni milakar pi lein. Purani khansi ke liye mujarrab hai. Manqi aur is se do guni miqdaar mein cheeni aur maghaz badam le kar unhein bareek pees lein. Subah o sham chhe gram khatay rehain, har qisam ki khansi khatam hojayegi. 20 gram gandum ko paani mein josh dein aur is paani ko chaan lein, is mein ek gram namak milayen. Isay peenay se khansi ka khatma hojata hai. Mujarrab hai. Bachon ke nemonia ke liye: Mom bati ke sholay par lehsan ke ek joweKo jalali aur is ka pani maan ke doodh mein hal karke bachay ko dein, bachay ka namoniya khatam hojayega. Teen chaar mah ke bachay ke liye be had mufeed hai. *Khoon thokne walon ke liye: Bees gram barg bansa lein aur use zara si cheeni mein mila lein, use peenay se khoon thokne ka marz khatam hojata hai. *Bachon ke dard seenay ke liye: Bachay ko seenay ka dard sardi ke baa'is hotay to das gram methi thore se pani mein josh de lein, use chaan kar us mein das gram shehad mila lein. Seenay ke dard ke liye be had mufeed dawa hai. *Peeth ke keeron ke liye: Just ke patte lein aur un ka bees gram pani nichor lein, unhein peenay se pehli khoraak mein peeth ke keere halaak hojatay hain. Yaad rahe yeh be had karwi dawa hai. Use peenay ke baad koi meethi cheez khalne mein haraj nahi hai. *Honton ke phatne ka ilaaj: Tarbooz ke kachay beech lein aur use munasib miqdaar pani mein milakar pees lein. Raat ko unhein honton par leep kar dein aur subah uth kar unhein garam pani se dho dein. Bohat jald phate hue hont durust hojayenge. *Apna khoon saaf kijye: Bees gram sheesham ke taza patte chand din pani mein josh de kar peetay rahein. Aap ke khoon ki har kharabi khatam hojayegi. *Baras khatam hojata hai: Alsi ko sirka mein pees kar baras ke maqam par leep karne se safedi khatam hona shuru hoti hai aur baras ko mukammal shifa mil jati hai. Azmooda hai. Sarson ke beej bareek pees lein aur phir use ek hafta tak bees gram bakri ke doodh ke saath istemaal karte rahein. Dawa ke istemal ke doran ghiza kam se kam khayein. Be had mufeed ilaaj hai. *Filfil aur khansi: Filfil ko chilam mein tambaku ki jagah rakh kar haqe mein peenay se khansi ka nishan tak mit jata hai. *Bawaseer ko mehndi se door kijye: Mehndi ke patte khushk karke bareek pees lein aur phir use ghee mein tar karke bawaseer par lagayen. Bawaseer ke mass beithe jayenge. *Be khawabi ka ilaaj kaddu se karein: Aap be khawabi ki shikayat rakhte hain to 20 gram maghaz kaddu lein masri milakar raat ko khayein to be khawabi ka arza khatam hojayega."RTL" style="text-align: justify;">*Dant dard aur keeron ka khatma: Dant mein dard hai aur danton mein keeray aap ke liye pareshani ka mojab hain to aap zara si heeng lein aur use dant ke dardwale maqam par rakh dein. Fori aaram milega. *Ganjapan ka shartiya ilaj: Bakri ke khur lein aur unhein jalakar sirka mein hal kar lein, ise ganj par milte rehne se batadrej baal ug aayenge. Kowway ke par lein aur unhein jalakar sirka mein mila lein, woh maqam jahan se baal gire hain ya sir jahan se ganjapan namoodar ho chuka hai wahan yeh tail sa lagayein chand roz ke istemal se wahan baal ug aayenge. *Qabz rokne ke liye: Rozana ek saib khana be had mufeed hai. Is se peit mein gas banti hai jo ke aanton mein fuzlay ki harkat mein madad deti hai. Is ke ilawa saib khane se fuzlay ke hajam mein bhi izafa hota hai jis se aanton ki rawani behtar hoti hai aur mutaliqa azlat par zor kam padta hai. Wazeh rahe ke agar baqaedgi se saib khaya jaye (maslan, haftay mein paanch bar) to ek chhota ya darmiyana saib kafi hai. Ilawa azeen mushahdi saib ya royal gala (jiss mein ras kam hota hai) dosray saibon se behtar asar karta hai.