Yeh bacha kis ka bacha hai Yeh bacha kala kala sa Yeh kala sa mitti wala sa Yeh bacha bhuka bhuka sa Yeh bacha sukha sukha sa Yeh bacha kis ka bacha hai Yeh bacha kaisa bacha hai Jo reet pe tanha baitha hai Na uske peet mein roti hai Na uske tan par kapra hai Na uske sir par topi hai Na uske pair mein joota hai Na uske paas khilonon mein Koi bhaloo hai, koi ghora hai Na uska ji behlane ko Koi lori hai, koi jhoola hai Na uski jeb mein dheela hai Na uske haath mein paisa hai Na uske ammi abbu hain Na uski aapa khala hai Yeh saare jag mein tanha hai Yeh bacha kis ka bacha haiyle="font-size:24px;">(2) Yeh sahra kaisa sahra hai Na is sahra mein baadal hai Na is sahra mein barakha hai Na is sahra mein baali hai Na is sahra mein khusha hai Na is sahra mein sabza hai Na is sahra mein saya hai Yeh sahra bhook ka sahra hai Yeh sahra maut ka sahra hai (3) Yeh bacha kaise baitha hai Yeh bacha kab se baitha hai Yeh bacha kya kuch poochta hai Yeh bacha kya kuch kehta hai Yeh dunya kaisi dunya hai Yeh dunya kiski dunya hai (4) Is dunya ke kuch tukron mein Kahin phool khilte kahin sabza hai Kahin baadal ghir ghir aate hain Kahin chashma hai, kahin dariya hai Kahin oonche mahal atariyan hain Kahin mehfil hai, kahin meela haikahi kapron ke bazaar sajje ye resham hai, ye dibba hai kahi ghaley ke anbaar lage sab gehoon dhaan mehya hai kahi dolat ke sandooq bhare haan tanba, sona, rupa hai tum jo mango so haazir hai tum jo mango so milta hai is bhok ke dukh ki dunya mein ye kaisa sukh ka sapna hai? ye kis dharti ke tukre hain? ye kis duniya ka hissa hai? hum jis aadam ke bete hain ye us aadam ka beta hai ye aadam ek hi aadam hai woh gora hai ya kala hai ye dharti ek hi dharti hai ye duniya ek hi duniya hai sab ek data ke bande hain sab bando ka ek data hai kuch purab pachhim farq nahi is dharti par haq sab ka hai(6) Yeh tanha bacha bechara Yeh bacha jo yahan baitha hai Is bachay ki kahin bhook mitay (Kya mushkil hai, ho sakta hai) Is bachay ko kahin doodh mile (Haan doodh yahan bateera hai) Is bachay ka koi tan dhankay (Kya kapron ka yahan tora hai?) Is bachay ko koi god mein le (Insaan jo ab tak zinda hai) Phir dekhiye kaisa bacha hai Yeh kitna pyara bacha hai! (7) Is jagah mein sab kuch Rab ka hai Jo Rab ka hai, woh sab ka hai Sab apne hain koi ghair nahi Har cheez sab ka sajha hai Jo barhta hai, jo ugta hai Woh dana hai, ya phal hai Jo kapra hai, jo kambal hai Jo chandi hai, jo sona hai Woh sara hai is bachay ka Jo tera hai, jo mera haiYeh bacha kis ka bacha hai? Yeh bacha sab ka bacha hai! (Ibn-e-Insha, 15 September 1974)