Main usay pichlay aath saal se janta hoon. Us ke teen bete hain, chhotay bete ki umar chaar saal hai. Ek din us ne mujh se poocha ke kya yeh behtar nahi ke woh ek plot chhotay bete ke naam kar de. Main ne kaha, jaise tumhari marzi. Us ne kaha ke tum apni raay batao. Main ne kaha ke main ne raay bata di, jaise ji chahta hai karo, is mein poochne wali kya baat hai? Us ne kaha ke woh is liye yeh kaam nahi chahta ke aam tor par waliden ke is duniya se jaane ke baad chhotay bachay hi khasare mein rehte hain kyun ke baray to apne paon par khare ho chuke hote hain. Main ne kaha, is mein jawaaz talash karne ki bhi kya zaroorat hai? Agar tumhare paas hai to zaroor us ke naam kar do. Us ne kaha ke nahi, tum batao ke tum ne bachon ke liye kya kiya hai? Main ne kaha ke main ne kiya karna hai? Mere paas hai hi kuch nahi to karna kya hai. Ek makaan hai woh mere marne ke baad unhe ke paas jana hai agar ke mere khwahish hai ke yeh bhi Allah ke raste mein kharch ho jaye. Us ne hairani se poocha ke yeh kaise ho sakta hai? Bas ek hi makaan hai? Main ne kaha, yakeen kar wo aise hi hai. Mere zimme aulad ki parwarish aur taleem o tarbiyat hai woh main kar raha hoon. Baqi rahe makaan aur plot, to jis Allah ne mujh jaise be saro maya ko sab kuch de diya hai woh un ko bhi de dega. Yeh sun kar woh be yaqeeni ka tasur liye chup sa hogaya. Us ka talluq Pakistan ke ek bade sheher se hai. Aur woh diyar ghair mein pichlay paanch barson se kaam kar raha hai. Aur is arse mein us ne Pakistan mein do plot aur paanch dukanain bana li hain aur woh mujhe naseehat kar raha tha ke dekho yahan rehte hue Pakistan mein jitne makaan, dukanain aur plot banane hain bana lo phir nahi ban sakenge. Yeh naseehat karne ke baad us ne mujh se poocha ke, tum to yahan zyada arse se reh rahe ho, to tum ne bohot se makaan aur plot bana liye honge. Main ne kaha us ki kya zarurat hai. Yeh banane ke baad bhi marna hai aur banaye baghair bhi marna hai. To behtar nahi ke baghair banaye maro, ke hisaab to na dena pade. Us ne kaha yeh to theek hai lekin tum ne kabhi yeh nahi socha ke tumhare marne ke baad tumhare bachon ka kya banega. Main ne kaha, socha hai lekin yeh socha hai ke mere marne ke baad mera kya banega yeh sun kar woh ajeeb sa tasur liye khamosh ho gaya. Woh dil o jaan se tablighi jamat ke mission ka hamil hai aur us ke liye din raat ek kiye rehta hai. Us ki ahliya bhi us ka pura saath deti hai. Woh bairoon mumalik ke kayi safar kar chuki hai aur khawateen mein khoob kaam kar rahi hai. Us ne ek din meri ahliya ko bataya ke hum ne flan plot flan bete ke naam kar diya hai aur flan, flan ke. Phir us ne raaz daar se poocha ke aap ne Abdullah, Umar ke naam kya kuch kiya hai? Meri ahliya ne sharmindgi se bataya ke bahan humare paas hai hi kuch nahi to hum ne karna kya hai. Woh badi si aah bhar kar aise khamosh ho gayi ke jaise yeh kehna chahti ho ke tum log to mahroom hi reh gaye. Woh government school ka teacher hai aur har waqt apni baysi aur kam aamdani ka runa rota rehta hai magar us ne bhi do plot bana liye hain aur ab teesre ke chakkar mein hai. Main ne poocha ke tum apni zindagi sahulat se kyun nahi guzarte. Un ploton se tumhe kya milega. Us ne bade fakhr se bataya ke mere marne ke baad mere bachon ke kaam aayenge.Yeh sab, aur aise hi bohot se dusre manazir dekh kar aur sun kar ab mujhe yeh ehsaas hone laga hai ke ya to mein bewakoof hoon aur ya phir yeh sare log bewakoof hain. Lekin phir khayal aata hai ke itne sare log to bewakoof ho nahi sakte, yakeenan mein hi bewakoof hoon. Is ka zikr mein ne apne ek parhe likhe bhanje se kiya to usne kaha, nahi mamoon jaan, is tarah ke ''bewakoof'' aur bhi paye jaate hain. Usne kaha ke Quaid-e-Azam University mein un ke ek professor thay. Unhone bachon ko khoob parhaya likha ya aur jab woh khud kamaane ke qabil ho gaye to unhone apni saari jaydad Allah ki raah mein kharch kar di, yani hospitals, masajid, madaris ke naam kar diye aur aakhir mein jo makaan bacha us ke bare mein bhi wasiat kar di ke jab tak zinda hoon us ka kiraya lete raho ga, us ke baad yeh bhi falan idare ko sadqa kar diya jaaye aur ahem baat yeh hai ke un ke bachay bhi is amal par bohot khush thay ke unhein Allah Kareem ne khud bohot kuch de diya tha. Is ke ilawa usne bataya ke Umar bin Abdul Aziz ka jab intiqaal hone laga to Aziz aur aqarib ne kaha, Umar tumne apne bachon par bohot zulm kiya. Un ke liye koi maal o dolat chhod kar nahi ja rahe. Yeh sun kar Umar uth kar baith gaye aur kaha ke maine apne bachon par koi zulm nahi kiya. Main ne unko saleh banane ki mehnat ki hai aur Allah ka wada hai woh yutawalli al-salihinkay woh khud hi saliheen ka madadgar aur dost hoga. Kaha ke main un ke liye salihiyat ki dolat chhod kar ja raha hoon, baqi Allah ke zimme hai. Aur phir mera bhanja kehne laga ke mamoon jaan, zyada der na guzri thi ke tareekh ne dekha ke Umar bin Abdul Aziz ke bete Allah ke raaste mein sau sau ghode khairat kiya karte thay aur woh jin ke liye Umayyad hukmaranon ne dheeron darham o dinar chhode thay un mein se bohot se ko tareekh ne jame masjid damishq ki seerhiyon par bheek maangte dekha. Aur aakhir mein usne kaha ke mamoon jaan, waise bhi is duniya mein bewakoof ya dan a kahlaye jaane ki hesiyat hi kya hai. Yeh laqab bhi waise hi ek dhoka hain jaise yeh duniya ek dhoka hai, asal bewakoof aur danish to woh hoga jise aakhirat mein bewakoof ya danish qarar de diya jaaye. Mein ne us ke chehre ki taraf ghor se dekha aur mujhe yun laga ke shayad yeh theek hi keh raha hai kyunke ghubar chhate to phir hi pata chalta hai ke musafir ghode pe sawar chala araha hai ya gadhe par.