Kya aap apni mojooda umar ke muqable mein zyada badi umar ke nazar aate hain? Agar aap aaine mein aisa manzar dekhna nahi chahte to apni rozmarra ki aadat mein tabdeeli laana hi sab se behtareen tareeqa kar sabit hoga, khurak aur neend waghera bhi aap ke chehre ko boorha kar dete hain. Aisi chand aadaton ke baare mein jaanay jo aap ko jald boorha kar sakti hain. Ek waqt mein bohot saare kaam karna: Agar aap har waqt mutadid kaam baik waqt karne ke aadi hain to is mashroof zindagi ke tanao ki keemat aap ke jism ko ada karna padegi. Mutadid sciencesi tehqiqi reports mein yeh baat samne aayi hai ke bohot zyada tanao jismani khlaat ko nuqsaan pahunchane aur umar ki raftaar barhane ka sabab banta hai. Mahireen ka kehna hai ke ek waqt mein ek kaam karein aur usay mukammal karne ke baad hi kisi aur cheez par tawajah dein. Meethas ka bohot zyada istemal: Meethi ashya kis ko pasand nahi hoti magar yeh jismani wazan mein izafay ke sath sath aap ke chehre ki umr bhi barha deti hain. Sugar ya cheeni zyada istemal ki wajah se hamare khlaat se mansookh hojati hai aur is ke natije mein chehre se surkhi ghayab hojati hai aur aankhon ke neeche gehre halqay ubhar aate hain. Isi tarah jhurriyan aur halki lakirein bhi chehre ko boorha bana deti hain. To meethi ashya se gurez aap ke chehre ki chamak barqarar rakhne mein madadgar sabit hosakta hai. Kam neend: Kam sona na sirf aankhon ke gird badnuma halqon ka sabab banta hai balkay yeh zindagi ki muddat bhi kam kardeta hai. Rozana saat ghante se kam neend lene ki aadat din bhar kam tawanai, zehni susti, tawajah markooz rakhne mein mushkilat ya motape waghera ka sabab banjati hai. Bohot zyada TV dekhna: Aaj kal logon ka kafi waqt TV programs dekhte hue guzarta hai magar British Journal of Sports Medicine ki aik tehqiq ke mutabiq aik ghante tak lagatar TV dekhna bees minute ki zindagi kam kardeta hai. Isi tarah jo afraad rozana ausatan chhe ghante TV dekhte hain woh is aadat se door rehne walay afraad ke muqable mein paanch saal kam zinda reh paate hain. Is ki wajah hai ke TV dekhne ke liye aap zyada tar baithay rehte hain, jis ke baa'is jism sugar ko hamare khlaat mein jama karna shuru kardeta hai jis se motape ka khatra barh jata hai. Is se bachne ka aik tareeqa yeh hai ke agar aap TV dekh rahe hain to har tees minute baad kuch der ke liye uth kar chehel qadmi bhi karein. Zyada waqt baith kar guzarna: Din ka zyada waqt baith kar guzarnay ya sust tareeqa zindagi ke aadi afraad mein motape ka khatra hota hai is ke sath sath gardan aur dil ke amraaz ke saath saath cancer ka imkan bhi barh jata hai. Agar khud ko sehatmand rakhna ho to rozana warzish ki aadat ko apnaen sub se zyada faiday mand hai.Waga. Bohot zyada makeup ka istemal: Chehre par bohot zyada makeup ka istemal barhapa ki janib aapka safar tez kardeta hai. Bohot zyada makeup khaas taur par tail wali masnoaat jild mein mojood nanhay surakhon ya masamon ko band karke masaail ka sabab ban jati hain. Isi tarah jildi masnoaat ka alkohl aur chemical se bani khushbu ke sath istemal se jild se qudrati nami khatam hojati hai aur woh khushk hojati hai jis se qabal az waqt jhurrian ubhar aati hain. Neend ke doran chehra takye par rakhna: Pet ke bal ya ek side par let kar sone se aapka chehra takye mein dab kar reh jata hai aur jhurrian ubharnay ke sath barhapa ka sabab banta hai. Ek tehqiq ke mutabiq chehra musalsal takye mein daba rahe to woh andar se kamzor hojata hai aur mojooda umar ke mutabiq nazar nahi aata. Agar aisa musalsal kiya jaye to jild hamwar nahi rehti. Astra ke zariye mashroob peena: Kisi mashroob ko astra ke zariye pee kar aap dantoon ko to daagh lagnay se bacha sakte hain magar hont sekadne ka yeh amal aankhon aur chehre ke ird gird jhurrian parne ka sabab zaroor ban jata hai. Aisa is waqt bhi hota hai jab cigarette noshi ki jaye. Apni khurak se charbi ka istemal mukammal khatam kardena: Khurak mein kuch had tak charbi ka istemal shakhsiyat mein jawani ke izhar aur ehsas ke liye zaroori hota hai. Omega three fatty acids se bharpoor machhli aur kuch nuts jaise akhrot waghera jild ko narm o melayim aur jhurion se bachate hain, jabkeh dil aur dimagh ki sehat ko bhi behtar banate hain. Jhuk ke baithna: Apne computer ya laptop ke keyboard ke samne ghanton kamar jhuka kar baithay rehne se aap ki reedh ki haddi badnama kabarde pan ki shakal mein dhil jati hai. Qudrati tor par yeh haddi matwazan aise shakal ke jhukaav ki hamil hoti hai taake hamein chalne phirne mein mushkil na ho. Magar ghanton tak jhuke rehne se qudrati shakal tabdeel hojati hai, jis se pathay aur haddiyan ghair mamooli dabao ka shikar hokar qabal az waqt burhoun ki tarah chalne phirne par majboor kardeti hain.