Yunhi be sabab nah phira karo, koi shaam ghar bhi raha karo.

Click here to read more articles from this author

Click here to read full magazine

Yunhi be sabab na phira karo, koi shaam ghar bhi raha karo Wo ghazal ki sachi kitaab hai use chupke chupke parha karo Koi haath bhi na milay ga jo galey milo ge tapak se Yeh naye mizaaj ka sheher hai zara faasle se mila karo Abhi raah mein kayi moor hain, koi aaye ga koi jaaye ga Tumhein jisne bhula diya use bhoolne ki dua karo Mujhe ishtehaar si lagti hain yeh mohabbaton ki kahaniyan Jo kaha nahi woh suna karo, jo suna nahi woh kaha karo Kabhi husn pardah nashin bhi ho zara aashiqana libaas mein Jo mein ban sanwar ke kehain chaloon mere saath tum bhi chala karo Nahi be hijaab woh chaand sa ke nazar ka koi asar na ho Use itni garmi se badi der tak na taka karo Yeh khizaan ki zard si shaal mein jo udaas peed ke paas hai Yeh tumhare ghar ki bahaar hai use aansuon se hara karo