Aaj se taqreeban pachis baras pehle woh shakhs utha raha tha jo baras ka jawaan tha. Jua khelna, sharab peena, chorri chakari aur logon se heera phairi karke paise botor na uska shiwa tha. Intehai shareef gharaane mein paida hone ke bawajood usko yeh buri aadtein dostoon se aisi lagin ke woh middle se aage na parh saka. Bap ne bohot kosish ki ke chal kar dukaan par baithay magar marzi se jaane ke baad wahan bhi chori karke bhag jaata. Chand dino baad paise khatam ho jaate to phir ghar wapas aa jaata. Maan ki wajah se uska bap majboor tha ke woh rone lagti thi. Is baat se usay aur sharam mili. Tang aakar uske waldain ne apni bhanji se uski shaadi kar di. Behan bechari bewah ghareeb thi, bhai ki na-insafi par ehtijaaj nahi kar saki aur yun is jawariye Parvez a.k.a. Paji ko apni beti de di. Paanch betiyan thi, kya karti. Paji sahib ko to muft ki mulaazmaat lag gayi. Pehle to jab ghar aata to thanda khana khana parta tha magar ab uske khane aur kapron ka khayal karne wali khawateen ghar mein mojood thi. Waqt guzar gaya aur phir ek din woh beti ka baap ban gaya woh us din taqreeban pandrah din baad ghar aaya tha. Sehan mein baith kar sochta raha ke abhi tak khana kyun nahi le kar aayi. Walida ne kaha ke tumhari haan beti paida hui hai ab to kuch sharm kar le. Bap bechara behen aur bhanji ke samne sharminda hai. Woh samajhte the ke shaid shadi ke baad to sulajh jaye ga. Maan se yeh alfaz sun kar aap se bahar ho kar baula mein aisa nahi chahta tha. Agar aap nahin paa sakte to yateem khane de aayein. Andar bewi sun rahi thi. Thorhi der baad ghuse se andar gaya to dekha ke uski bewi bachi ko sath le kar ro rahi hai. Poocha kyun ro rahi ho kya main mar gaya hoon, bewa hogayi ho. Bewi ne pehli bar shikayati nazar se apne shauhar ki taraf dekha aur boli nahi main to is liye ro rahi hoon ke maine khuda se kitni duaain ki thin ke Allah mujhe beti na de. Agar tumhara jaisa marad paida parh gaya to kya hoga. Itna keh kar woh phir rone lagi. Paji ne herat se apni bewi ki taraf dekha ke yeh baat usne kahi hai jisne do saal chup chup ke guzar diye, kabhi shikayat nahi ki thi. Apne tain to paji ne us se shaadi kar ke ehsan-e azeem kiya tha ke is dor mein kon kisi yateem ghareeb larki se bia kar sakta hai. Jis ke sar par baap aur bhai ka saya bhi na ho. Woh khawmosh ho kar khana khaya bina chhat par chala gaya aur subah fajr tak thalta raha. Subah moazzin ki awaz par ghar se nikla aya. Masjid mein gaya to molvi sahib samjhe shayad choray karne aya hai kyun ke pehle bhi do dafa masjid se chori karta pakra gaya tha. Unhone kaha ke paji to ghar ja kar sota kyun nahi yahan tera kya kaam. Agar chori nahi karni to phir kya namaz parhne aya hai? Paji ki aankhon mein ansu agaye aur bola han molvi sahib aj hi jaaga hoon magar namaz to kya parhoon ga mujhe to wazu karna bhi nahi aata. Molvi sahib neek insaan the. Usne wazu karaya aur phir usne jamaat ke sath namaz parhi, ghar wapas aya to dekha bewi so rahi thi bachi ko utha kar seene ke sath laga liya. Bewi ki aankh khuli to woh yeh samjhi shayad yateem khane dene ke liye le ja raha hai. Woh rone lagi aur kaha ke maine kabhi tum se kuch nahi manga, apni beti ke liye bhi kuch nahi mangungi, yeh zulm mat karo. Paji ka dil bohot bura hua. Bewi ko piyar se samjha ya ke woh apni beti ko piyar karne ka haq bhi nahi rakhta? Usi din se paji ke sath dukaan par jane laga. Pehle pehle to uske waldain sahib us par etabar nahi karte the magar phir usne dikhaya ke agar Allah taala ki madad shamil e hal ho to insaan ka dil badalne par der nahi lagti.Aaj is page ko log Haji Parvez sahib ke naam se pakka rate hain. Usne dakan aisi chalai ke kisi ko yakeen nahi hota ke yeh wahi page hai jo do sau rupay chor karke dukaan khuli chhod kar bhaag gaya tha. Waliden ko, biwi ko hajj karwaya. Aaj unke char bachay hain magar apni beti (jis ka naam Parvez ne ''Noor-e-Imaan'' rakha tha aur naam rakhte waqt usne kisi ki nahi suni thi) usko bohat piyari hai. Unka kehna hai ke meri beti ne mere dil mein imaan ki jo jalti hai. Uska masoom chehra dekh kar aur apni biwi ki us waqt ki baatein yaad karne ne mujhe andar se hila diya tha. Parvez sahib ko dekhein to Noor-e-Imaan wala chehra aur mathe pe mahraab, ghani daadhi unke paanch waqt namaazi hone aur parhezgari ka pata deti hai. Market mein unki itni izzat hai ke log unki sharaafat ki misaalein dete hain. Sarf unke mahazi ko jaanne wale log hi is baat se waqif hain ke woh kya tha? Main samajhti hoon ke unki koi na koi neki unke kaam aayi hai jo khuda ne itni zillaton aur pastiyon se nikaal kar unhen is maqam tak pahunchaya hai. Woh shakhs jis se kisi ki maal o aabro mahfooz nahi thi, aaj mohalle ki bahu betiyon ko apni Noor-e-Imaan jaisa samajhta hai aur uski nigaahen auraton ko dekh kar jhuk jaati hain. Duniya mein bohat kam log aise hain jo shetaniyat ki raah par itni door tak chalne ke baad falaah ki taraf aate hain. Yeh khuda ka bohat bada inaam hai ke ek chhoti si baat se bande ka dil phir jaata hai. Qariyeen-e-karam aap ko kabhi aise log milen to kabhi unhein dil se bura na jaaniye. Kya maloom aane wala waqt kis ki jholi mein kya daalne wala hai? Yeh Khuda-e-Bartar ke ilawa koi nahi jaanta. Meri dua hai ke agar kisi aise shakhs se samna ho to uski apne taur par islaah ki koshish ki jaye, yeh sadqa jaariya hai. Tofiq to usse Khuda ki taraf se milti hai. Magar kisi ki kahi hui achi baat bhi insaan ka dil badalne ke liye mawaan ho sakti hai. Aap ki wajah se kisi ek shakhs ne bhi hidayat ki roshni paayi aur seedhe raste par chal nikla to yaqeen jaaniye ga ke zindagi ka maqsad poora ho gaya aur zindagi raahguzar hone se bach jaayegi. Nafsani nafsi ke is door mein bohat kam aise log hain jo doosron ke liye sochein aur unki behteri ke liye koi qadam uthayein. Aaiye barish ke pehle qatre ki tarah himmat kar ke pehle to karein ke qatre qatre mil kar darya hota hai. Ab aadmi aadmi nazar nahi aata Chiragh-e-fikr jala wo ke tareeki hai bohat