Badshah ka qeemti moti gum ho gaya, usne ilan kiya ke jo use dhoond layega usay is inaam se nawaza jayega. Sare darbari sardar aur maezizn talash mein lag pare, do din ki jaan maare talash ke baad ek darbari ko woh moti mil gaya, jabkeh baqi apni tamam tar koshish ke bawajood nakam rahe! Badshah ne dhoondne wale ko hisab wa'da tamam inaamaton se nawaza aur us ki mehnat ki tareef ki! Usay ke baad badshah dosray darbariyon ki taraf mutawajjah hua aur un ki mehnat par un ke liye khair ke kalimat kaha aur phir unko bhi inaamaton diye! Yeh manzar dekh kar us darbari ko ke jise woh moti mila tha, kuch acha nahi laga aur us ke chehre par kabeedgi ke aasar nazar ane lage. Badshah jo yeh sab mehsoos kar raha tha woh us darbari ki taraf mutawajjah hua aur us se kaha ke "mein ne moti dhoondne wale se jo wa'da kiya tha us ke mutabiq tumhein nawaza diya aur us mein kami koi nahi ki! Phir mein sa'i walon ki taraf mutawajjah hua aur unko nawaza aur tere haq mein se kam nahi kiya balkay apne khazane se diya, mein ne yeh nahi kaha tha ke koshish kar ke bhi jin ko na mila un ko mehroom kar donga. Moti ek tha aur ek ko hi milna tha, magar sa'i karne walay bohat the. Pane wale ko pane ka sila mil gaya aur sa'i walon ko un ke khuloos ka sila mila. Magar ae shakhs, mein tere chehre pe nagawari ke aasar dekhta hoon goya ke tu mere faislay mein be insafiyat dekhta hai? Tu meri ata ko apne ehsan se kam samajhta hai aur mujhe apne ehsan ke tabe rakh kar mujh se apni marzi ke faislay karana chahta hai, tu chahta hai ke mein sab ko mehroom rakhoon kyunkeh is mein teri raza hai! Jahan tak tere ehsan ka talluq hai tu is ki ahmiyat mere nazdeek bas itni saari hai." Yeh keh kar badshah ne moti ko farsh par patkh kar tukray kar diya, aur apna khutba jari rakha. "Mere khazane aise motiyon se bhare pare hain. Pa kar ehsan jatlane walon ki nisbat na pa kar pachtaave ka ehsas rakhne walay mujhe zyada aziz hain kyunkeh pachtaava inkisar paida karta hai aur ehsan takabbur paida karta hai! Aur kisi badshah ke darbar mein kisi mutakabir ki koi jagah nahi! Yeh keh kar badshah ne us darbari ko apni majlis se nikal diya. Hamein apni koshish, sa'i aur Allah ki rahmat par nazar rakhni chahiye na ke apne chand naqis sajdoun ke awaz Allah ki ata par qadghun lagaani chahiye ke woh jis par bhi fazl kare humari marzi pouch kar kare! Hamein kabhi bhi Allah aur us ke bandon ke darmiyan nahi ana chahiye, chahe woh gunahgar bande hi kyun na hon.