Sialkot mein saalana chalees million footbaal tayaar kiye jaate hain jabkeh World Cup ke doraan unki tadad saatth million tak pohanch jaati hai. Majmooi tor par duniya bhar mein haath se bane takreeban satar feesad football Pakistan mein tayaar kiye jaate hain. FIFA ki darja bandi mein Pakistan 164vien number par aata hai lekin haath se bane football ki paidawar mein yeh pehle number par hai. Rawan saal football ke World Cup mein bhi Pakistan ke tayaar kardah teen hazaar football istemaal honge. Khelon ka samaan banane ke hawale se mashhoor Pakistani shehr Sialkot mein to is waqt jashn ka sa samaan nazar araha hai. Isi shehr ke noah mein woh factory mojood hai, jis mein World Cup ke muqablon ke liye football banaaye ja rahe hain. Aiwane Sanat o Tijarat Sialkot ki dawat par Pakistan mein Brazil ke safir bhi no June ko Sialkot pahunchay. Unhein Sialkot ke shehriyon ki taraf se alaamti tor par World Cup muqablon ke liye tayaar kardah football peish kiya gaya. Aiwane Sanat o Tijarat Sialkot ke sadr Doctor Sarfaraz Bashir ne D.W. ko bataya ke football aaj ki duniya ka maqbool tareen khel hai aur aalami muqablon ke liye Pakistan ke bane hue football ka intikhab Pakistan ke soft image ko aagah karne ka baais banega. Unhein khushi hai ke Sialkot ki business community apni uchi quality ki masnoaat ki wajah se duniya bhar mein Pakistan ki saakh behtar banane ka baais ban rahi hai. Un ke mutabiq 'Brazuca' ki tayyari ne Pakistan ka sar-fakhr se buland kar diya hai. Idhar Sialkot ke iskoolon, sarkari aur ghair sarkari idaroon aur tajrati halqon ki taraf se bhi is hawale se khushi ke izhaar ke liye taqreebat munqad ki gayi hain. Sialkot nah sirf Pakistan ko sab se zyada zar mubadla kama kar dene wale shehron mein shamil hai balkay is ka shumar Pakistan ke aise shehron mein bhi hota hai, jahan basne walon ki fi kas aamdani mak ke digar shehron ki nisbat sab se zyada hai. Sialkot se Wazirabad (Islamabad) janay wali sarak par koi das kilo meter ke faslay par grey color ki ek wasee aur areez imarat aaj kal logon ki tawajjo ka markaz bani hui hai, yeh Forward Sports Private Limited ki woh factory hai, jis mein FIFA World Cup ke liye football tayar kiye ja rahe hain. Is factory mein kaam karne walay ek kari gar ne bataya, ''Factory mein jab yeh khabar pohanchi ke hamare football ko World Cup ke liye manzoor kar liya gaya hai to sab ko bohot khushi hui. Us ke baad shukrana ke nawafil ada kiye gaye aur factory malikon ki taraf se dairh hazar workron ke liye shandaar ziyafat ka ahtamaam bhi kiya gaya.'' World Cup ke liye football banane wali factory ke malik Khawaja Masood Akhtar ne taleem tosul engineering ki haasil ki lekin university se faraghat ke baad apne khandan ke rawayati karobar se mansookh ho gaye. Masood Akhtar kehte hain ke un ki company se pehle kai alami muqablon ke liye football tayyar karti rahi hai lekin un ke liye is aizaaz ka milna bohot khushi ka baais hai. Ek sawal ke jawab mein unhone bataya, ''Machine wala football ki tayyari ek mushkil kaam tha, is mein computers, software aur jadeed technology ka istemaal bohot zyada hota hai, Pakistan mein is shobe ke mahireen bhi nahi thay, is ke bawajood hum ne mehnat ki, apni team banayi, quality par compromise nahi kiya aur Allah ke fazal se humein kamiyabi mil gayi.'' Is factory mein kai qisam ke football tayyar kiye ja rahe hain, football ki quality check karne ke liye darjanon teston kiSohlat mojood hai, yeh factory Pakistan Football Association ke ilawa Sialkot ke tamam football clubs ki bhi madad karti hai. Football banane wali ek aur company ke general manager Muhammad Asif ne DAWN ko bataya ke agar bhi aalami kisad bazaari ki wajah se multinational companies ne is martaba apne promotional budget kisi had tak mehdood kar rakhe hain lekin is ke bawajood World Cup ke mauqe par unhein kafi orders mil jaate hain, "Aaj kal to Sialkot ki sari factories kaam kar rahi hain aur is ilaqe ki iqtisadi surat-e-haal mein behtari aa rahi hai." Un ke mutabiq machine-made football ki tayyari ke bawajood haathon se banaye gaye footballon ki sale bhi jari hai. Sialkot ke ek shehri Usman Butt ne bataya ke Football World Cup mein Sialkot ke footballs ka istemal sirf Sialkot ke liye hi nahi balkay pure Pakistan ke liye fakhr ka baais hai.