Mera wird naat-e rasool ho, mera dil dil-e huzoor ho Meray har nafs mein durood ho, meray ghar mein baarish noor ho Main parhoon kalaam-e khuda agar mujhe aaye roo-e nabi nazar Parhein un ke husn pe jab nazar to jamal-e haq ka zuhoor ho Khule dil ki aankh agar nahaan to yeh raaz tujh pe bhi ho ayaan Wahi dekhta hai tajalliyan jise dekhne ka shauor ho Karoon un ke husn ki guftagu, rahoon un ke samne roobaroo Nah mujhe ho khuld ki aarzoo, nah khayal hoor o qasoor ho Meray lab pe tera hi naam ho, meri mastiyon ko dawaam ho Jo kisi tarah nah tamaam ho woh ata mujhe bhi saroor ho Main reh-e amal mein faqeer hoon, main ghareeb kab hoon ameer hoon Tere gisooon ka asir hoon, mujhe kyun na is par ghuroor ho Teri rahmaton ke mehate mein hai mahaat wasa'at doosra Koi aisi shay hi nahin shaha jo teri nigaah se door ho Teri aastaan pe meri juban hai nadamaton se jhuki hui Tu shafii-e roz-e hisaab hai mera door jurm o qasoor ho Yehi aarzoo shah zaman nah ujre sakte meri anjuman Jahan tere zikr ka ho chaman wahan mashhadi bhi zaroor ho