Dhund se dhakay hue pahaaron ke darmiyan qutub shamali ke aakhri shehr Tromso (Tromso) ki kul abadi 67000 nefos par mushtamil hai. Yeh shehr apne mahal waqoo ke aitbaar se shumal mein sab se aakhri university, nabatatii bagh, protestant church aur symphony orchestra ke liye mashhoor hai. Aik sadi qabl norwayi hero Ronald Amundsen ne isi shehr se qutub janubi tak ke safar ka aghaz kiya tha. Tromso circle se 350 kilometer door is shehr ki aik khasiyat aur bhi hai ke yahan shumal ki sab se aakhri masjid al-Noor bhi waqea hai. Tromso mein shumali Africa, mashriq wasti aur Pakistan se taluq rakhne wale taqreeban 1000 musalman qayam pazeer hain. Tromso mein musalman muhajireen 1968 mein se aana shuru hue the. Aaj bhi siyasi panahguzino mein Zimaleya, Eritrea aur Afghanistan muhajireen apne bare mein faislon ke muntazir hain. Jab aap al-Noor masjid mein dakhil honge to istiqbaliyah par aap ka samna muskurati hui hakima manboor se hoga. Woh ab bhi apne khayalon mein muskurane lagti hai jab use pehli martaba Tromso se wasata parna yaad aata hai. Us ki shadi Morakko mein moqeem aik Norwayi musalman Muhammad se hui thi. Shadi ke baad Europe mein qayam karna us ke liye kisi sunehre khawab se kam nah tha. Woh kehti hai jab mein April 1979 mein Norway aayi to dhayi meter barf ki teh mein meri muntazir thi. Yeh tha mere khawabon ke shehr mein mera istiqbal. Hakima ka agle chand mahinon mein dosri heraton se bhi wasata parna tha. March se September tak Tromso ke din raat ki taawalat yaksaan rehti hai lekin 20 May se 22 July tak suraj musalsal aasman par chamakta rehta hai. Is liye ke Tromso khursheed naim shab (Midnight sun) ke ilaqe mein waqea hai. 25 November se 21 January tak suraj ufaq se bilkul ghaib rehta hai yaani yahan musalsal raat yom bila khursheed (Polar Nights) ka samaan rehta hai. Masjid al-Noor mein yeh sawalat apne ilaqe ki khasoosi jughrafiyai nooat ke wajah se hamesha zair-e bahs rehte hain ke jin mahinon mein suraj taloo aur ghuroob nahi hota, un mein fajr aur maghrib kon oqat mein parhi jaengi? Isi tarah un mahinon mein sahar aur iftar ka taeen kis tarah kiya jaega? Sandra Maryam aur Andrew Ibrahim jo masjid al-Noor mein director aur secretary ke ahde par faiz hain, un ke liye aksar yeh sawalat wajah nizaaf bane rehte hain. Un dono ki zimmedariyon mein namaz ke oqat mein masjid kholne ke ilawah maqami abadi ko Islam ke bare mein maloomat faraham karna, mukhtasir kitabon ki bazaar-e daki transmission, nikaah, talaq aur amwaat ke moqa par sahulaten faraham karna hain. Tromso se mazeed shumal mein waqea dosre shehron misal ke tor par Kirkenes aur Hammerfest mein rehaishi musalmano ko namaz aur Ramzan ke oqat mohai karna bhi un ki zimmedari hai. Jughrafiyai aitbaar se munfarid surat-e haal se nabatne ke liye al-Noor masjid ki intizamiyah ne saudi arab ke darul ifta se mustaqil fatawa haasil kar liya hai. Darul ifta se unhen teen mumkinah hal musool hue hain: 1. Saudi arab (Makkah al-Mukarramah) ke oqat par amal karein. 2. Nazdeek tareen musalman abadi jahan suraj taloo aur ghuroob ho raha ho, ke mutabiq amal karein misal ke Oslo ya Glasgow, 3. Panch oqat namaz ka taeen kar ke namaz ada karein.2012 mein Ramazan ka aghaz 20 July aur ikhtitam 19 August ko hua tha. Aghaz mein rozaana ka dorania Makkah ke mutabiq Fajr subah 4 baj kar 24 minute se Iftaar sham 7 baj kar 6 minute tak tha lekin 24 Ramazan se maqami tor par auqaat taloo-e-o-ghuroob aftab ke mutabiq Fajr subah 2.30 bajay se Maghrib 10 baj kar 10 minute tak tha. Is tarah aakhri 7 rozon ka dorania 12 se 20 ghanton tak taweel tha. Itne taweel auqaat ke bawajood mosam ki khushgawari aur sard honay ki wajah se rozon ki shiddat mehsoos nahi hoti jitni apne abaai garam mumalik mein hoti thi. 2013 mein Ramazan inn dinon mein hoga jab suraj musalsal aasman par rahe ga, isliye 2013-04 mein Makkah Al-Mukarramah ke mutabiq auqaat muqarrar kiye jayenge. Ramazan ke doran sham 9 bajay se khawateen aur hazraat Masjid al-Noor mein apne apne makhsoos hisson mein jama hone ka aghaz ho jata hai. Chhotay bachon ko hamrah lanay ki khasoosi hidayat ki jati hai takay woh bachpan se apne mazhabi tehwaron se aashna ho saken. Tamam Ramazan mein Iftaar aur Sehri mein aurton ki zimmedari hoti hai ke woh apni baari ke mutabiq khanon ka intizam karein. In khanon mein mukhtalif mumalik ki numaindagi karte hue Somali samosa, Iraqi pulao, Finland ka salad, Morocco ka sooji aur gosht ka bana hua khichra aur bein-ul-aqwami mashroobat maujood hote hain. Is social ijtemai mein musalman baham guftagu ke zariye apne muasharti masaail ka hal bhi dhoond lete hain. Roza chahe kisi bhi timetable ke mutabiq ho, Iftaar sunnat tareeqay se khajoor se kiya jata hai. Khajoor aur doosri halal ghiza Al Aniya International se khareed sakte hain jo Turkish Hussain aur Saudi mile kar chala rahe hain. Saudi jab 2002 mein shadi kar ke Turkey pohanchi to usay yeh baat pasand nahi aayi ke uska shohar Hussain ek restaurant chala raha hai jahan sharab bhi mohaya ki jati hai. Chunancha Saudi ne apne shohar ko nihayat hikmat se is baat par qail kar liya ke woh kya ghalti kar raha hai? Hussain ko bhi apni ghalti ka andaaza ho gaya to usne restaurant band kar ke ghiza istore khol liya jahan musalmanon ko halal gosht ke ilawa rawayati masalay aur mosmi phal mohaya kiye jate hain.