Mah-e Azm (Khalid Abdul Rehman al-Darwish) Har Musalman apne aap ko mukhatib karke in arzooon ko amli jama pehnane ka azm kare: * Main mahina bhar apni niyat ko khalis rakhunga, nek kaam karunga aur bhalaaiyon ke liye aage barhunga. * Main Ramazan ka chaand dekh kar dua karunga. Yeh meri khushi ka izhaar hoga. * Apne maal ka kuch hissa rozana Allah ki rah mein kharch karunga, khwah thora hi ho. * Khushu o khuzu aur ghaur o fikar ke saath Quran-e-Kareem ka ek hissa roz tilawat karunga. * Main apni zubaan ko gheebat, chughli, jhoot aur fazool baton se bachaunga. * Main tamam farz namazon ke baad sunnatain ada karunga, Allah ke haan in ki fazilat ke poore ehsaas ke saath. * Main Ramazan ka pura mahina Allah ke zikr (tasbeeh, tahleel aur takbeeraat) mein guzaroonga. Namaz-e-Fajr ke baad se le kar taloo-e-aftab tak jitna mumkin ho sake main zikr, dua aur tilawat-e-Quran Kareem ke liye masjid mein qayam karunga. * Main apne tamam rishte daaroon ke ghar ja kar unhein is mahine ki aamad ki mubarak baad doonga. * Main paanchon namazain masjid mein jamaat ke saath aur takbeer awal ke saath ada karunga. * Main Allah Ta'ala se apna talluq jorunga aur apni aankh, kaan aur tamam aza ko Allah Ta'ala ki nafrmani se bachaunga. * Main qiyam-ul-lail ke sawab ki niyat se poori namaz-e-taraweeh ba-jamaat ada karunga. * Main apne aap se poochunga ke main Ramazan mein kitni bhalaaiyan kar sakta hoon, phir jawaab ke mutabiq ek qabil amal program tarteeb doonga. * Main is mubarak mahine mein har waqt bhalaai ke kisi moqa ki talash aur taak mein rahunga, kyunke is mahine mein bhalaai ka ajr kayi guna ho jata hai aur yeh waqt badi jaldi guzar jata hai. * Main is mahine mein masjid ki satah par, mulazmat ki satah par aur safar ke doran naye talluqat banane ki koshish karunga. * Main is mah-e-mubarak mein poore dunia mein mojood apne Musalman bhaiyon ke haalat se aagahi haasil karunga aur unke liye duaain karunga. * Main apne ghar, daftar aur gaadi mein aisi eman afroz kitaben, risaalay aur CDs rakhunga jinhein mein is mubarak mahine meinوالوں کے ساتھ زیادہ وقت گزاروں اور ان سے محبت اور خیر خواہی کا اظہار کروں۔Ke saathiyo se musalsal rabta rakh kar aur unhe bhalaai ke kaamon ki targheeb de kar aisi karkardgi ka mazahira karon ke un mein mera kirdar sab se faal aur numayaan ho. *Mein is mahine bhalaai ke kaamon ke hawale se apne liye ek diary tarteeb doonga jis mein yeh cheezein khaas taur par shamil hongi: mareez ki aiyaadat, namaz-e-janaza mein shirkat, sila rahmi, doston ke haan jana, awaami falah o behbood aur har pareshani hal ko khush karna. *Mein barqat duty par hazri ko apna mamool banaunga aur saara mahina poori pabandi se kaam karke hamesha ke liye apni yeh aadat bana loonga. *Mein hamesha Allah ke samne tauba karoonga. Aane wale Ramazan se pehle, us ke doran aur us ke baad mustaqil taur par usay apni aadat banaunga. *Koshish karoonga ke ahl mahalla mein kuch samajh boojh paida hojaye taake mein unhe seedhay raste par la sakoon. Iss tarah un ke dilon mein bhalaai ki mohabbat paida hojaye gi. *Mein apne musalman bhaiyon ko dawati maqasid ke liye mukhtasir mobile messages 'SMS' bhejoonga jis mein unhe is babarkat mahine mein bhalaai ke kaamon ki taraf mutawajjah karoonga. Iss tarah mein Allah taala ki is naimat se Allah ki itaat ka kaam lete hue rozana kam az kam 10 SMS bhejoonga. *Mein apne ahl-e-khandan ko apne ghar iftar ki dawat doonga, iss shaoor ke saath ke roza khilwana aur sila rahmi ka khayal rakhna musalman hone ka tawaqo hai. *Aisi guftagu karoonga jo kisi bhalaai ko aage barhaye aur kisi burai ke raste mein rukawat banaye, kisi ko sharh sadr ata kare, ya kisi ke dil par koi musbat asar dale. *Mein apne aap ko akhlaq e hasanah se muzayyan karoonga, apne chehre par hamesha muskurahat rakhunga. Be shak aksar log hasan e akhlaq ki wajah se jannat mein dakhil hote hain. *Neeki aur bhalaai ke un kaamon mein hissa lene ki koshish karoonga jo islami muashray ke mukhtalif idaroon ki taraf se tajwez kiye jaate hain, khwah us had tak ke me mein un ke daftr ka dorah karoonga, un ki akhlaqi himayat karoonga aur un ke liye kalimat e shukr pesh karoonga. *Agar Allah taala ne asbaab faraham kiye to mein is mahine ko umra ki adaai ke liye ghaneemat samjhoonga. *Mein apne nafs ko istiqbaal e Ramazan ke liye in zariye se tayyar karoonga: kitaab parhna, cassette, CD sunna ya kisi lecture ya taaleemi majlis mein hazir hona. *Quran e kareem ki kuch aisi ayaat yaad karne ki koshish karoonga jo mujhe pehle se yaad nahi hain taake mein har yaad ki hui aayat ke badle jannat ki ek seedhi aur upar chadh jaon. Iss maqsad ke liye mein ek maeen program tarteeb doonga. *Mein qabaristan jaonga aur ahl-e-quboor ke liye maghfirat ki dua karoonga. Ziyarat e quboor se mere dil mein dunya aur us ke arzi sazo samaan se be raghbati ka jazba bedaar hoga aur mere andar Allah ki itaat ka jazba parwan chadhe.Main aitkaf aur Allah ke sath khuloot ke liye ek warqah amal tayar karunga. Is silsile mein jo kitabche dastiyab hain, un se madad loonga takay aitkaf ki koi saa'at zaya na ho. (Tarjuma: Gulzadah Sher Pao)