Ramazan: Shafqat aur muhabbat ki tarbiyat gaah (Sheikh Saleh bin Hameed, Khateeb Masjid-e-Haram) Ramazan ka mahina rahmat aur shafqat ki tarbiyat ka mahina hai. Jo shakhs yeh tarbiyat hasil karta hai woh apni biwi ke kandhe par haath rakh kar uska shukriya ada karta hai ke usne bachon ki achi tarbiyat ki, ya acha khana tayyar kiya hai. Jo is tarbiyat gaah se guzar jata hai us ke liye yeh mumkin hota hai ke apne waliden ka matha chume aur un par sabit kare ke usse un se kitni muhabbat hai. Jo shakhs Ramazan mein rahmat aur shafqat ki tarbiyat gaah mein shareek hota hai woh eid ke din apne mulaazimoon ko mubarakbad bhi de sakta hai. Jo shakhs Ramazan ka course mukammal kar leta hai woh yeh bhi kar sakta hai ke phone utha kar un logon se maazrat kare jin ko usne takleef pahunchai aur woh yeh bhi kar sakta hai ke jinhon ne usse azaat di, un se darguzar kare. Jo shakhs is tarbiyat gaah se guzarta hai woh apne bachon ki tarbiyat par tawajjah deta hai. Woh un ki baatein suntahai, un ki chhoti chhoti khwahishat par ghoor karta aur baray baray khawabon ke bare mein un ke saath shareek hota hai. Humen chahiye ke ek lamhe ke liye ruk kar jayeza lein ke humne is tarbiyat gaah se kya paya? Kya hum is tarbiyat gaah ki shara'it par poore utarte hain ya yeh ke humen ek meherban dil ki talash mein is tarah ki mazeed tarbiyat gaahon mein shareek honi hogi. Ramazan aur hamari zimmedariyan Hum ab baat ko jaan lein ke Allah Rabb-ul-Alameen rozon mein hamare imaan ki azmaish kar rahe hain taake rozon ke zariye khare aur khote ki pehchan hosake. Niyat karke roza rakhein is liye ke be shak baghair niyat roza rakhne ka koi ajar nahi. * Apna saara din neend mein zaya na karein. * Allah Rabb-ul-Alameen se tauba ki tajdeed kar lein. * Ramazan mein kasrat se duaen, istighfar aur tazarru (ajzi, gireh aur zaari) karein. * Roza rakhein aur tamam aza ko Allah ki haram cheezon se rokein. (Tarjuma: Sajid Anwar)