sawal: sab se pehle aap apna tareef karain? jawab: mujhe hindu mazhab mein Ram Veer Singh kehakarate thay lekin jab 1994 mein mein ne Bodh mazhab qabool kiya to mein ne apna naam Veer Chhottu rakha, phir 1997 mein Esaaiyat ko qabool kiya wahan par un logon ne Beptize karwa diya tha naam nahi badla tha aur mera Islami naam Muhammad Salman hai, hum log Meerut ke rehnay walay hain lekin ab Delhi mein reh rahe hain, mere walid bohot kam umri mein Delhi aaye thay aur Delhi ko hi apna watan bana liya tha, meri paidaish bhi Delhi ki hi hai aur ab hum Delhi ke mohalla Wazirabad mein reh rahe hain. sawal: aap ki taleem? jawab: mein ne English aur Martial Arts mein MA kya hai, mein teen saal tak Delhi subah ka Martial Arts ka champion bhi rah chuka hoon, mein Mashriqi Delhi mein ek coaching institute chalata hoon English speaking course khas tor par mera shoq raha hai. sawal: aap ne Islam kab qabool kiya? jawab: mein ne 6 April 2007 ko Islam qabool kiya. sawal: aap ne Bodh mazhab aur Esaaiyat ko kab aur kaise qabool kiya? Kya kisi ne aap ko dawat di thi? jawab: Ahmed bhai, asal mein, mein haq ki talash mein tha, is ki talash mujhe dar dar layi phiri, mujhe duniya mein sukoon ki talash thi, mere Allah ka karam hai ke Allah ne mujhe kitne batil ke mazay chakhaye, ab Islam mere liye tehqiqi mazhab hai taqleedi nahi. Mein ne 1994 mein Bodh mazhab ikhtiyar kiya mere ghar se taqreeban dedh kilo meter door bante Veer Chhottu (Imam) rehte hain unke naam par hi mein ne apna naam Veer Singh se Veer Chhottu rakha tha unhone mujhe Bodh mazhab ki dawat di aur kisi foreign country mein bhejne ka lalach diya, mein ne un ki baat maan li aur yeh mazhab qabool kar liya. sawal: aap ne is mazhab ko kaise chhoda? jawab: mera un ke ghar par aana jana tha aur wahan mein be taklifi se rehta tha ek martaba mein ne un ka fridge kholaa, to pork (khinzir) ka gosht rakha hua tha mein us ko dekhte hi samajh gaya ke is mazhab ke jhoota hone ke liye yehi kaafi hai ke yeh log pork khaate hain aur yeh baat mein un se keh kar chala aaya ke aman ka dhong bharte hain aur gosht khaate hain, woh bhi ganday janwar ka. sawal: aap ne Esaaiyat ko kaise qabool kiya? jawab: meri walida mustaqil church mein jaya karti thien, un ke saath mujhe bhi jana parta tha. Wahan par jo padre thay woh mujhe Esaaiyat ke bare mein samjhatay thay aur mere saath bohot acha bartao karte thay, kabhi mujhe gale lagate aur kabhi bohot mohabbat ka izhaar karte mujhe un ki yeh baatein bohot achi lagi aur mein un se bohot mutasir hua ke kitne ache log hain, unhone mujh se itni mohabbat ka izhaar karke Esaaiyat ki taraf mail kar liya aur mein ne Esaaiyat qabool kar liya. Woh bhi bante Veer Chhottu ki tarah mujh se keh kar kehte thay ke tum hamare saath raho, hum tumhein bahar mulkMain le jayenge, lekin Allah ta'ala ko kahin bhejna manzoor nah tha is liye usne mujh se is mazhab ki haqeeqat ko khol diya aur maine wahi Hindu mazhab ki tarah ki murti pujja ko dekh kar is mazhab ko chhod diya. Sawal: Is ke baad kya hua, aap ke Islam ki taraf mail hone ka kya raasta bana? Jawab: Asal mein haq meri pyaas thi. Doortak mujhe bechaini aur dhong ke ilawa kuch dikhayi nah diya. Main roohaniyat aur sach ki talash mein tha. Mere ek Hindu dost ne mujhe Badayun ke ek peer sahab se milwaya, jo Delhi aaya karte the, mujhe Badayun jaane ko kaha, main Badayun unki dargah mein gaya, wahan log mureed ho rahe the, wahan ke kuch logon ne mujhe bhi kapda pakravaya aur mujh se kaha ke aap hamare hazrat sahib se mureed ho gaye, unhone kalma aur Allah ka zikr bataya, Ahmed bhai! Mujhe kalma aur Allah ke zikr mein to maza aata tha, magar un peer sahab ka saara nizaam Hinduon ki tarah hi lagta tha. Bas murti ki jagah peer badal gaya tha, peer sahab ko sab sajda karte the, mujhe bhi nah chahate hue yeh sab karna padta tha. Main chand baar Badayun gaya magar mujhe ghar par reh kar zikr mein to chain sa milta tha, magar wahan jaakar phir wahi bechaini ho jaati thi. Sawal: Kya peer sahab ne aap ko kalma padhaya aur baqaida musalman banaya? Jawab: Nahi, unke yahan apne mazhab mein reh kar sab unke mureed rehte hain. Sawal: Phir Islam qubool karne ka kya waqia hua? Jawab: Hamare ghar mein taa'meer ka kaam chal raha tha, Mujeeb bhai se maine kuch samaan khareeda, Mujeeb bhai ne ek baar mujhe Islam ke bare mein bataya aur Islam qubool karne ki dawat di, maine apni haq ki talash aur dar badar maare phirne ki dastaan sunayi aur peer sahab se bayat hone ki baat bhi batayi, unhone mujhse Islam qubool karne ke bare mein sawal kiya to maine bataya ke peer sahab apne mazhab mein reh kar sab ko mureed karte hain, to w ah bohot hanse aur mera mazak udaya aur mujh se Hazrat Maulana Kaleem Sahab Siddiqui ka taaruf karaya aur bataya ke sachay peer aise hote hain, aap unse milen to phir aap ko dar dar bechain phirna nahin padega. Maine wada kar liya aur teen roz ke baad hum phalat ke liye chale, raaste mein Mujeeb bhai ne Islam ke bare mein mujhe tafseel se bataya "Aap ki amanat aap ki siwa mein" mujhe di, maine usse padha, mujhe aisa laga ke jis haq ko tu talash kar raha hai woh tujhe mil gaya hai, hum log Maghrib ke baad phalat pah anche Hazrat ne mujhe mohabbat se gale lagaya bohot waqt diya aur Mujeeb bhai ke kehne se dobara kalma padhwaya. Hazrat Maulana ne mujhe tauheed aur shirk ke silsile mein khas taur par badi tafseel se bataya, jis se mera dil bohot mutmain hua. Hazrat ne mujhe "Marne ke baad kya hoga? Islam kya hai? Aur Khutbat Madrasa ka tarjuma padhne ka mashwara diya maine Delhi jaakar kitaaben khareedin, un kitaabon ko padh kar mujhe aisa laga ke andhe ko aankhein mil gayi. Maine Hazrat se kaha ke badi tadad musalmanon ki bhi tauheed se door hai aur peer parasti karti hai, khud mere peer sahab sajda karwate hain, unko shirk se rokne ki koshish karni chahiye, maine Hazrat se kaha kiya main peer sahab ko samjhane ki koshish karun? Hazrat ne farmaya ke unhone aap ko zikr bataya hai woh aap ke mehman hain unko samjhane ki koshish karni chahiye. Mujeeb bhai ke mashwara se maine Hazrat Maulana se bayat ki darkhwast ki Hazrat ne farmaya ke aap padhe likhe aadmi hain, aap ko har faisla bohot soch samajh kar karna chahiye ab tak aap bohot jaldi mN faislay karte rahe hain yeh faisla aur bhi zyada soch samajh kar karna chahiye. Main ne israar kiya ke Hazrat mujhe apne Allah se qavi umeed hai ke mere Allah ne mujhe bhatka bhatka kar manzil tak pohancha diya hai, ab inshaAllah un ke baad mujhe kahin jane ki zarurat nahi mere bohot israar par Hazrat ne mujhe bayat kar liya, alhamdulillah. Sawal: Phir aap apne pehle peer sahib se milne nahi gaye? Jawab: Main gaya aur un ko shirk ki burai masalon se batane ki koshish ki, shuru mein to woh bohot ghussa hue aur bole yeh choobis numberi ho gaya hai, kisi Wahhabi ke chakkar mein aagaya hai lekin maine himmat nahi hari bar bar un se milta raha, woh rafta rafta narm parhte gaye unhone ek roz koi khwab dekha. Ab woh inshaAllah hamare Hazrat se mureed hone ane wale hain woh ab is raah se tauba karke idhar haq par ane ko tayyar hain un ke sath mujhe umeed hai ke un ke hazaron mureed bhi shirk aur khurafat se tauba karenge. Sawal: Kya aap se pehle kisi ne Islam ki dawat nahi di? Jawab: Dawat to nahi di lekin mere dosto ne mujhe Islam ke bare mein bataya aur Mumbai mein bhi mujhe ek sahib ne Islam ke mutalliq bohot si batein batayin lekin woh mujhe theek se samjha nahi paye aur kuch musalmanon se mujhe nafrat bhi thi kyunke jahan mein rehta hoon wahan par musalman har bura kaam karte hain, krayim karna aur sharab peena un ke liye aam baat thi, is liye mujhe musalman pasand nahi the aur juloos mujhe Islam ke bare mein batate the woh Islam se khud bohat door the unmein koi bhi Islami baat nahi payi jati thi, is liye bhi un ki batein ne mujh par koi asar nahi kiya. Sawal: Islam qubool karne ke baad aapne tarbiyat kahan hasil ki aur Islam ke bare mein kahan se jana? Jawab: Islam ke bare mein mujhe Majib bhai ne bataya, mujhe jab bhi koi mushkil paish ati thi, to main Majib bhai ke paas jakar us ko hal kar leta tha aur bohot si batein kitabon se seekhi hain. Sawal: Jamaat mein bhi aapne kabhi waqt lagaya hai? Jawab: Ji her mahine teen din ke liye jamaat mein jata hoon. Sawal: Islam qubool karne ke baad aapne kaisa mehsoos kiya? Jawab: Islam qubool karne ke baad maine bohat acha mehsoos kiya, kyunke mujhe mukammal zindagi guzarnay ka tareeqa mil gaya hai, muashre mein kis tarah rehna hai aur logon se kaise mael jol rakhna hai aur kaise muamlat hone chahiye mujhe ek musbat soch mili aur maine bohot sukoon mehsoos kiya. Sawal: Aapne apne ghar walon par dawat ka kaam nahi kiya? Jawab: Mere Hazrat ne alhamdulillah mere dil o dimagh mein yeh baat bitha di hai ke musalman ki zindagi ka maqsad, us ka pesha aur us ki pehchan dawat honi chahiye aur yeh musalmanon mein jo Islam dikhaye nahi deta us ki wajah yeh hai ke musalman apne dawati kiNasab se ghafil hain, is liye tum agar daai ban kar na rahe, jis tarah namak ki kaan mein har cheez namak ban jaati hai, tum bhi islam ke naare aur haqeeqat se mahroom naam ke musalman ban kar reh jaoge. Alhamdulillah maine daai ban kar jeene ki koshish ki aur is ke sadqe mein Allah ne mere biwi bachon ko islam ki dolat se nawaza, meri ahlia nah sirf yeh ke musalman hogaien balkay woh meri bohot mazboot dawati rafeeq hain. Is ke baad mere walid sahib mashriq bhi islam ho gaye, Allah ki rahmat par qurbaan jaon ke mere hazrat aur Majeeb bhai dawati mushkil marahil par mujhe badi umeed ke sath bhejte hain aur Allah ka shukr hai ke Allah Taala hazrat ki umeed ki laaj rakhate hain. Sawal: Ek do waqiat sunaiye? Jawab: Madhiya Pradesh ke ek syed gharane ki ladki ek hindu ladke ke sath Delhi aayi thi aur court marriage karke Delhi mein hindu ban kar us ke sath reh rahi thi. Un ke chacha aur mamoon hazrat ke yahan aaye. Hazrat ne mujhe phone kiya, Majeeb bhai aur maine is ladki se apne shohar se milwane ko kaha, magar woh raazi nah hui aur hamein bhi dawat se rokti thi ke agar aap dawat denge to woh mujhe chhod denge. Hazrat ne phone par mujh se kaha tha, agar in donon ko kalma padhwa kar nikaah karwa diya to peit bharkay mithai khilayi jayegi. Hum log lage rahe, maine ladke ke daftar jaakar ladki ko khabar kiye bagair jaakar baat ki. Alhamdulillah pehli meeting mein usne kalma padh liya aur baad mein ladki ko bhi imaan ki tajdeed karwai aur Jafarabad bilakar un ka nikaah karwaya. Ab woh dono islami zindagi guzar rahe hain. Hazrat bohot khush hue hamare mathe ko chuma aur foran mithai mangwa kar mithai khilai. Ek judge ke paas hazrat ne hamein dawat ke liye bheja. Alhamdulillah unhone bhi kalma padha. Asal mein Ahmed bhai, suchi baat yeh hai ke hazrat sach farmate hain ke hidayat to utri hui hai, hum log jahan jayein koshish karein logon ke liye utri hui hidayat hamari jholi mein aasakti hai. Mujhe ek raat Isha ke baad maloom hua ke ek musalman wakeel ne ek musalman ladki ki shadi ek hindu ladke ke sath shudh karake karwadi hai, main bayan nahi kar sakta mere badan mein ghusa mein aag si lag gayi sardhe das baje wakeel sahib ka pata maloom karke mai rohara un ke ghar gaya. Maine un se kaha aap musalman to nahi insaan bhi nahi, insaan se hamdardi agar aap ko hoti to har ek ko marne ke baad dozakh ki aag se bachane ki koshish karte, aap ne ek dosri ko bhi jahmi banadiya. Aap khud musalman nahi rahe, kya aap ko marna nahi hai, mujhe pata bataiye woh ladki ladka kahan reh rahe hain? Woh kehne lage, file mere daftar mein hai, subah le lena, maine kaha raat ko dono marge to kya hoga, maine dabaav diya ke mujhe pata abhi chahiye, maine sardhe das baje un ko daftar le jakar file nikalwai aur sardhe gyarah baje un ke flat par pahuncha aur un se baat ki, ke raat ko main is liye aap ke paas aya ke agar raat ko aap ki ya meri maut hogayi to aap ka kiya hoga, ek baje tak baat hoti rahi, alhamdulillah ek baje us ladke ne jo computer engineer tha kalma padha, ladki ka haal bhi yeh tha ke use kalma yaad nahi tha. Maine agle roz un ka nikaah padhwaya aur apni ahlia ko us ladki ko deen sikhane ke liye bhejna shuru kiya, alhamdulillah ne namaz padhna shuru kardi. Sawal: Islam qubool karne ke baad kya kuch mushkil ka samna karna pada? Jawab: Islam jaisi naimat ke muqabla mein jo kuch mushkil aayi woh kuch bhi nahi thi asal mein qeemti cheez badi qeemat par khareedi jati hai, chandi ke liye kam qeemat aur sonay ke liye zyada qeemat deni padti hai.Yeh hai, imaan se zyada kaainaat mein koi cheez qeemti nahin, Allah ne is banday ko bilkul sastay mein ata farmadi. Kuch thori thori mushkilain aayi, in mein sab se pehli yeh thi ke mere institute se sare students chhor kar chale gaye ke yeh to parha likha jahil ho gaya aur mera rozgar ka masla mushkil hogaya, magar Allah ne jald hi musalman larkon ki badi tadad bhej di aur baad mein in mein se bhi bohot se larkay doosri jagah nakam hokar mere yahan wapas aagaye. Sasural walon ne boycott kar diya, makaan banane mein kuch logon ka qarz ho gaya tha, in logon ne mere musalman hone ke baad bohot sakhti ki, magar yeh mamooli baatein hain. Yeh to aam aadmi ki zindagi mein aati hain, in mushkilon ne mujhe dua ka maza sikha diya aur alhamdulillah dua ki quwat par mera aitmad barha. Sawal: Kuch aur logon ne bhi aap ki dawat par Islam qabool kiya hai, is ki kuch tafseelat? Jawab: Alhamdulillah ek khasi tadad hai. Sawal: Woh tadad kitni hogi? Jawab: Hamare hazrat yeh kehte hain ke jo abhi musalman nahi hue un tak dawat pohanchani hai woh saarhay chaar arab hain, un ke muqable mein jo musalman hue woh bilkul nahi ke barabar hain taham hum gandoon ko Allah ne zariya banaya aur is par hum Allah ka karoron karoron shukr ada karte hain, alhamdulillah badi tadad to aise logon ki hai ke khandaanon ke liye masla bane hue the, Allah ne hum dono ko hidayat ka zariya banaya. Sawal: Armughan ke qareen ke liye kuch paigham aap denge? Jawab: Puri insaniyat haq ki pyasi hai, sarab dekh kar un ko pani ka gumaan hota hai, kabhi is mazhab mein, kabhi us mazhab mein, kabhi is sat sang mein, kabhi us sat sang mein, kabhi J gerudio, kabhi sher di wale baba, magar sab andhere mein hain, sirf aur sirf Islam hi un ke sukoon aur dard ka dawa aur un ki bechaini ka ilaj hai. Aaj dolat ki rail peil aur science aur technology ki taraqqi ne insaniyat ko pehle se bohot zyada bechain kar diya hai, Khuda ra bechain insaniyat par tars khaye, Islam ke maze se aashna hone ke liye bhi aur dukhi aur bechain insaniyat par tars khakar apne daa'wati mansab aur farz ka haq ada karein. Sawal: Islam ke mutalia ke liye aap kya kar rahe hain? Jawab: Alhamdulillah mein musalsal mutalia karta hoon aur ab mein ne Quran Majeed hifz shuru kar diya hai, meri dil ki khwahish hai ke mein daa'i balquran banun, is ke liye Quran ka hifz bohot zaroori samajhta hoon. Sawal: Bohot bohot shukriya! Jazakumullah khair al-jaza Jawab: Wa'alaykum assalam wa rahmatullahi wa barakatuh Mustafad az mahnama Armughan, May 2008 AD