Jaane ghar se koi gaya hai, ghar soona soona lagta hai.

Click here to read more articles from this author

Click here to read full magazine

Jaane ghar se koi gaya hai, ghar soona soona lagta hai Ghar ke bachay ka chehra utra utra lagta hai Hum bahar se ghar kya laute hain, sab ko paraaye lagte hain Ab jo bhi hum se milta hai, kuch rootha rootha lagta hai Yeh kis ko khabar thi, us ko bhi dukh dene ke dhab aate hain Chehre mahre se to woh hum ko bhoola bhaala lagta hai Husn agar sucha ho to us ko ziabaaish ki haajat kya Seedhe saade jode mein bhi woh kitna pyaara lagta hai Ghaflat ki neendain sone wale is lutf ko kya samjhein Jab subah azaanain hoti hain to kitna achha lagta hai Ohda un ko jab se mila hai, woh jaane kaise lagte hain Lehja hi nahi ab, chehra bhi kuch badla badla lagta hai Iqbal se hum kal raat mile thay, chupka chupka baitha tha Kya jaane us ko kya dukh hai jo khoya khoya lagta hai