Yeh meri ana ki shikast hai, na dawa karo na duaa karo.

Click here to read more articles from this author

Click here to read full magazine

Ye meri ana ki shikast hai, nah dawa karo nah dua karo Jo karo to bas ye karam karo mujhe mere haal pe chhod do Jo kisi ko koi sataye ga to gila bhi honton tak aaye ga Ye to ek usool ki baat hai, jo khafa hai mujh se koi to ho Ye sirf tumhare sawal ka mera mukhtasir sa jawab hai Ye gila nahi hai, khuloos hai, meri guftagu ka asar na lo Ye adhoore chaand ki chandni bhi andheri raat mein kam nahi Kahin ye bhi sath na chhod de, abhi roshni hai chale chalo *** Mein ne kuch aur kaha aap se aur aap ne kuch aur suna Mujh mein lafzoon ko bartanay ka saliqa hi nahi hai shayad Jab bhi milye wahi shikayatein wahi mathe pe shikan Aap se koi mile aap ka mansha hi nahi hai shayad Mein ne to pershi-e-ahwal bhi ki aur mukhatib bhi hua Husn-e-akhlaq magar aap ka shewa hi nahi shayad Baatein ab manzil-e-tashheer tak aa pahunchi hai jistah jistah Ab bajuz tark-e-taluk koi rasta hi nahi hai shayad Aap kuch bhi kahain naqabil-e-tardeed haqeeqat hai ye Aap ko meri sadaqat par bharosa hi nahi hai shayad Ab woh ahabaab na mahool na aadaab na persh na salaam Ab to mehfil mein koi apna shanasa hi nahi hai shayad Hakim sheher pe tanqeed ka iqbal natija maloom Aur woh ye ke tumhein sheher mein rehna nahi hai shayad ***