Maavra fikr o takhayul se hai pekar tera Kaise ek jheel mein utrega samandar tera Teri azmat ke nishanat hain kitne roshan Tabe-e-hukm hai khurshid-e-manawar tera Aamad-e-subh ka jab deti hai pegham subah Zikr hota hai gali koocha mein ghar ghar tera Sabt hai jis pe Ibrahim ki mohar-e-tameer Hum ne sajdon se basaya hai woh makhdoom tera Maddah khwan tere hain peghamber Makkah Madani Kyun na lein naam wazu kar ke sukhanwar tera Sahn-e-Kaaba mein kahin nasb mujhe bhi kar de Sang-e-Aswad bhi tera, mein bhi hoon pathar tera Phir sharaf tujh ko mila deeda-e-haram ka rasikh Ooj-e-girdon pe chamakta hai muqaddar tera