Seed Organization samaji shobay mein ek nayab parafit research and development aur design aur development ka idara hai. Jo ma'ashat ke tamam shobon aur dafai zaruriyat ke liye mulki takneeki salahiyaton ke zariye khud inhsari ke liye koshan hai. Seed Organization ne nihayat kam lagat mein high tech manufacturing process mulk ke andar develop kiye hain jo aalami gher hain aur un se auto parts, power tools, jahazon ke parzay, computer ka samaan, khilone, zewar aur ghairah ki tayari ko nihayat aasan aur basaholat bana diya gaya hai. Jadeed technology system ya process mein hamein is qabil bana diya hai ke hum aerospace, electronics, dafai pedawar, power generation aur recycling industry mein mustaqbil ki zarooriyat ko pora kar sakein, is liye is high tech technology ko in ashya ki tayari mein shamil kiya gaya hai. Jiski awami aur dafai shobay ke liye fori zarurat hai. Seed Organization ke high tech programs ashya ki pedawar ke izafay ke liye, daraamadat ke mutabadil ke tor par aur bramdat ke izafay ke liye aur ghurbat ke khatme, rozgar ki farahmi, aamdani mein izafay, skill development, Pakistan ki maashi taraqqi aur takneeki taleem ke liye hai. Hamara mission hai ke hunarmand aur neem hunarmand afradi quwwat tayar ki jaye, takay qoumi ma'ashat ko barhawa diya jaye, bay rozgari aur ghurbat mein kami lai jasake. High standard ko apnate hue qabil-e-bharosa maloomat aur planning, faisla-sazi ke amal mein hamein bohot madad milegi. Lahore mein hamara shandar mansuba Craft Design Technology Institute (CDTI) hai. Jo apni tamam raonaiyon ke sath awam ki khidmat aur Pakistan ki maashi taraqqi ke liye masroof amal hai. Be shak hamare takhleeqi kaam (metal powder technology, spin cast system technology, HHO fuel system technology) ko awam ne be had pasand kiya aur hamein jis izzat se nawaza hum us ko madnazr rakhte hue behtar se behtareen ki taraf rawan dawan hain. Hum inshallah kamiyabiyon se kamraniyon ka safar jari rakhein ge aur Pakistan ki taqdeer badal kar taraqqi ki raah par gamzan karne ke sath sath Pakistani awam ki zarooriyat ke mutabiq fani taleem ki sahuliyat ki farahmi hamara azm hai aur hum puri maharat aur diyanat ke sath is azm ki takmeel mein masroof amal hain. Hum ab doosre hisse mein dakhil ho chuke hain is ke liye fani tarbiat gahain badi tadad mein qaaim ki jarahi hain aur un mein tamam sahuliyat hongi jin ke baeis tarbiat aasan hojayegi aur zyada se zyada tadad mein log fani maharat hasil karke taraqqi ke ahdaf hasil karte huwe mulk aur qoum ko bam urooj par le jayenge. In maqasid ko hasil karne ke liye hum ne apne ma'awan idaroon ki madad se chote bare shehron mein fani tarbiat gahain qaaim karni shuru kar di hain. Jin mein se bohot sari idaray ne tarbiat deni shuru kar di hai. Door daraaz ilaqon mein fani tarbiat ki sahuliyat mojood nahi hain. In ilaqon ke liye mobile fani tarbiyati unit ka intizam kiya ja raha hai. Is ke ilawah art craft design technology ki classes ka silsila iskoolon mein shuru horaha hai. Jo primary satah se high school ki satah tak hai. University mein technology incubation aur business incubation centers ka qayam amal mein laya ja raha hai. Ye tamam kaam NGOs aur ma'awan idaroon ki madad se kiya ja raha hai. Is program se hum ne ghurbat ke khatme ke liye aur taraqqi yafta mulk banne ke ahdaf hasil karne hain. Is mein technology park, technology gaon, pedawari cluster ko qaaim karke bahami madad ke farogh ke sath jadeed technology ki hamil gharailu san'aton ka qayam hai. Pakistan mein 952500 jadeed technology ki hamil gharailu industrial units jo sale system technology ke sath pedawar shuru karen ge jo qareeb 28575000000000/- rupay maaliyat saalana ka pedawari hadaf hasil kar ke GDP mein apna hissa ada karen ge. Ye un aِLaqoon se ho gi jo pasmanda hain jin ka GDP mein hissa zero ke barabar hai. Hum ne fani taleem ki tarqqi aur technical khawandgi ke farogh ke liye mahaz duaon aur wadon ki bajaye amli iqdamat par eem rakhain hain. Fani taleemi programs ab asri tawaazon aur qoumi mafaadat se ahang karke hum ne WTO ke challenges se niptne, barhawat mein izafa, tijarati khasara kam karne ke liye bahami moawinat ke mutaharrik nizaam ko waze kiya hai. Seed Organization ke scientists nayi nayi daryafton mein masroof hain. Hamare haan ilm bari tezi se taraqqi ki raah par gamzan hai. Hamare scientists ki koshish hai ke electronics, metallurgy, chemistry ilm aur tawanaiyon par aab-o-hawa hasil kiya jaye. Lekin aaj hamari kakirdgi bohot behtar hai. Is ka natija ye nikla hai ke aisi fani maharatain daryaft karli gayi hain jo kam kharch aur zyada istedad se insaan ki khidmat ke liye istemal mein lai ja sakti hain. Aaj bahami moawinat ka iqtisadi nizaam ek bharpoor quwat ke sath ubhar raha hai. Aur isi bunyad par mein barayi uthoq se keh sakta hoon ye nizaam AIS o ke tarah saari dunya par chha jayega. Agar mein zarrah hoon lekin is zamane ko roshan karne wala sooraj mera hai. Sankaron sahbaten mere garbiyan mein hain. Hamara aizza: Allah Ta'ala ka shukr hai ke bahami moawinat ke sath Islami maashi inqilab ka aghaz arz-e-Pakistan se ho raha hai. Jis ki bunyad bhi Islami fikr o nazriya aur jadeed technology par rakhi gayi hai. Pakistan ke husool ki surat Islamiyane Hind ki kamiyabi bila shuba beeswin sadi mein Musalmanon ki bedari ki wazeh alamat samjhi jati hai. Bad qismati se is khalis fikri o nazriyati mumalik mein bhi bojoh doosri Islami riyasaton ki tarah maghribi tehzeeb o saqafat aur farangi afkar ki yalgar se deeni aqdar ko ghair mamooli dhakka laga. Lekin phir bhi Allah Ta'ala ka fazl hai ke khitay mein bawajood surkh o safed samraj ke siyasi o maashi aur askari dabao ke deeni himayat ki changari badstoor mojood rahi hai. Is liye mazi qareeb ke tareekhi pas manzar aur maujood siyasi halaat ke tanazur mein sahaban fikr o nazr is natije par pohanchne mein koi mushkil mehsoos nahi karenge ke jis tarah Islami maashi nizaam ke qayam aur tehzeeb o tamaddun ke farogh ke liye is waqt wa aalam-e-Islam mein Pakistan se zyada saazgar halat aur kahin dikhaye nahi dete. Agar koi mard-e-raah dan is qoum ki mazmool aur muntashir salahiyaton ko yakja karke taraqqi ka rasta dikhade to ye qoum apni gumgushta azmat o shaukat ki talash ke liye rukhsafar bandh le gi.