1st January ko mera imtehan tha. Albatta ek qareebi dost se mulaqat karne ki wajah se thora late ho raha tha. Is liye university jaate hue bike la mahal tez chalana tha. Raaste mein ek jagah moor kata hi tha ke samne chalne walay logon se takrate takrate bacha. Woh mujhe dekh kar tetar butar hogaye aur badi mushkil se mere bike ki kari zarb se bach paaye. Unki nigahein batarahi thi ke woh dil hi dil mein mujhe bura bhala keh rahe hain lekin mein imtehan mein late hone ka risk nahi le sakta tha. Chunaancha unhein usi gham o ghusse ke aalam chhod kar chalta bina. Imtehan dene ke baad mein ghar pahuncha to dobara wahi waqia zehen mein aagaya. Phir dimagh mein achanak ek aisa hi waqia yaad aaya. Ek martaba mein bhi apne doston ke saath paidal march karte hue ja raha tha. Achanak ek scooter sawaar uncle humse takrate takrate bach gaye. Hum sab ne nah sirf unhein nigaahon se sharminda karne ki koshish ki balkay barbadi se bhi ehsaas kiya lekin unke kaan par jhoo tak nah rehne di aur woh humein dekhe baghair manzil maqsood ki janib rawan dawan hogaye. Mein ne socha ke dono waqiat ki noaiyat ek jaisi hone ke bawajood mera stand mukhtalif tha. Pehle waqie mein ghalti meri thi lekin mein ne apne imtehan ka bahaana karte hue khud ko masoom qarar diya. Dusre case mein ghalti un sahib ki thi aur mein ne un ki ghalti par bharpoor class li aur koi margin nah diya. Yeh dohra maayyar nihayat hi khatarnak laga. Phir mujhe quran ki ek aayat yaad aayi. "Tabahi hai un kam tolnay walon ke liye. Aise log jab khud naap kar lete hain to poora lete hain. Aur jab doosron ko naap kar ya toln kar dete hain to ghata kar dete hain. (Surah Al-Mutaffifeen) Mein yun mehsoos karne laga ke shayad yeh aayat mere hi liye utri hai. Meri aankhon se aansu behne lage lekin yeh nadamat ke aansu nahi balkay iqrar ke moti thay. Phir mein ne ahd kar liya ke aane wale mein dohra maayyar ikhtiyar nahi karunga aur jo apne liye pasand karun ga wahi apne bhai ke liye bhi chahunga.