Insaan ek bebas makhlooq hai, uska ikhtiyaar uske apne haath mein nahi hai. Jab Quran Majeed yeh kehta hai ke roz-e-aakhirat uske haath, paon, zubaan aur jild uske khilaaf gawah denge to is mein ahl-e-baseerat ke liye koi achambhe ki baat nahi. Kyunki usko maloom hai ke yeh haath, paon aur zubaan uske nahi, insaan inka malik nahi, malik to sirf Allah Subhana wa Ta'ala hai. Bazahir hum kitna khayal rakhte hain apne haathon aur paon ka hazaron kharch karte hain unki khubsurati par, lekin jin se hum itna pyaar karte hain wohi roz-e-aakhirat humare khilaaf hojayenge. Yeh to ahl-e-iman ke liye ek daleel hai. Lekin sciencei daleel bhi mojood hai. Hard disk, micro SD, memory card ka hamare jism mein mojood hona aur hamare har amal ko record karna mumkin hai. Hard disk, micro SD, memory card ke main components silicon aur chlorine hain. Aur hairat angaiz taur par yeh dono elements hamare jism mein mojood hain. Silicon hamare poore jism ke khoon mein bhi mojood hai. Poore insani jism mein silicon ki miqdaar 2-1 gram hai. Haddiyon mein bhi silicon paya jata hai aur agar uski kami waqea hojay to haddiyon ki growth mutasir hoti hai aur matabadil ke taur par doctors silicon ko dietary supplement ke taur par tajwez karte hain. Kitni hairat ki baat hai zyada tar haddiyan hamare haathon aur paon mein hi mojood hoti hain. Aur Allah ne aisa nizaam bana diya ke memory card ke main element silicon ki kami hojaye to masnoi main made silicon se uski kami puri ki jati hai. Is ke ilawah qudrati pani mein 25-5 milligram per liter ki miqdar se silicon mojood hota hai aur hamare jism ka 72% hissa pani par mushtamil hai. Dusra bunyadi element chlorine bhi hamare jism mein 95 gram/0.14% ki miqdar se mojood hai. To yeh kyun mumkin nahi ke Allah ne hamare jism mein ek pura data base set kiya hua hai jo hamare aamaal ka hisaab rakh raha hai. Bas usko zaban dene ki der hai aur yeh hamare sare aamaal khol kar byan kardenge. Bilkul aise hi jaise hard disk, micro SD, memory card mobile aur computer mein jane se pehle be zaban hain aur jab woh un se attach hojate hain to un mein mojood videos aur tasveer bol uthti hain. Isi tarah jab Allah Ta'ala hamare aaza ko quwwat goyaai ata karenge to yeh bhi bol uthein ge. Is liye hamein kuch bhi karne, bolne aur sunne se pehle is baat ko yaad rakh lena chahiye ke hum kisi tarah bach nahi sakte humari apni cheezein hamare khilaf gawah dengegi.