Mera wird naat Rasool ho, mera qalb qalb-e-huzoor ho Mere har nafs mein durood ho, mere ghar mein barish-e-noor ho Main parhoon kalaam Khuda agar mujhe aaye ru-e-Nabi nazar Parhe un ke husn pe jab nazar to jamal-e-Haq ka zuhoor ho Khule dil ki aankh agar nahin to yeh raaz tujh pe bhi ho ayaan Wohi dekhta hai Tajalliyan jise dekhne ka shauor ho Karoon un ke husn ki guftagu rahoon un ke samne rubaru Nah mujhe ho khuld ki arzoo, nah khayal-e-hoor o qasoor ho Mere lab pe tera hi naam ho, meri mastiyon ko dawam ho Jo kisi tarah nah tamaam ho woh ata mujhe bhi suroor ho Main reh amal mein faqeer hoon, main ghareeb kab hoon ameer hoon Tere ghesuon ka aseer hoon mujhe kyun nah us par ghuroor ho Teri rahmaton ke mehiet mein hai mahat-e-wusat doosra Koi aisi shay hi nahin shaha jo teri nigah se door ho Teri aastaan pe meri juban hai nadamatoun se jhuki hui Tu shafee roz-e-hisab hai mera door jurm o qasoor ho Yehi arzoo sheh zameen nah ujre sake meri anjuman Jahan tere zikr ka ho chaman wahan mashadi bhi zaroor ho