I am sorry to my friend... Na jane aaj maine woh kya manhoos khabar suni jo baar baar ek waqia yaad a raha hai. Waqia kuch yun hai ke mere ek sabiq room-mate dost ne mujhe khane par bulaya tha, woh kayi baar MP ban chuka hai. Canada se gaya hua ek gora dost Jason bhi mere sath tha. Tay yeh hua tha ke hum MP hostel aayenge, wahan se hamara MP dost humein le kar khane ke liye kisi hotel jayega. Hum uske hostel pahunchay to us se milne ane wale ka intezar bandha hua tha. Chand ghante mein usse milne tarah tarah ke besiyon ke log aaye, zyadatar matwassit tabqay ke log the. Baaz padhe likhe naujawan naukri ki darkhwast ke liye aaye the, kisi ko police se mutalliq kaam tha koi apne ilaqe mein sadak sulang ya pul banwana chahta tha. Kisi se woh uth kar galay milta, kisi se haath milata, kisi ke jaate hue woh khada ho kar haath milata, kisi ko galay mil kar rukhsat karta, kisi ko bethay bethay hi door se haath hila kar khuda hafiz keh deta. Itne mein lambay qad, safed qulf dhar kapron aur chamakti taaw dhar moonchon wala ek shakhs kamray mein dakhil hua jisne nihayat shandar miltani khusse pehne hue the, mera dost us se nihayat purtapaak andaz mein uth kar mila. Uska walhanah istaqbal dekh kar wahan bethay sab hazreen ne bari bari ane wale se khade ho kar musafaha kiya. Main ne us se haath milaya to uski kalaai mein bandhi Rolex ki lakdi marte ghadi notes kiye baghair na rah saka jo kam se kam das lakh ki hogi. Mera MP dost us ane wale ko malhooz kamray mein le gaya. Chand minute baat cheet ke baad woh bahar aaye to un sahab ne wapas jane ka kaha. Mera dost kehne laga chaliye main aapko bahar tak chod kar aata hoon. Ek baar phir sabhi hazreen ne us muaazziz shakhs ko uth kar khuda hafiz kaha, woh bahar jane lage to mera dost bola Rizwan tum bhi aajao. Bahar ke raste par mere dost ne us shakhs se mera tareeq karwaya aur kaha main Rizwan ko aap ka number de raha hoon, yeh kisi kaam ke liye call karein to yehi samjhein ke maine call ki hai. Us shakhs ne sine par haath rakha aur kaha unhein shikayat nahi hogi aur jeb se ek sone ka card nikal kar mujhe de diya. Mujhe kuch tajassus tha ke yeh kaun sahab hain jin ki itni izzat ki gayi hai. Card se unke bare mein kuch khaas maloomat nahi mili. Usse uski gaadi tak chod kar wapas aate hue mere dost ne khud hi batate hue kaha yeh Pakistan ka sab se baa asar aur mehnga dala (pimp) hai. Sirf parliamentarians aur top ki bureaucracy ya foreigners se deal karta hai. Tumhare sath gore dost hain socha shayad tumhein us se kaam pare, yeh ek din ke pandrah sau American dollars leta hai lekin tum yakeen karo tumhein apne kharch kiye paise par afsos nahi hoga. Na jane woh kaunsi khabar thi jo sun kar mujhe yeh manhoos waqia yaad aa gaya, lekin yeh tay hai tabah hal maashroon ki bunyadi nishani yahi hogi ke merit ki bajaye dallali izzat aur martabe ki zamin hogi.