*Misr ki aik moalima ka waqia* Woh moalima hamesha apne shagirdon ko naseehat karti thi ke Quran pak ki is aayat ke mutabiq zindagi guzaren, "Wa'ajiltu ilaika Rabbi litardaa" (Surah Taha, 84) (Aye Pardagar maine teri taraf aane mein jaldi ki taake tu khush ho). Woh kehti thi ke main is aayat se bohat mutasir hun, jab bhi main azaan ki awaz sunti hun aur agar main kisi bhi kaam mein masroof hun, main apne aap ko yeh aayat yaad dilati hun aur sab kuch chhod kar namaz ada karne khadi ho jati hun. Raat ko do baje jab tahajjud ka alarm bajta hai aur main gehri neend mein mazeed sona chahti hun to yeh aayat mujhe yaad aati hai aur mujhe jagati hai. Is khatoon ke shohar ki aadat thi ke kaam se waapas ghar aate waqt woh use phone par khane ke mutalliq hidaayat deta taake ke uske ghar pohanchne par garama garam khana tayar mile aur woh khana kha kar so jaaye. Ek din usne phone par machli khane ki farmaish ki (angoor ke patton mein chawal bharay jate hain aur phir unko halki aanch par pakne rakha jata hai bohot waqt talab dish hai) Itni deer mein azaan ki awaz sunai di to uske sirf teen roles rahe gaye the (jin ke bharnay mein zyada se zyada paanch minute lagte) lekin usne hisab e aadat sab kaam chhode aur namaz ada karne khadi ho gayi, is khatoon ka shohar use baar baar phone karta raha lekin koi jawab mosool nahin hua jab woh ghar pohancha to usne dekha ke uski biwi sajde mein hai aur khana abhi tak tayar nahin hai. Usne dekha ke sirf teen roles bharnay rahe gaye hain to usay shadeed gussa aya aur usi gusse ke aalam mein usne apni biwi ko daantna shuru kar diya, "Tum apna kaam khatam kar ke deegchi chulhe par rakh kar bhi namaz ada kar sakti thi, teen roles banana mein kitni deer lagti hai", lekin uski biwi ki taraf se koi jawab nah aya jab woh uske paas aya to dekha ke sajde ki halat mein uska intiqaal ho chuka hai. Subhan Allah agar usne hamari tarah yeh socha hota ke chalo koi baat nahi pehle apna kaam khatam kar lete hain phir namaz parh lete to uska intiqaal kitchen mein hota. Lekin ek shakhs ka intiqaal usi halat mein hota hai jis par woh saari zindagi guzarta hai aur usi halat mein woh dobara uthaya jayega. Hamare Aqa Hazrat Muhammad (S.A.W) ne irshad farmaya ke har shakhs usi halat mein uthaya jayega jis mein woh foot hua. Aaiye aaj ek ahd karein... jaise hi azaan ki awaz sunai de sab kaam ek taraf rakhein aur namaz ke liye uth khadi hon. Hamare Aqa S.A.W se kisi ne poocha ke Allah Ta'ala ke nazdeek sab se mahboob amal kya hai? Unhone jawaab diya namaz ko us ke awwalin waqt mein ada karna. *Bhaiyon ke liye*: Jaise hi aap azaan ki awaz sunen foran wazu karein aur masjid chale jayein apne aap ko yeh aayat baar baar yaad dilate rahen, "Wa'ajiltu ilaika Rabbi litardaa" (Surah Taha, 84) Tarjuma: (Aye Pardagar maine teri taraf aane mein jaldi ki taake tu khush ho)