Unisween sadi mein Arab mumalik mein Yahoodiyon ki halat Makhooz az tamaddun Arab'' az Gustavoli Baan mutarjam Syed Ali Bilgrami ka ek hashiya 1855 mein Yahoodiyon ki Arab mumalik mein halat kya thi?''Agarche Arab Yahoodiyon ke saath apni qurbat ko qubool karte hain lekin woh is qurbat ko apni be izzati bhi samajhte hain. Main ne apni safar mein Jermani, Poland, Galicia aur Rus o Mashriq mein Yahoodiyon ko zaleel halat mein dekha hai lekin jo kuch khwari is qoum ki Europe mein hai woh bila shakay un nafrat ke jo Arab un se karte hain kuch bhi nahi hai. Arabon ki nazar mein Yahoodi ek najis janwar hai jis ke saath har qisam ki badsaluki jaiz hai. Al-Khabrair mein jab koi Arab kisi Yahoodi se mukhatib hota hai to usse al-Jaifah ibn al-Jaifah ke naam se pukarta hai aur Yahoodi kisi bhi bhes mein kyun na ho Arab usse hamesha pehchan leta hai. Mujhe Al-Khabrair mein aise waqt mein qayam karne ka ittefaq hua hai jab ke wahan aik jalsa ki taqreeb se bohat se afshanos Europe ke jama huye the lekin baraha Arabon ne bila chuke huye aise afshanos ka Yahud al-Asal hona mujhe bata diya jin ki shakl o surat mein khud mujhe koi khaas baat nahi maloom hoti thi. Un Islami mumalik mein jo Europe ke dabao se kharij hain Yahoodi ki madarat mein mutlaq qanoon ki pabandi nahi hai. Aur hewanat se bhi zyada us ke saath badsaluki ki jati hai. Musiyyokat 1855 mein Morocco ke Yahoodiyon ki halat ko yun bayan karte hain ''Yahoodi siyah kapre pehnne par majboor kiye gaye hain kyunke yeh rang matmi aur namak haram samjha jata hai un ko ghore par sawar hone ki mana'at hai agar woh kisi masjid ya ibadat gah ya dargah ya kisi mullah ya shareef ki sawari ke samne se guzrein to un ke liye zaroori hai ke is maqam se guzrne tak joota utar kar haath mein le lein. Un ko Islami qabristano mein se guzarne ki ijazat nahi hai aur un ki aurton ko khafif se khafif qasoor par mohtasib Islami jo is khaas kaam ke liye muqarrar hai aam maqamat mein taziyanay marta hai agar koi musalman kisi Yahoodi par hamla kare to us Yahoodi ko mana'at hai ke bajuz bhaag jane ke ya khushamad o lajajat ke aur kisi tarah apni hifazat kare aur us ke khilaf amal karne ki saza qatal rakhi gayi hai aksar dekha gaya hai ke saat aath saal ke chhokre bade bade quwwi jawanon ko patthar maar rahe hain, lakriyon se peet rahe hain, thappar laga rahe hain, danton se kaat rahe hain ya nakhoon se noch rahe hain aur yeh becharay jo Yahoodi hain jhuk rahe hain peche w tab kha rahe hain aur hazar sooraten apne bachao ki kar rahe hain lekin in koshishon mein barabar khayal yeh hai ke taraf-e-muqabil ko kisi qisam ki chot ya zarb na aajaye'' Yeh halat jo Yahoodiyon ki bayan ki gayi hai Morocco ke androni hisson mein ab tak mojood hai lekin albata Tabkheer (Jughrafiyeen Arab ka taikha) mein jahan kal mumalik Europe ke baliyos mojood hain is qadar sakhti nahi hai kyunke Yahoodi un baliyoson ki hifazat mein samjhe jate hain jis waqt mein is ajeeb o ghareeb sheher mein dakhil hua to mujhe Badshah se milne ka ittefaq hua aur mere saath Baleem ke qonsiliya ka mutarjam tha jo aik namwar Yahoodi hai aur us ki puri tarah pazeerai hui.