Ek bohot hi qeemti baat ek baar phir aap sab ki khidmat mein pesh karta hoon. Mujhe bachpan se hi Quran pak ka tarjuma aur tafseer padhne ka bohot shauq tha. Main namaz ke baad masjid mein aise Quran pak ki talash mein rehta jis ke aadhe safhe par ayaat aur un ka tarjuma likha hota aur baqi aadhe safhe par tafseer likhi hoti thi. Main ghanton is mein khoya rehta tha, itna ke bina nashte ke school chala jata. Kyunki namaz Fajr ke baad se le kar school jane ke waqt tak masjid mein baitha tarjuma aur tafseer padhta rehta. Woh sab mere liye bohot dilchasp hota tha. Mujhe ummaton ke haal padhne ka bohot shauq tha. Is doran maine kuch cheezein note ki ke Allah ta'ala ek lafz bohot zyada Quran pak mein byan farmata hai, woh lafz tha "Dar". Is lafz ki Quran pak mein bohot takraar ki gayi hai. Darne walon se mohabbat ka izhar kiya gaya hai. Darne walon ke liye Jannat hai, darne walon ke liye Jahannam ki aag se azaadi hai. Darne walon ke liye dunya mein izzat ka elaan bhi Quran pak mein maujood hai. Darne walon ke liye roti rozi ka bhi koi masla nahi hai. Darne walon ke liye azaab se bhi nijaat thi. Darne walon ke liye har dar khatam kar diya gaya tha, yani darne wala dunia mein kisi se nahi darta. Darne wala qabr mein bhi nahi darta, darne wale ko na hi hisab kitaab ka dar hota. Mujhe yeh baat bohot dilchasp lagi aur bohot hi qeemti aur gareeb ki baat lagi. Mujhe ek bohot bara shock mil gaya tha. Aam tor par misaal di jati hai ke jo dar gaya woh mar gaya. Lekin yahan mamla tha jo dar gaya woh bach gaya. Yeh bohot gehri raaz ki baat thi jis ne bachpan se hi mere zehan ko jakar liya. Mujhe yeh samajh aa gayi ke dar mein sab kuch hai. Dar mein izzat hai, dar mein dolat hai, dar mein rizq hai, dar mein aafiyat hai, dar mein mohabbat hai, dar mein khushi hai, dar mein jeet hai, dar mein sukoon hai, dar mein shifa hai, dar mein radd-e-bala hai, dar qabr ka sukoon hai, dar maut ki aasani hai, dar Jannat ki zimmat hai, dar Jahannam se azaadi hai. Yeh to samajh aa gayi ke Allah ko darne wale bohot pasand hain, lekin ab ek aur uljhan aa gayi thi. Mujhe yeh nahi pata chal raha tha ke Allah se darne kaise chahiye? Is ki dozakh se darne chahiye ya qabr ke saanpon aur bichhooon se, karkti bijliyon mein is ka dar talash karna chahiye ya pahaadon ko phaar dene wale zilzilon ko dar ki wajah banana chahiye. Mujhe is baat ne chakkarra diya. Main ne Baba Chiragh se madad lene ka faisla kiya. Baba Chiragh us chhoti si masjid ka imam tha jis mein main namaz padhta tha. Main ne bachpan se le kar terah saal ki umar tak musalsal paanch waqt ki namaz Baba Chiragh ki imamat mein padhi thi. Baba Chiragh ka talluq halki qoum se tha, yani jin ko gaon mein kami kehte hain. Main zameendaron ka manda tha, mere kuch ham umar dost mujhe is baat par mazaak ka nishana banate ke main Baba Chiragh ki imamat mein namaz kyun padhta hoon jabke chaudhryon ki masjid doosri thi, woh bohot badi masjid thi lekin mujhe yeh chhoti masjid hi achhi lagti thi. Kyunki is chhoti masjid mein mujhe Allah se mohabbat hui thi. Banda apni pehli mohabbat aur woh jagah jahan mahboob se mohabbat hoti hai kabhi nahi bhula sakta. Baat mukhtasir karunga. Main ne Baba Chiragh se ek din darate darate sawal kiya. Baba ji yeh Allah se kaise darte hain? Is waqt masjid mein hum dono mojood the. Baba Chiragh aankhen band kiye tasbeeh ke daano par kuch padh rahe the. Meri awaaz sun kar bola ke tu gaya nahi? Main ne kaha bas yeh gal poochni thi is liye ruk gaya. Woh muskurane laga. Mujhe Baba ki yeh muskurahat bohot pasand thi. Poore pind mein itna pyaara koi nahi muskurata tha. Kehne laga, tu mujh se darta hai? Main ne kaha haan. Kehta kis baat ki wajah se mujh se darta hai, kya tu meri maar se darta hai? Main soch mein pad gaya. Main ne kaha Baba tum ne kabhi bhi mujhe mara aur jhataka nahi. Lekin main darta hoon ke ab to itni shafqat aur mohabbat se pesh aata hai muskurakar baat karta hai meri kisi ghalati par tu mohabbat aur shafqat na khatam kar de. Bas yehi dar aata hai. Us ne mere sar par pyaar se haath phera, muskuratay hue kiHone laga Allah ka dar bhi aisa hi hona chahiye. Ye dar hona chahiye ke kahin wo naraz na ho jaaye. Shafqat aur mohabbat waapas na le le. Har wo kaam kar jis se us ki mohabbat barh jaaye aur har wo kaam chhod de jis se dar ho ke us ki mohabbat kam ho jaaye gi shafqat narazgi mein badal jaaye gi. Bas Allah ka yehi dar hai jis ke badle sab kuch mil jaata hai. Agar ghalti se kabhi aisa kuch ho jaaye jis se mohabbat kam ho jaane ka khatra ho to foran maafi mang lo. Main dar ka matlab samajh gaya tha. Main jab tera saal ka hua baba charagh achanak foot ho gaya main chhota tha lekin bade yeh batate the ke marne ke baad bhi baba charagh ke chehre par wahi muskurahat thi. Woh muskurahat mere liye paigham thi ke darrne wale hamesha muskuratay rehte hain kyunke darrne wale ka har khof khatam ho jaata hai.