Imam Ahmad bin Hanbal nehar par wuzu farma rahe the ke unka shagird bhi wuzu karne aya, lekin foran hi uth khara hua aur imam sahab se aage ja kar baith gaya. Poochne par kaha ke dil mein khayal aya ke meri taraf se pani beh kar aap ki taraf aa raha hai. Mujhe sharm ayi ke ustad mere istemal pani se wuzu kare. Apne sage chacha Hazrat Abbas radiallahu anhu se Rasool Allah ne poocha ke aap bade hain ya mein? (Umar poochna maqsood tha) Kaha ya Rasool Allah bade to aap hi hain lekin umar meri zyada hai. Mujaddid alif sani raat ko sotay hue yeh ehtiyaat bhi karte ke pao ustad ke ghar ki taraf na hon aur bait al khala jaate hue yeh ehtiyaat karte ke jis qalam se likh rahe hon us ki koi siyahi hath par lagi na rahe. Adab ka yeh andaz Islami tehzeeb ka tarah imtiaz raha hai aur yeh koi barseghir ke sath hi khaas nah tha balkay jahan jahan bhi Islam gaya us ki taleemath ke zair asar aisi hi tehzeeb paida hui. Jis mein buzurgon ke adab ko khaas ahmiyat hasil thi kyunki Rasool Allah ka yeh irshad sab ko yaad tha ke jo buzurgon ka adab nahi karta aur chhoton se pyar nahi karta woh hum mein se nahi. Abhi zyada zamana nahi guzra ke log maan baap ke barabar baithna, un ke aage chalna aur un se ooncha bolna bura samajhte the aur un ke hukm par amal karna apne liye fakhr jaante the. Is ke sadqe Allah unhe nawazta bhi tha. Islami muashron mein yeh baat mashhoor thi ke jo yeh chahta hai ke Allah uske rizq mein izafa kare woh walidain ke adab ka haq ada kare. Aur jo yeh chahta hai ke Allah uske ilm mein izafa kare woh ustaad ka adab kare. Ek dost kehte hain ke maine badi mushkil se paisa ikattha kar ke plot liya to walid sahab ne kaha ke beta tumhara falan bhai kamzor hai yeh plot agar tum usay de do to main tumhe duaayen doonga. Halankay woh bhai walidain ka na farmaan tha. Is dost ka kehna hai ke aqal ne to bada samjhaaya ke yeh kaam karna hamaqat hai magar maine aqal se kaha ke Iqbal ne kaha hai, Acha hai dil ke sath rahe pasban aqal lekin kabhi kabhi usay tanha bhi chhod de Chanancha aqal ko tanha chhoda aur woh plot bhai ko de diya. Kehte hain ke walid sahab bohot khush hue aur unhi ki dua ka sadqa hai ke aaj mere kai makaanat aur plaze hain. Jab ke bhai ka bas usi plot par ek makaan hai. Walidain ki tarah ustaad ka adab bhi Islami muashron ki ek imtiazii khasoosiyat thi aur us ka silsila bhi Sahaba ki zamaane se chal raha hai. Hazoor ﷺ ke chacha ke bete Ibn Abbas se kisi Sahabi se koi hadees hasil karne jaate to ja kar us ke darwaze par baithte. Us ka darwaza khatkhatana bhi adab ke khilaf samjhte aur jab woh Sahabi khudahi kisi kaam se bahar nikalte to un se hadees poochte aur is doran sakht garmi mein pasina bahata rehta, lo chalti rehti aur yeh bardasht karte rehte. Woh Sahabi sharminda hote aur kehte ke aap to Rasool Allahﷺ ke chacha ke bete hain aap ne mujhe bula liya hota to yeh kehte ke main shagird ban ke aya hoon, aap ka yeh haq tha ke main aap ka adab karoon. Aur apne kaam ke liye aap ko tang na karoon. Kitni hi muddat hamare nizam taleem mein yeh rawaj raha balkay Islami madaris mein aaj bhi hai ke har mazmoon ke ustaad ka ek kamra hota, woh wahi baithta aur shagird khud chal kar wahan parhne aate jab ke ab shagird classes mein baithte rehte hain aur ustaad sara din chal chal kar un ke paas jaata hai. Musalman tah.Zaibon mein yeh mamla sirf waliden aur ustaad tak hi mehdood nah tha balkay baqi rishton ke mamlay mein bhi aisi hi ehtiyaat ki jati thi. Wahan chhota, chhota tha aur bara, bara. Chhota umar barhne ke sath bara nahin ban jata tha balkay chhota hi rehta tha. Ibn-e-Umar ja rahe thay ke ek badu ko dekha. Sawari se utre, baray adab se pesh aaye aur us ko bohot sa tohfa diya. Kisi ne kaha ke yeh badu hai thore pe bhi razi ho jata aap ne usay itna ata kar diya. Farmaya ke yeh mere walid sahib ke paas aya karta tha to mujhe sharm aayi ke mein us ka ihtiram nah karun. Islami tehzeeb kamzor hui to bohot si baton ki tarah hifazat maratib ki yeh qadar bhi apni ahmiyat kho baithi. Ab barabar ki ka dhundora peeta gaya aur bachay maan baap ke barabar khade hogaye aur shagird ustaad ke barabar.