Naat Rasool Kareem (S.A.W.) Jo un ki raah guzar ka ghubar ho jaaye Yeh khaksaar bashar tajdaar ho jaaye Siyaah shab unhein dekhe to aftab banay Khizaan hazoor (S.A.W.) ko chhu kar bahaar ho jaaye Mere Rasool (S.A.W.) ka dil mein khayal aate hain Wajood saara, ibadat guzaar ho jaaye Labon pe zikr Muhammad (S.A.W.) agar rahe taher Har ek saans ibadat shumaar ho jaaye