sab se bara sadma is ka hai ke muslehineen ki Jama'aton mein jo fitne aaj kal roman hore hain, nihayat khatarnak hain, tafseel ka moqa nahi, lekin fehrist ke darjah mein chand baton ka zikr naguzeer hai: *1- Musleh-e-Andeshi ka Fitna* Yeh fitna aaj kal khoob barg-o-bar laraha hai, koi deeni ya ilmi khidmat ki jaye, iss mein paish nazar duniyawi masaalih rehte hain, *iss fitna ki bunyad nifaq hai,* yehi wajah hai ke bohot si deeni aur ilmi khidmaten barkat se khali hain. *2- Har Dil Azizi ka Fitna* Jo baat kahi jati hai, iss mein yeh khayal rehta hai ke koi bhi naraz na ho, sab khush rahein, *iss fitna ki asas hubb-e-jah hai.* *3- Apni raye par jamood-o-wasraar* Apni baat ko sahih o sahab aur qatai yaqeeni samajhna, dosron ki baat ko darust ehtemam aur laa'iq itfaat na samajhna, bas yehi yaqeen karna ke mera muqaff sau fisad haq aur durust hai aur dosray ki raye sau fisad ghalt aur batil, *yeh ajab-bal-raaye ka fitna hai aur aaj kal siyasi Jamaaten iss marz ka shikar hain.* Koi Jamaat dosray ki baat sunna gawara nahi karti, na haq deti hai ke mumkin hai ke mukhalif ki raye kisi darjah mein sahih ho ya yeh ke shayad woh bhi yehi chahte hain jo hum chahte hain, sirf ta'beer aur unwaan ka farq ya al-aham fal-aham ki taayin ka ikhtilaf ho. *4- Soo-e-zan ka fitna* Har shakhs ya har Jamaat ka khayal yeh hai ke hamari Jamaat ka har fard mukhlis hai aur un ki niyat bekhair hai aur baqi tamam Jamaaten jo hamari Jamaat se ittefaq nahi rakhti hain, woh sab khud-gharz hain, un ki niyat sahih nahi, balkay agharz par mabni hain, *iss ka mansha bhi ajab o kabir hai.* *5- Soo-e-fahm ka fitna* Koi shakhs kisi mukhalif ki baat jab sun leta hai to foran usse apna mukhalif samajh kar us se na sirf nafrat ka izhar karta hai balkay makrooh andaz mein us ki tardid farz samjhi jati hai, mukhalif ki aik aisi baat mein jis ke kai mahl-o mukhtalif tawajihat hosakti hain, wohi tawajih ikhtiyar karen ge jis mein us ki tahqeer o tazleel ho, kya ''in ba'd al-zann ithm'' (yaqeenan ba'd gumaan gunah hain) aur ''iyaakum wal-zann fa inna al-zann akdhib al-hadith'' (bud-gumaani se bacha karo, kyunke bud-gumaani sab se jhooti baat hai aur baray baray jhoot issi se peda hote hain) ki nasoos marfoo al-amal hochuki hain? *6- Buhtan-tarazi ka fitna* Mukhalifeen ki tazleel o tanzir karna, bilasund un ki taraf ghanoni batein mansoob karna, agar kisi mukhalif ki baat zara bhi kisi ne naqal kar di, bila tahqiq us par yaqeen kar lena aur maze le le kar mehfil o majalis ki zeenat banana, balfarz agar khud buhtan-tarazi na bhi karen, dosron ki suni sunai batoon ko bila-tahqiq sahih samajhna, kya yeh nus Quran'i ''in jaakum fasiqun binaba'in fatabayyanu'' al-ayat (agar aaye tumhare paas koi gunah gaar khabar le kar to tahqiq karo) ke khilaf nahi? *7- Jazba-e-intiqam ka fitna* Kisi shakhs ko kisi shakhs se adawat o nafrat ya bad-gumaani hai, lekin khamosh rehta hai lekin jab zara iqtidar mil jata hai, taqat aa jati hai to phir khamoshi ka sawal hi peda nahi hota, goya yeh khamoshi maafi aur dar-guzar ki wajah se nahi thi, balkay becharagi o natawani o kamzori ki wajah se thi, *jab taqat aayi to intiqam lena shuru kiya, raham o karam aur afw dar-guzar sab khatam!* *8- Hubb-e-shohrat ka fitna* Koi deeni ya ilmi ya siyasi kaam kiya jaye, arzoo yehi hoti hai ke zyada se zyada daad mile aur tashreef o afreen ke nare buland hon, haqeeqat ikhlaas ki kami ya fuqdan se aur khud-numai o riakari ki khwahish se yeh jazba peda hota hai, sahih kaam karne walon mein yeh marz peda hogaya aur *haq taala ke darbar mein kisi deeni ya ilmi khidmat ka wazan ikhlaas se hi barhta hai aur yehi tamam a'maal mein qubool and Allah ka mayaar hai, akhbarat, jalsay, jaloos, douray zyada tar issi silsila ki kadiyan hain.* *9- Khitabat ya taqreer ka fitna* Yeh fitna aam hota jaraha hai ke laan taraniyan intiha darjah mein hon, amli kaam sifar ke darja mein hon, qawwali ka shoq daman geer hai, amal o kirdar se zyada wasilTaah nahi.''Lam taqooloon ma la taf'aloon kabeer maqata 'inda Allah in taqooloo ma la taf'aloon'' Tarjuma: Kyun kehtay ho munh se jo nahi karte, badi bezari ki baat hai Allah ke yahan ke keh do woh cheez jo na karo. (Tarjuma Sheikh ul Hind) Khateeb is andaaz se taqreer karta hai goya tamam jahan ka dard us ke dil mein hai, lekin jab amli zindagi se nisbat ki jaye to darja sifar hota hai. *10- Propaganda ka fitna* Jo Jamaaten wujood mein aayi hain, khaas tor par siyasi Jamaaten un mein ghalat propaganda aur waqiyat ke khilaf jor tor ki waba itni phail gayi hai jis mein na deen hai aur na akhlaq, na aqal hai na insaaf, akhbarat, ishtiharat, radio, television, tamam is ke mazahir hain. *11- Majlis sazi ka fitna* Chand ashkhas kisi baat par muttafiq hogaye ya kisi Jamaat se ikhtilaf raaye hogaya, foran akhbar nikala jata hai bayanat chhupate hain ke Islam aur mulk, bas hamari Jamaat ke dam qadam se baqi reh sakta hai. Nihayat dilkash anwaanat aur jazib e nazar alfaz aur kalimat se qarar dadein aur tajweezain chhupne lagti hain, ummat mein tafarruq aur intishar aur goroh bandi ki aafat isi raste se ayi hai. *12- Asbiyat jahalat ka fitna* Apni parti ki har baat khwah woh kaisi hi ghalat ho, us ki himayat aur taeed ki jati hai aur mukhalif ki har baat par tanqeed karna sab se ahem farz samjha jata hai. Muddai Islam Jamaaton ke akhbar aur risaalat, tasweerein, cartoons, cinema ke ishtiharat, sudh aur qimar ke ishtiharat aur gande mazameen sha'ay karate hain magar chunkay ''apni Jamaat'' ke hamai hain, is liye jahalat ta'asub ki bina par un sab ko bazr istehsan dekha jata hai, *algharz jo apna hamai ho woh tamam badkardariyon ke bawajood pakka musalman hai aur jo apna mukhalif ho, us ke namaz rozah ka bhi mazaq udaya jata hai.* *13- Hubb-e mal ka fitna* Hadees mein to aya hai ke ''hubb ad-dunya ra's kull khati'ah'' dunya ki mohabbat tamam gunahon ki jar hai, haqiqat mein tamam fitnon ka qadr mushtarik hubb-e jah ya hubb-e mal hai, bohat se hazraat ''rabbana atina fi'd-dunya hasanah'' ko dunya ki justuju aur mohabbat ke liye dalil banate hain, halankah baat wazeh hai ke ek hai dunya se taluq aur zarooriyat ka husool, is se inkaar nahi, neez ek hai tabai mohabbat jo mal aur asaiysh se hoti hai, is se bhi inkaar nahi, maqasad to ye hai ke hubb-e dunya ya hubb-e mal ka itna ghulba na ho ke shariat-e Muhammadiya aur deen Islam ke tamam taqazay khatam ya maghloob ho jaayein, iqtisad wa 'adl ki zaroorat hai, awam se shikayat kiya jaye, aaj kal awam se ye fitna guzar kar khawas ke qulub mein bhi araha hai, illa ma sha Allah! is fitne ki tafseelat ke liye ek taweel maqale ki zaroorat hai, haq talla tu fiq ata farmaaye, hum in mukhtasir isharoon ko hazrat Rasool Allah صلى الله عليه وسلم ki mohabbat ki ek dua par khatam karte hain: *Allahumma! Rizqni hubbaka wa hubb man yuhibbuka wa hubb 'amal yuqarribni ilaik' Allahumma ma razaqtani mimma ahabba faj'alhu quwwa fi ma yuhib wa ma zuwayta 'anni mimma ahabba faj'alhu faraghan li fi ma tuhib, Allahumma ijal hubbaka ahab al-ashya ilaiya min nafsi wa ahli wa min al-ma' al-barid*