teen fitri qawaneen 1. Pehla qanoon fitrat Agar kheet mein dana nah daala jaaye to qudrat use ghaas phoos se bhar deti hai. Isi tarah agar dimaagh ko achhi fikron se nah bhara jaaye to kaj fikri use apna maskan bana leti hai. 2. Dusra qanoon fitrat Jis ke paas jo kuch hota hai wohi baanta hai. Khush insaan khushi baanta hai. Ghamzadah insaan gham baanta hai. Aalim ilm baanta hai. Mazhabi aur deendari insaan deen baanta hai. Khof zada insaan khof baanta hai. 3. Teesra qanoon fitrat Aap ko zindagi se jo kuch bhi haasil ho usay hazam karna seekhein! Is liye ke khana hazam na hone par bimariyan paida hoti hain aur barhti hain. Isi tarah maal o dolat hazam na hone ki surat mein riakari barhti hai. Baat na hazam hone par chugli barhti hai. Taarif na hazam hone ki surat mein ghuroor mein izafa hota hai. Mazamat ke hazam na hone ki wajah se dushmani barhti hai. Gham hazam na hone ki surat mein mayoosi barhti hai. Ikhtiyar aur taqat na hazam hone ki surat mein khatraat mein izafa hota hai. Dua hai ke Allah taala hamein asaniyan, khushiyan aur ilm baantne ki taufeeq ata farmaaye. Ameen sum ameen ya rabbal alameen Allah se talluq Hazrat Doctor Abdul Hai Arifi rahmatullahi alaih ki chand naseehatein Ek dafa hazreen majlis se farmaye, tum kahan lambay lambay muraqibe aur wazaif karo ge? Main tumhein Allah ke qurb ka mukhtasir raasta batata hoon, kuch din kar lo phir dekho kya hota hai, qurb ki manzilen kaise tay hoti hain: Pehla, Allah paak se chupke chupke baatein karne ki aadat daalo, woh is tarah ke jab bhi koi jaiz kaam karne lago, dil mein yeh kaha karo: Allah ji! 1. Iss kaam mein meri madad farmaayein. 2. Mere liye aasan farma dein. 3. Aafiyat ke saath paya takmeel tak pohanchayein. 4. Apni baragah mein qubool farma lein. Yeh char mukhtasir jumlay hain, magar din mein sau sau dafa Allah ki taraf rujoo ho jaye ga aur yeh hi momin ka matloob hai ke us ka talluq har waqt Allah se qaim rahe. Doosra, insaan ko roz marra zindagi mein char halaton se wasata padta hai: 1. Tabiat ke mutabiq. 2. Tabiat ke khilaf. 3. Mazi ki ghaltiyan aur nuksan ki yaad. 4. Mustaqbil ke khatrat aur andeshe. Jo mamla tabiat ke mutabiq ho jaye, us par ''Allahumma lakal hamd walakash shukr'' kehne ki aadat daalo. Jo mamla tabiat ke khilaf ho jaye, to ''Inna lillahi wa inna ilayhi raji'un'' kaho. Mazi ki laghzish yaad aaye to foran ''Astaghfirullah'' kaho. Mustaqbil ke khatrat samne hon to kaho: ''Allahumma inni a'udhu bika min jami'il fitan ma zahara minha wa ma batan''. Shukr se mojooda naimat mahfooz ho gayi. Nuksan par sabr se ajr mahfooz ho gaya aur Allah ki maayat nasib ho gayi. Astaghfar se mazi saaf ho gaya. Aur Allahumma inni a'udhu bika se mustaqbil ki hifazat ho gayi. Teesra, shariyat ke faraiz aur wajibat ka ilm hasil kar ke woh ada karte raho aur gunah-e-kabeera se bachte raho. Chotha, thodi dair koi bhi masnoon zikr kar ke Allah paak se yeh darkhwast kar liya karo: Allah ji! Main aap ka banna chahta hoon, mujhe apna bana lein, apni mohabbat aur ma'arifat ata farma dein. Chand din yeh nuskha istemal karo, phir dekho kya se kya hota hai? Aur qurb ki manzilen kaise tezi se tay hoti hain? ***