Apni unchi shaan ka, hai mazhar saaien Tu sab se aala hai, tu bartar saaien Teri rehmat, har taareeki door kare Tera khawar hai, tere akhtar saaien Tu khaliq hai, gulshan aur sahraaon ka Tu malik hai, tere behr o bar saaien Har soo phelay saaye, na ummeedi ke Meri aas ka deepak, roshan kar saaien Kaun sa dar hai teri chowkhat se barh kar Is dar par, sajta hai mera sar saaien Jab Hafiz hai, teri rehmat ka gehera Kaisa khauf jahan ka, kaisa dar saaien Meri ujri jhook basay, gar tu chaahe Mere dil ki, khali jholi bhar saaien Meri bhi parwaz, falak tak ho maula Mujh ko bhi mil jayein, baal o par saaien Bas teri rehmat ki talib hai Nasreen Kab us ko darkar hain, maal o zar saaien