Log, police, wukla aur adliya ke logon ko kiraya ka makaan nahi dete aur bank bhi qarza aur credit card nahi dete zahir hai logon aur idaroon ke aitemaad na karne ki koi wajah hogi? Ek aisa hi waqia jab ek khoobsurat nojawan larki Asi ne kiraya par liya hua flat hathiyanay ke liye apne nokar ka qatal kar diya. Insaf faraham karne wale idaray ki ek parhi likhi khoobsurat nojawan larki Asi ki roodad jisne na-insaafi, zulm aur zyadti ki saari hadein paar kar liyan aur hamare nizaam ki wajah se usko kuch bhi nahi hua woh aaj bhi uniform mein hai. Maine apne maatahaton ko tehreeri hidayat di hui thi ke qatal, dakuati, chori aur zina ke cases ke ilawa mulziman ki giraftari se pehle mujh se tehreeri ijazat lena lazmi hogi aur kisi aurat aur bachon ki giraftari ki bhi ijazat lena hogi. Aik din ek khoobsurat nojawan larki jo police mein nayi nayi public service commission ke through ASI bharati hui thi aur South district mein taenat thi mere paas shikayat le kar aayi ke tafteeshi officer us se taawun nahi kar raha aur mere case mein mulziman giraftaar nahi kar raha. Waqia yeh tha ke larki ASI ne Gulistan Johar mein ek flat kiraya par liya hua tha aur flat ke malik ke saath uska jhagra ho gaya tha, larki ne flat ke malik ke khilaf parcha karwa diya tha, hamare mulk mein makaan ya flat kiraya par dena aik jurm hai apni property bhi do aur zillat bhi bhugtna. Main hamesha se commission paas karke naukri hasil karne wale logon ko izzat ki nigaah se dekhta aaya hoon kyunkeh yeh bachay apni mehnat se koi muqam hasil karte hain. Maine larki Asi ka kaam jaldi karne ki wajah apne reader Waliyat sahib ko bulakar kaha ke aap aaj hi tafteeshi officer aur doosri party ko bhi bulaiye. Kuch ghanton mein saare log mere samne pesh kiye gaye, flat ke malik ne kaha jab se flat kiraya par diya hai us waqt se larki ne kiraya nahi diya aur ab mere khilaf parcha karwa diya hai, maine flat ke malik se poocha ke aapko maloom tha ke nojawan larki police mein hai? Flat ke malik ne bataya ke nahi mujhe pata nahi tha. Maine jab dono parties ko tafseel se suna to maloom hua ke case jhoota hai, maine tafteeshi officer ko kaha ke case jhoota banne par kharij karde aur DIG South ko khat likha ke ASI larki ke khilaf mukamaat karyawahi ki jaye. ASI larki ne bohat rona dhona kiya magar main uski ek na suni. Kuch hi dino baad ASI larki ne ek doosra case flat ke malik ke khilaf karwa diya us case mein yeh tha ke larki ne ek agreement banaya tha ke flat ka kiraya do hazaar rupiya tay hai aur adalat se hukm nama lekar do hazaar rupay kiraya adalat mein jama karwa rahi thi, waise flat ka kiraya bees hazaar rupiya tha. Doosre case mein larki Asi ne agreement mein malik makaan ke jali dastakhat kiye the woh tafteeshi officer ne handwriting expert se tasdeeq karwa li jo jali sabit hue. Maine tafteeshi officer ko case jhoota kharij karne aur khatoon Asi ke khilaf adalat mein 182 ki karyawahi karwane keh diya. Maine usi din D.I.G. South ko ek doosra khat muhakma jati karyawahi ke liye larki Asi ke khilaf likh diya. Kuch mah baad ek din jaise hi daftar pahuncha to mujhe mere irdli ne bataya ke sir larki ASI jin ke khilaf jhoote parche karati hai woh malik makaan aur uski family aap se milne ke liye intezar kar rahe hain. Thodi der mein Akbar irdli ne darwaza khola to malik makaan ko ek taraf se uski biwi aur doosri taraf se uski jawan saal beti sahara de kar andar laye, (waise woh khud hi akela chal kar mere paas aata raha tha) main uth kar khara ho gaya aur malik makaan ki biwi se sawal kiya ke behan inko kya hua hai? Is moqa par malik makaan ne rote hue bataya ke is larki ka nokar qatal ho gaya hai usne hamare khilaf parcha karwa diya hai. Subah police hamare ghar aayi thi hum ne unko aap ke liye kaha ke hum un se milkar thane aate hain. Maine thane phone karke pata kiya to maloom hua ke raat larki ASI ke kamseen nokar ka qatal ho gaya hai aur larki ASI neSubah paanch bajay police control ko phone karke bataya ke malik makaan, ek dukaan daar aur flat ke chowkidar ne flat mein zabardasti dakhal hokar uske samne nokar ko qatal kiya aur farar ho gaye. Thana Incharge ne bataya ke chowkidar aur dukaan daar ko giraftar kar liya gaya hai. Laash postmortem ke liye soul hospital bhej di gayi hai aur mazeed bataya malik makaan ko police party giraftar karne gayi thi. Malik makaan ne aap ka naam liya to is liye maine police party ko waapas bulwa liya hai sar. Main ne malik makaan ko kaha aap log ghar waapas chale jayen, main moqa dekh kar aap ko phone karke bulwata hoon, aap log be fikar ho jayen mere hote hue police aap logon ke saath koi zyadti nahi karegi. Main moqa dekhne ke liye flat par chala gaya ilaqa D.S.P. ke saath aur tafteeshi amala bhi mere saath tha, flat ka darwaza bahar se lock tha maine D.S.P. ko kaha ke aap phone karke ladki ASI ko bulwa lein taake woh lock kholay aur hum moqa ko dekh saken. ASI ne phone milakar mere samne ladki ASI se baat ki. Kuch deir baat karne ke baad ASI ne phone mujhe de diya. Doosri taraf ladki ASI ne mujhe salaam kiya aur kaha ke sar mere saath zulm hua hai, flat ke malik ne apne saathiyo ke saath milkar mere kam sun nokar ko qatal kiya hai aur main apne nokar ki laash lekar uske gaon ja rahi hoon, waapsi par flat khol kar moaina bhi karwaungi aur flat ke malik aur doosre logon ke khilaf parcha bhi karwaungi. Ibtedai tor par hum ne building ke doosre makaano se maloomat li kisi ne bhi bahar se mulziman ko building mein dakhal hotay nahi dekha tha. Main ne ASO ko kaha police control se paigham milne ke baad jo police mobile pehle building par pahunchi thi us ke afsar aur saare jawanon ko mere paas pesh karane ke liye bandobast kare. ASO ne usi waqt head mahrar ko paigham de diya aur mujhe kaha ke sar mobile afsar aur jawan raat ki shift waale the woh shaam saat aur aath bajay tak aap ke daftar pahunch jayenge. Shaam ko mobile officer aur saare jawan mere daftar aaye aur unhone bataya ke police control se itlaa miltay hi jaise hi hum building par pahunchay to building ka main gate andar se band tha. Hum kaafi deer tak mein gate ko khatkhatate rahe magar chowkidar ghode bech kar so raha tha, tab ek jawan main gate ke andar kood gaya, main gate ko andar se tala laga hua tha main gate ke saath bane kamre mein chowkidar so raha tha. Police ke jawan ne chowkidar ko maar peet ki ke building mein qatal hogaya hai aur woh aram se so raha hai aur darwaza kholwa kar mobile andar building mein le aaye. Ladki ASI flat ke darwaze par police party ka intezar kar rahi thi aur police party ko andar flat mein le jakar dikhaya ke ek ath das saal ka bacha ek kamre mein farsh par murda haalat mein pada tha. Ladki ASI ne mobile patrolling officer ko bataya ke flat ke malik ne flat ke tanaza par ek dukaan daar aur flat ke chowkidar ke saath zabardasti flat mein dakhal hote aur nokar ko qatal karke farar hogaye. Ladki ne mobile officer ko malik makaan dukaan daar ka naam aur poora address likhwa diya. Police ne chowkidar ko usi waqt giraftar kar liya. Jaisa ke ladki ASI ko police ke saare tareeqe ka pata tha. Mobile officer ne ambulance bulwakar bachay ki laash soul hospital manzil karwa di aur postmortem ke liye kaghzi karwai karwa di. Main ne Shahrah Faisal thane ke tafteeshi incharge ko bulwakar kaha mobile officer aur jawanon ke bayanat record karke unko farigh kar diya jaye aur giraftar dukaan daar aur chowkidar ko bulwakar poocha jaye ke aap logon ka bachay ke qatal se kya wasta hai? Dukaan daar ne bataya ke ladki ASI us se easy load karwati thi jab qarz barah hazar tak pohanch gaya to us ne easy load dena band kar diya aur ladki se udhar ka taqaza karne laga. Chowkidar becharay ko pata nahi tha ke ladki ASI uska naam kyun le rahi hai, main ne dono ko usi waqt azad karwa diya aur taked ki baghair itla ke sheher se bahar na jayein. Mujhe lag raha tha ke flat ko hatyanay kiye ke liye yeh saari karstani ladki ASI ki hai, mere zehan meinKafi sawalat thay. -95 sari dushmani larki Asi aur flat ke malik ke darmiyan hai aur yeh herat angaiz hai ke larki ki mojoodgi mein flat malik larki ko qatal nahi karta aur bachay ko qatal dete hain. * Jesa ke larki police se tarbiyat yafta thi usne mulziman se koi muzahimat nahi ki? * Mulziman larki Asi ko zinda chhod kar chale gaye takay woh chashm dida gawah ban jaye. * Chokidar ka kya kaam woh qatal jese jurm mein flat malik ka sath de aur qatal ke baad apne kamray mein sukoon ki neend sota rahe. * Dukaan daar ka kya wasta ke woh aise bhayanak jurm mein flat malik ka sath de aur ghar par araam ki neend soyay aur police aakar usko pakar le. * Larki Asi flat malik ke khilaf do jhoote muqadmat pehle kar chuki thi yeh qatal ka muqadma uski kari ho sakti tha. Hum larki Asi ki wapsi ka intezar karte rahe hamein yeh pata nahi tha ke maqtool bacha kis gaon ka rehne wala hai, mera khayal tha ke bachay ke warisoon ki madaiyat mein qatal ka muqadma darj kiya jaye aur asal haqaiq jaanne ke liye larki Asi ko giraftar karke tafteesh ki jaye. Issi doran bachay ki postmortem report aayi bachay ki maut raat gyarah baje se ek baje ke darmiyan dam ghatne ki wajah se hui thi. Aur doosri ahem baat yeh thi ke bachay ko hafta se das din tak bhuka aur pyasa rakha gaya tha. Jab bacha raat ek baje qatal hua to larki Asi ne subah paanch baje kyun police ko inform kiya? Larki Asi ek hafte baad wapis Karachi aayi aur thana Shahrah Faisal ke SHO ko kaha ke bachay ke qatal ka parcha kiya jaye. SHO ne mujhe phone karke bataya ke larki Asi parcha karane aayi hai maine usse kaha ke larki Asi ko mere paas le aaye. Larki Asi ne aate hi rona dhona shuru kiya. Main ne us se bachay ke mutalliq sawalat kiye aur us se bachay ke waldain ka address liya larki ne jaan boojh kar bachay ke waldain ka phone number nahi diya maine us se mukhtalif sawalat kiye magar usne kisi bhi sawal ka tasalli bakhsh jawab nahi diya. Meri majboori yeh thi ke baghair FIR ke main larki Asi ko giraftar nahi kar sakta tha, main SHO ki madaiyat mein parcha karwa sakta tha magar us mein itna wazan nahi hota main chahta tha ke bachay ke warisoon ki madaiyat parcha kiya jaye. Khatoon Asi ko main ne saaf jawab de diya ke uski madaiyat mein FIR is liye nahi ho sakti ke bachay ke waldain zinda hain. Larki Asi mujh par bohat barham hui ke main IG Sindh ke paas jata hoon aap FIR kaise nahi karte, maine usko kaha ke jis ke paas jane ka dil karta hai chali jaye aur use wahan se jane diya. Bachay ka jo address larki Asi ne diya tha hamara ek sub inspector Uras Rajar bhi usi ilaqe Tharparkar ka rehne wala tha maine usi waqt usko bulakar bachay ke gaon rawana kardia aur usko hidayat ki ke bachay ke warisoon ko sath lekar aaye takay unki madaiyat mein FIR ki jaye. Doosre din Uras Rajar ka phone aya ke sir maine bachay ke waldain se mulaqat karli hai. Yeh bohat ghareeb log hain unke paas Karachi ane ka kiraya bhi nahi hai aur na unhone pehle kabhi Karachi dekha hai, maine sab inspector se kaha ke aap meri bachay ke walid se baat karwadu, bachay ka walid phone par rone laga aur bataya ke teen mahine pehle larki Asi hum se bacha le gayi thi nokar rakhne ke liye, bachay ki pehli tanhwa bhi nahi aayi aur uski lash agayi. Main ne Uras Rajar ko kaha ke unko sath le aaye ya Karachi ane ka kiraya aur apna aur mera phone number aur daftar ka address likh kar de aaye. Doosre din mujhe Uras Rajar ka phone aya aur usne bataya ke bachay ke waldain aur kuch rishtedaar Karachi aye hain, maine usko kaha ke unko mere daftar le aaye. Woh becharay bohat sade aur ghareeb log thay aur unko hum ne larki Asi ke flat ke jhagde aur apne shakook o shubhaat ke mutalliq bataya, bachay ke waldain ne kaha aap hamein ek din ka moqa dein takay hum larki Asi se bat kar lein. Main ne Uras Rajar ko kaha unko hotel mein kamra le kar de aur khane waghera ke paise bhi de dein. Doosre din Uras Rajar bachay ke waldain ko dobara le kar aya aur bachay ke walid ne bataya ke larki Asi ne maan liya hai keH us se ghalti hogayi aur woh qatal ka harjana dene ko tayyar hai. Main ne bachay ke walid se kaha ke bhai bacha aap ka tha agar aap ladki Asi se qatal ka harjana lena chahte ho toh aap ki marzi hai magar hum kisi bhi surat mein ladki Asi ko maaf nahi kar sakte aur SHO ki muddaiat mein parcha karke ladki Asi ko giraftar kar lenge. Aap bhale adalat mein us ko maaf kar dein. Bachay ka walid apne rishtay daroon se mashwara karne ke baad ladki Asi par parcha karane ko tayyar hogaya, hum ne usi waqt FIR darj karke ladki Asi ko giraftar kar liya. Nojawan ladki Asi ne bachay ke qatal ka aitraaf kar liya, us ne bataya ke flat ke malik ko sabak sikhane aur flat hatyane ke liye woh ek planning ke tehat ek door draz aur ghareeb gharane se bacha le aayi aur us ko das din tak ek kamray mein lock kar diya aur khanay peenay ke liye kuch bhi nahi diya aur waqea wali raat takya bachay ke munh par rakh kar qatal diya. Ladki jail chali gayi, main ne ek teesri report di. AIJ sauth ko likh di. Main is sare maslay ki jad ko khatam karna chahta tha aur bachay ka qatal flat ki wajah se hua tha go ke yeh hamare daire ikhtiyar mein nahi tha magar main ne police ki madad se flat ka qabza flat ke malik ko dilwa diya aur us ko takleed ki ke woh flat mein apni family ke saath khud rahe aur flat kiraye par dete waqt ehtiyaat kare. Do mahine baad mujhe tafteeshi officer ne bataya ke ladki Asi haqooq niswan act ki wajah se zamaanat par azad ho gayi hai aur dobara se zila sauth mein naukri kar rahi hai. Aap khud faisla karein ke kya yahan jungle ka qanoon nahi hai? Yeh toh flat ka malik mere paas aagaya. Aur meri aadat thi ke main apne mathebaton par itabar nahi karta tha aur dono parties ko khud sunta tha. Agar malik makaan bechara mere paas nahi aata toh aaj tak teenon (malik makaan, dukan daar aur chowkidar) jail mein sar rahe hote aur adalat aur wukla ke chakar mein pas gaye hote aur nojawan ladki Asi flat hatyake aish kar rahi hoti. ***