Mattheus Bab 6 (1) Khabardar apne raastbaazi ke kaam aadmiyon ke samne dikhane ke liye na karo. Nahin to tumhare baap ke paas jo aasmaan par hai tumhare liye kuch ajar nahin hai. (2) Pas jab tu khairat kare to apne aage narsinga na bajwa jaisa riakaar ibaadat khanon aur koochon mein karte hain takay log un ki badaayi karein. Mein tumse sach kehta hoon ke woh apna ajar pa chuke hain. (3) Balkay jab tu khairat kare to jo tera daahina haath karta hai usse tera baayin haath na jaane. (4) Takay teri khairat posheeda rahe. Is soorat mein tera baap jo posheedaagi mein dekhta hai tujhe badla de ga. (5) Aur jab tum dua karo to riakaaron ki manind na bano kyunke woh ibaadatkhanon mein aur bazaaron ke moron par khade hokar dua karna pasand karte hain takay log unko dekhein. Mein tumse sach kehta hoon ke woh apna ajar pa chuke hain. (6) Balkay jab tu dua kare to apni kothri mein ja aur darwaza band kar ke apne baap se jo posheedaagi mein hai dua kar. Is soorat mein tera baap jo posheedaagi mein dekhta hai tujhe badla de ga. (7) Aur dua karte waqt ghair qaumon ke logon ki tarah bak bak na karo kyunke woh samajhte hain ke hamare bohot bolne ke sabab se hamari suni jayegi. (8) Pas un ki manind na bano kyunke tumhara baap tumhare mangne se pehle hi jaanta hai ke tum kin kin cheezon ke muhtaaj ho. (9) Pas tum is tarah dua kiya karo ke ay hamare baap tu jo aasmaan par hai. Tera naam paak mana jaye. (10) Teri badshahi aaye. Teri marzi jaisi aasman par poori hoti hai zameen par bhi ho. (11) Hamare roz ki roti aaj hamein de. (12) Aur jis tarah humne apne qarzdaaron ko maaf kiya hai tu bhi hamare qarz hamein maaf kar. (13) Aur hamein azmaish mein na la balkay buraai se bacha kyunke badshahi aur qudrat aur jalaal hamesha tere hi hain. Ameen[(14) Is liye ke agar tum aadmiyon ke qusoor maaf karo ge to tumhara aasmani baap bhi tumko maaf kare ga. (15) Aur agar tum aadmiyon ke qusoor maaf nah karo ge to tumhara baap bhi tumhare qusoor maaf nah kare ga. (16) Aur jab tum roza rakhho to riakaaron ki tarah apni soorat udaas na banao kyunke woh apna munh bigaarte hain takay log unko roza daar jaanein. Mein tumse sach kehta hoon ke woh apna ajar pa chuke hain. (17) Balkay jab tu roza rakhay to apne sar mein tail daal aur munh dho. (18) Takay aadmi nahin balkay tera baap jo posheedaagi mein hai tujhe roza daar jaane. Is soorat mein tera baap jo posheedaagi mein dekhta hai tujhe badla de ga. (19) Apne wasitay zameen par maal jama na karo jahan keeda aur zang kharab karta hai aur jahan chor naqab lagate aur churaate hain. (20) Balkay apne liye aasmaan par maal jama karo jahan nah keeda kharab karta hai nah zang aur nah wahan chor naqab lagate aur churaate hain. (21) Kya keeda kharab karta hai aur nah zang aur nah wahan chor naqab lagate aur churaate hain. (21) Kyunke jahan tera maal hai wahi tera dil bhi laga rahe ga. (22) Badan ka charagh aankh hai pas agar teri aankh durust ho to tera sara badan roshan hoga. (23) Aur agar teri aankh kharab ho to tera sara badan taareek hoga. Pas agar woh roshni jo tujh mein hai taareek ho to taareeki kaisi badi hogi? (24) Koi aadmi do maalkon ki khidmat nahin kar sakta kyunke ya to ek se adawat rakhe ga aur doosre se mohabbat. Ya ek se mila rahe ga aur doosre ko naachiz jaane ga. Tum khuda aur daulat dono ki khidmat nahin kar sakte. (25) Is liye mein tumse kehta hoon ke apni jaan ki fikr na karna ke hum kya khaayenge ya kya peeyenge? Aur nah apne badan ki ke kiya pehnenge? Kya jaan khoraak se aur badan poshaak se bhad kar nahin? (26) Hawa ke parindon ko dekho na bote hain na kaate hain na kothiyon mein jama karte hain to bhi tumhara aasmani baap unko khilata hai. Kya tum un se zyada qadar nahin rakhte? (27) Tum mein aisa kaun hai jo fikr kar ke apni umar mein ek ghadi bhadha sake? (28) Aur poshak ke liye kyun fikr karte ho? Jungle soosan ke darakhton ko ghor se dekho ke woh kis tarah bhadte hain. Woh nah mehnat karte nahiHo kuttay hain. (29) To bhi mein tum se kehta hoon ke Sulaiman bhi bawajood apni saari shaan o shaukat ke un mein se kisi ki manind mulbas nah tha. (30) Pas jab Khuda maidan ki ghaas ko jo aaj hai aur kal tanuur mein jhonki jayegi aisi poshak pehnata hai to ae kam i'tiqado tum ko kyun nah pehnaye ga? (31) Is liye fikarmand ho kar yeh na kaho ke hum kya khayenge ya kya peeyenge ya kya pehnenge? (32) Kyunki in sab cheezon ki talash mein ghair qaumain rehti hain aur tumhara aasmani baap janta hai ke tum in sab cheezon ke muhtaaj ho. (33) Balkay tum pehle us ki badshahi aur us ki raastbaazi ki talash karo to yeh sab cheezein bhi tum ko mil jayengi. (34) Pas kal ke liye fikar na karo kyunki kal ka din apne liye aap fikar kar lega. Aaj ke liye aaj hi ka dukh kafi hai.