Allahumma inni a'oozu bika min zawal ni'matik, wa tahawul 'afiatik, wa faja'at nqmatik, wa jamee' sakhtik Hamare muashray mein dua mangne ke amal ke sath ek bara hi ajeeb sa rawiya bana kar rakha jata hai. Zaroorat ke waqt mein ya Allah aur ae Allah ki takrar poori riqat ke sath ki jati hai aur jab idhar zarurat khatam hui to udhar duaen bhi khatam. Aksar o beshtar suratehaal yun hoti hai ke sheikh sahib ki walida hospital mein dakhil hui to woh nah sirf khud balkay imam sahib ko keh kar doosre namaziyon se bhi nihayat khushu o khuzu se duaen mangwate hain, miyan sahib apne bete ke mustaqbil se pareshan har namaz ke baad apni puri aajzi nichhawar karte hue dua-gu hote hain, malik sahib apne muqadmay ki pareshani mein to choudhry sahib shafa'a apne haq mein karane ke liye Allah ke huzoor mein dast badua hote hain. Ye manazir tabdeel ho jayein to miyan sahib kuch yun kehte nazar aate hain ke bhai duaen mang kar aur karwa kar bhi dekh len koi asar nahi hota, ab to mera dua mangne ko bhi dil nahi karta. Malik sahib aur choudhry sahib to bas bamushkil namaz khatam hone ka hi intezar karte hain ke baithak mein unhone apne mulaqatiyon se ja kar milna hota hai jabke sheikh sahib to imam masjid ki paki roti nami kitab se yaad kardah rotain ki duaon ko hi kafi samajhte hain. Duaon ke liye hamara rawiya kya hona chahiye? Che jayeke hum roz parhte aur sunte hain ke asal ibadat dua hi hoti hai aur dua poore bharose aur yaqeen ke sath isi tarah mangi jaye jis tarah mazdoor kaam kar chukne ke baad mazdoori ka mutalba karta hai. Khud Sarkar Salallahu Alaihi Wasallam apne sahaba karam ko kayi duaen bilkul is tarah yaad karaya karte the jis tarah ke Quran ki aayaten. Hamein har namaz mein tashahud ke baad jo char cheezon se panah mangne ke liye kaha gaya hai woh wali dua to farqabazi ki nazar ho kar idhar hamare ashiya mein rawaj hi nahi pa saki aur Rabbi j'alni mukimas salati wali dua hamari namaz ka juz la yunufik ban chuki hai. Aaiye dekhte hain ke aap Salallahu Alaihi Wasallam apni rozmarra zindagi mein kya duaen mangte the. Agar hum apne aur apne andaz mein yeh baat sochen to yeh maamla kuch yun hoga ke aap Salallahu Alaihi Wasallam dua ke liye haath uthate honge aur kehte honge ya Allah mere bete ko shifa de de magar aisa koi maamla nahi tha. Ya farmate honge ke ya Allah mere qarz ada farma de to qarzay bhi nahi the. Ya farmate honge ke ya Allah musalmanon ko fatha o nasr de magar musalman to har jagah fatohaat aur nasr se hamkinar the. Ya farmate honge ke ae Allah meri ghar waliyon ko hidayat de magar aisa bhi nahi tha ke ap ki ghar waliyan to momineen ki maaein aur saroon ka taj the. Haqeeqat yeh hai ke aap Salallahu Alaihi Wasallam yun dua mangte the: Allahumma na'oozu bika min zawal ni'matik wa tahawul 'afiatik wa faja'at nqmatik wa jamee' sakhtik Ae Allah! Mein teri ni'maton ke zawal se aur aafiyat aur di hui sehat ke palat jane se aur tere achanak azaab se aur tere ghazab wale sab kaamon se teri panah mangta hoon. Allah ki ata karda naimatoon ki hamary paas jitni behatat hai un ka shumar bhi nahi kiya ja sakta aur sehat, aankhein, kaan, pair, haath in be shumar naimaton mein se hain. Kai aise log hain jo aankh jhapakne ki der mein apni basarat se mehroom ho baithe hain. Hamary ik dost Ka kisi mareez ko milne ke liye hospital jana hua, mareez charon shane chat bed par mojood para sirf apni aankhon ko hila sakta tha, poocha kya hua to kehne laga ghar se bazaar jane ke liye seerhiyan utar raha tha ke paon phisla aur gira to kamar ek seerhi ke kinare se lagi, reedh ki haddi toot gayi hai aur mein zindagi bhar ke liye charpai ka ho gaya hoon. Is ko naimat ka zawaal kehte hain ke khata peeta aur sehatmand insaan palk jhapakte hi sab kuch se mehroom ho betha tha aur yehi woh haalat hai jis ke liye Sarkar e Do Aalim صلى الله عليه وسلم Allah sy panah manga karte the. Mein pichle haftay Saudia mein tha to Pakistan ke shehar Haroonabad se talluq raknay wale ek dost se milne ka ittefaq hua jis ne apne dost ko visa khareed kar diya aur woh dost yahan aa gaya. No wared dost aamad ke doosre din Makkah Mukarramah ja kar umrah ada kar aaya aur us se agle din Madinah Sharif ja kar hazri de aaya. Teesre din kamar mein dard ki shikayat aur dekhte hi dekhte shaam tak hilne jalne se mazoor ho gaya. Chunkay abhi iqaama nahin bana tha aur na hi kisi qism ki insurance thi. Mazeed mehngay ilaaj ki sakt bhi nahin thi, upar se sarkari hospital mareez ko lene se inkari the. Tamam doston ne mashwara kiya aur usay raat ko ek hospital ki lobby mein chor kar aagaye. Hospital walon ne baad mein daakhil kar ke do ek din ilaaj kiya magar baad mein phir bahar bitha diya. In logon ne kafeel se keh kar Pakistan wapas bhejne ki koshish bhi ki magar koi kaam sanjeedagi se na ho saka. Almukhtasar do mah ki laachari aur intehai tangi ke baad yeh sahib Allah ko pyare ho gaye. Mein wahan par hi tha jab yeh Haroonabad wale dost mayat ko le kar Pakistan jaane ki koshish kar rahe the. Visa khareed kar anay wale ke peechay kiya kahaniyan hoti hain woh sab kahaniyan un sahib ke saath bhi thin ke sab kuch bech kar, jama ponji kharch kar ke aur mazeed doston se udhaar mang kar visa le kar aaye the to sab kuch khatam kar ke aazam mulk adam ho gaye. Di hui aafiyat aur sehat ke yaktam palat jane ki ek misaal yeh bhi hai. Haqeeqi zindagi mein kayi baar aisi kahaniyan sunne ka ittefaq hota hai ke rongte khare ho jate hain. Ek sheikh sahib bata rahe the ke woh kisi jagah khatab karne gaye to doston ne kaha ke chalein ek hamsaye doctor sahib (Ph.D.) ke ghar taziyat karne chalte hain jo yahan ki university mein professor hain. Taziyat se fori tor par jo baat zehen mein aati hai ke unka koi bacha ya ghar mein boorhay maan baap mein se koi foot ho gaya hoga. Sheikh sahib ne kaha ke dekho ek to meri masrofiyat mujhe ijazat nahi deti doosra aap ke is hamsaye doctor sahib se mera koi taaruf bhi nahi. Acha yeh to batao ke idhar ja kar taziyat kis ki karni hai? To un logon ne sheikh sahib ko bataya ke in doctor sahib ki umar pachpan saal hogi. Un ke chhote bare giyarah bachay the jab keh unki ghar wali ko mila kar kal barah afraad. Do roz qabal un ka bara beta Adil jis ki umar taqreeban pachis saal thi un sab logon ko lekar yahan se char soo kilometer ke faslay par waqe ek shehr mein kisi qareebi azeez ki shadi mein shirkat ke liye gaya (doctor sahib ka university ke ek kaam ke silsile mein ghar par rehna zaroori tha is liye sath nah ja sakte the). Wapsi par yeh pura khandaan ek hadsay ka shikaar hua aur tamam log mauqa par hi mar gaye. Ab is musibat ka andaza lagaiye ke doctor sahib ki apni umar pachpan saal hai, unki bari beti ki umar tees saal thi aur us ki mangni ho chuki thi jab keh kuch hi dino mein shadi hona thi. Sab se chhoti Khalood thi jis ki umar dairh saal thi. Sab mayaton ko aage peechay rak kar barah afraad ka janaza parha gaya, doctor sahib ek ke baad doosre ki laash ko qabar mein rakhte rahe, un ki kya kaifiyat hogi. Jab hum milne ke liye gaye to doctor sahib apne hawaas mein nahin the. Ghar mein khilonay bikhray pare the keh in se jo khelne wale bachay thay wo ab nahi rahe thay, bachon ki cyclein giri hui thin ke unko seedha karne wala koi nahi raha tha, plangon par chaadrein ulti pulti rakhi thin ke umm e Adil mojood nahi thi jo unko theek karti. Ye hai achanak nazil hone wali musibat ki misal. Kayi baar aisa hota hai ke aap kaam par gaye to pata chala ke aap ko naukri se nikaal diya gaya hai, ya ghar se utar kar parking lot mein gaye to dekha ke gaadi chori ho chuki hai. Karobari shakhs apne store par gaya to dekha ke aag ne sab kuch jala kar raakh kar diya hai. Hamara masla ye hai ke hum dua maangte hain jab qarz sar par chadh jaye, ghar mein koi mareez ho jaye ya imtehan sar par ho. Ya agar hum ye dua maangein ke ay Allah hamari maghfirat farma de aur hum par raham farma de to be dhiyani aur adam raghbati se aise maangte hain ke goya wajib amar ho aur is se zyada kuch bhi nahi. Nahi aisa hargiz nahi hai, dua uss waqt bhi maangni chahiye jab ghar par sare bachay theek thaak hon aur zindagi maze se guzar rahi ho aur us waqt bhi maangni chahiye ke jab muamlaat us nahij par hon ke qadir mutlaq ke baghair koi mushkil kashai karne wala na ho. Bas isi baat ki yaad dahanai ke liye ye ayat kareema parhiye: Innahum kaanu yusari'oona fil khairaat wa yadu'oona raghaban wa rahaban wa kaanu lana khashi'een. (Surah Al-Anbiya) Ye log neki ke kaamon mein dor dhoop karte thay aur hamein raghbat aur khof ke saath pukarte thay, aur hamare aage jhukay hue thay. Ho sake to ye dua yaad kar ke apni ibadat ka hissa bana lijiye: Allahumma inni a'oodhu bika min zawaali ni'matika wa tahawwul aafiatika wa faja'at niqumatika wa jami'u sakhatika. Aye Allah! Main teri nemat ke zawaal se aur aafiat aur di hui sehat ke palat jane se aur tere achanak azaab se aur tere ghazab wale sab kaamon se teri panah maangta hoon. Yaad rakhiye ke agar Allah Taala aap ki duaon ko poori kar raha hai to woh aap ka 'yaqeen' barha raha hai, agar duaon ko poori karne mein (bazahir) der kar raha hai to aap ka 'sabr' barha raha hai aur agar aap ki duaon ka jawab (bazahir) nahi de raha to woh aap ko 'azma' raha hai is liye hamesha 'dua' maangte raho.