Ramazan ul Mubarak mein Hazoor Nabi Akram صلی اللہ علیہ وآلہ وسلم ke Mamoolat-e-Ibadat o Riyazat aur Mujahida mein aam dino ki Nisbat bohat izafah ho jata. Is mahine Allah Taala ki khashiyat aur Mohabbat apne urooj par hoti. Aur issi shoq aur mohabbat mein Aap صلی اللہ علیہ وآلہ وسلم raaton ka qiyam bhi barha dete. Ramazan ul Mubarak mein darja zeel Mamoolat Hazoor Nabi Akram صلی اللہ علیہ وآلہ وسلم ki Seerat-e-Tayyiba ka hissa hote. 1۔ Kasrat-e-Ibadat o Riyazat Ummul Momineen Hazrat Aisha Siddiqa رضی اللہ عنہا se marwi hai: "Jab mah-e-Ramazan shuru hota to Rasool Allah صلی اللہ علیہ وآلہ وسلم ka rang mubarak mutaghayyar ho jata, aap صلی اللہ علیہ وآلہ وسلم ki namazon mein izafah ho jata, Allah Taala se girgira kar dua karte aur us ka khof tari rakhte." (Behqi, Shu'ab al-Iman) 2۔ Sehri o Iftari Ramazan ul Mubarak mein Hazoor Nabi Akram صلی اللہ علیہ وآلہ وسلم ka Mamool mubarak tha ke aap صلی اللہ علیہ وآلہ وسلم apne rozay ka aghaaz sehri khane aur ikhtitam jald iftari se karte the. Aap صلی اللہ علیہ وآلہ وسلم ne farmaya "Sehri khaya karo kyun ke sehri mein barkat hai." (Muslim, Kitab al-Siyam) Ek aur maqam par Hazrat Abu Qais رضی اللہ عنہ ne Hazrat Amr bin Al-Aas رضی اللہ عنہما se riwayat kiya ke Hazoor Nabi Akram صلی اللہ علیہ وآلہ وسلم ne farmaya: "Hamare aur Ahl-e-Kitab ke rozon mein sehri khane ka farq hai." (Muslim, Kitab al-Siyam) 3۔ Qiyam ul Layl Ramazan ul Mubarak mein aap صلی اللہ علیہ وآلہ وسلم ki ratain tawatur o kasrat ke sath namaz mein khare rehne, tasbeeh o tahleel aur zikr-e-ilahi mein mahwiyat se ibarat hain. Namaz ki ijtima'i surat jo hamein taraweeh mein dikhai deti hai usi mamool ka hissa hai. Hazoor Nabi Akram صلی اللہ علیہ وآلہ وسلم ne Ramazan ul Mubarak mein qiyam karne ki fazilat ke bare mein farmaya: "Jis ne iman o ihtisab ki niyyat se Ramazan ke rozay rakhe aur ratoon ko qiyam kiya woh gunahon se is tarah pak ho jata hai jis tarah woh batan-e-madar se paida hotay waqt (gunahon se) pak tha." (Sunan Nisai, Kitab al-Siyam) 4۔ Kasrat Sadqaat o Khairaat Hazoor Nabi Akram صلی اللہ علیہ وآلہ وسلم ki aadat mubarak thi ke aap sadqaat o khairaat kasrat ke sath kya karte aur sakhaawat ka ye alam tha ke kabhi koi sawaali aap صلی اللہ علیہ وآلہ وسلم ke dar se khali wapas nahi jata. Ramazan ul Mubarak mein aap صلی اللہ علیہ وآلہ وسلم ki sakhaawat aur sadqaat o khairaat mein kasrat saal ke baqi giyarah mahino ki nisbat aur zyada barh jati. Is mah mein sadqa o khairaat mein itni kasrat ho jati ke hawa ke tez jhonke bhi us ka muqabla na kar sakte. (Bukhari, Kitab al-Siyam) "Jab Hazrat Jibreel Ameen aajate to aap صلی اللہ علیہ وآلہ وسلم bhalai karne mein tez hawa se bhi zyada sakhi ho jate the." Hazrat Jibreel علیہ السلام Allah ta'ala ki taraf se paigham-e-mohabbat le kar aate thay. Ramzan al-Mubarak mein chunkeh woh aam dino ki nisbat kisrat se aate thay is liye Hazoor Nabi Akram صلی اللہ علیہ وآلہ وسلم un ke aane ki khushi mein sadqah aur khairat bhi kisrat se karte. Imam Nawawi رحمۃللہ علیہ farmate hain ke is hadees pak se kayi fawaid akhaz hote hain jaise ke aap صلی اللہ علیہ وآلہ وسلم ki jood o sakha ka byan. Ramzan al-Mubarak mein kasrat se sadqah aur khairat ke pasandida amal honay ka byan. Nek bandon ki mulaqat par jood o sakha aur khairat ki ziyadti ka byan. Quran Majeed ki tadrees ke liye madaris ke qayam ka jawaaz. 5. Aitikaaf Ramzan al-Mubarak ke aakhri das dino mein aap صلی اللہ علیہ وآلہ وسلم ka aitikaaf karne ka mamool tha. Ummul Momineen Hazrat Ayesha Siddiqa رضی اللہ عنہا se marwi hai: (Bukhari, Kitab al-Aitikaaf) Nabi Akram صلی اللہ علیہ وآلہ وسلم Ramzan al-Mubarak ke aakhri das din aitikaaf karte thay yahan tak ke Allah Taala ke hukm se aap صلی اللہ علیہ وآلہ وسلم ka wasal hogaya phir aap صلی اللہ علیہ وآلہ وسلم ke baad aap صلی اللہ علیہ وآلہ وسلم ki azwaj mutahharaat ne aitikaaf kiya hai. Hazrat Abu Huraira رضی اللہ عنہ se marwi hai "Hazoor Nabi Akram صلی اللہ علیہ وآلہ وسلم har saal Ramzan al-Mubarak mein das din aitikaaf farmatay thay aur jis saal aap صلی اللہ علیہ وآلہ وسلم ka wasal mubarak hua, us saal aap صلی اللہ علیہ وآلہ وسلم ne bees din aitikaaf kiya." (Bukhari, Kitab al-Aitikaaf)