Toronto mein asna ISNA, akna ICNA aur unke doosre ham khayal log aur jamaaton roze par kuli matfaq thay, jab ke hilal committee walon ko California se chaand ka intezar tha kyunke puray America, Canada mein sirf California mein matla saaf tha- aur ghlaban unke lehaz se chaand dikhayi nah diya- hum asna ki intehai wasee, shandar aur khubsoorat baqaida gunbad o minar wali masjid jo 'Islamic Center of Canada' kehlai hai aur Mississauga mein waqe hai aadai eesha aur taraweeh ke liye gaye aur alhamdulillah abhi tak baqaida wahan adai eesha hoti thi lekin aaj apne purane Alfalah Islamic Center aur school mein iftar khana eesha aur taraweeh ada ki. Ek waqfe ke baad apni purani doston se mulaqaten hui, kya garmjoshi, chahtein aur mohabbatein, subhan Allah! In mein har rang aur nasal ki khawateen hain lekin ek hi rishte ne hamein jor rakha hai. In masajid mein behtareen hifazat qariyon ki tilawat jo kaanon mein ras ghulti aur dilon mein iman ko taza karti hai wo jo doran tilawat aiyat wa'id par phoot phoot kar rone lagte hain, jahan rozana bila mubalgha hazaron ka majma hota hai wasee o areez masla aur jismaniyat tak namaziyon se pur ho jate hain is hujoom mein tez chalta hua air conditioner aur pankhe bhi na kafi mehsoos hote hain (is liye ke ke aaj kal Canada mein mosam garmi hai jismain qadre habas aur garmi hai aur 32 centigrade mein bhi yak bastah mahol ke aadi bulbula uthte hain aur phir yeh sab maholiyati tabdeeli aur ozone ki teh mein surakh ka kamal hai, warna 35, 30 saal pehle yahan ke awam pankhon aur AC se nablid thay)-masha Allah kya rooh parwar manzar hota hai is ilaqe zameen mein musalmanon ke ijtimaat ka subhan Allah! Musalman ko musalman kar diya toofan maghrib ne in musalmanon mein unki aksariyat hai jo apne mulkon mein azad khayal aur modern mashhoor thay aur masajid se door bhagte thay. Yahan ki bebaki aur be rah rawi dekh kar in masajid mein hi unko sukoon milta hai. Mera ek aam tajziya yeh hota hai ke Allah yahan ki qoum ko mashriq ba Islam karde to yeh Islam ka sonehra tareen dor hoga kyunke is qadar qanoon ke, waqt ke, waade ke paband hain, haan apni zat ke lehaz se har ilhami qaida qanoon se azad hain. Parking lot mein hazaarain karain aur jab masjid ki parking par ho jaye to phir padosiyon se mustaar lia jata hai masha Allah in imaan walon mein aksariyat unki hai jo agli subah kaamon par jate hain-puri 20 taraweeh ki adaiygi hotay hotay aur ghar pohanchte pohanchte raat ka ek baj jata hai aur saarhay teen bajay sahri ka waqt ho chuka hai. Aksariyat 8 rakaat ke baad jachtay hain. Lekin baad mein bhi kafi rukay hote hain. Bahar lobby mein kayi dukanain saji hui hain. Khawatein ke parday ke lehaz se, abaya, qism qism ke hijab, digar lawazmat, topiyan, deeni kitaben, Quran pak, CDs, khajoorain, shehad, taghray aur Islami tehzeeb o aqdaar se hum aahang digar sajaavat ki ashiya baraye farokht hain. Mukhtalif log apne karobaron ke parchay taqseem kar rahe hain wo nojawan nasal jo yahan pal barh kar jawan hui aur jin ke maan baap ne maghrib ki be rah rawi dekh kar masajid mein panah ko ghaneemat jana. Unke apas mein milne ke moqay bhi munsar hain. Ek Islami mahol aur saqafat jis se behtar humare jaise musalman mumalik se anay wale bhi na ashna hote hain. Kyunke humare haan to behtar masajid mein khawatein ka dakhla hi mana hota hai. Pichle saal Lahore mein Bedian Road par Masjid Shahada mein jab namazain qaza horahi thi to bhai ke hamrah gayi uska khayal tha ke yahan khawatein ke liye kamra hai wazu khana ki taraf jate hue ek mohatarim rasta rok kar khade hue 'Bibi yeh mardon ka wazu khana hai' aur khawatein ka? 'Woh upar kamra hai' 'Upar kamre mein yun laga jaise muddaton se us kamreMain koi daakhil hi nahi hua, ek do darwazon ko dekha to taale pade thay. Tiemam karke qasr ada kiya. Ab to alhamdulillah motorway par masjid aur khawateen ke wazu khanon ka rawaj ho gaya hai. In mumalik mein har masjid mein khawateen ke liye behtareen beit-ul-khala aur wazu khanon ka aitmaam hota hai. Iftaar ke liye Jumma, Shaniwar, Itwaar community iftaar ka aitmaam hai jismein ek badi tadad shirkat karti hai. Khajoor aur pani ke iftaar aur namaz maghrib ki adai kiya baad khane ka silsila hota hai jo aam tor par lunch box ki soorat mein hota hai. In saat rozon mein hum ne ek iftaar ghar par kiya hai warna kisi na kisi tanzeem ki taraf se aitmaam hota hai. Mercy Mission Medina Canada jo noo musalmano ko kafi taqat aur imdad faraham kar rahi hai unke janib se ek pur takalluf iftaar ka aitmaam tha- noo musalmano aur jawano ki garmjoshi qabil deed thi. Yahan ki amomi zuban angrezi hai is liye jo aalim yahan ke lehje mein angrezi bolta hai aur yahan ka pala barha ya parha likha ho to nojwanon aur digar zaban bolne walon mein kafi maqbool hota hai. Urdu ka talluq sirf Urdu danon tak reh jata hai. Is barhte hue mazhabi josh o kharosh se hukumat Canada har gaz ghaafil nahi hai aur har masjid mein monitoring ke aalaat lagaye gaye hain balkay mukhtalif suragh rasan, jasoos bhi chhod rakhe hain. Toronto aur iske gird w nawah mein lag bhag do sau masajid hain, ek andazay ke mutabiq janubi Ontario mein lag bhag chhe lakh musalman hain jin mein se aksar toronto aur gird w nawah mein abad hain. Yahan ki chand digar badi masajid jin mein mein ja chuki hoon alfalah islamic center oakville, hamilton islamic center, anatolia islamic center, foundation masjid of canada scarborough jo nugget masjid ke naam se mashhoor hai, alhuda islamic center, jamia islamiya, dawat center, jami center, newmarket ki masjid, halton islamic center, masjid rahmat-ul-'alaamin, noor alharam masjid, masjid al-farooq, abu bakr masjid, milton islamic center aur be shumar digar chhote bade masjid hain jo mukhtalif imaratoin mein qaim hain. Sab se badi khubi in tamam masajid ki ye hai ke khawateen ke liye barabar ke mauqe maeassar hain aur woh barabar ki tadad mein aati hain is wajah se bar saghir ki woh tamam khawateen jo masajid aur unke adab se na-buland hoti hain woh in masajid mein jakar deen se kafi qareeb aa jati hain aur deen ko sahi taur par samajhne lagti hain ilawah azin poore khandan ke liye bahami mail jaul ka ek behtareen mauqa maeassar aata hai. Chhote bachon ko bhag dod ke ek wasi jagah jab ke nojwanon ko aapas mein gap shap ke liye ek umda platform mil jata hai. Aksar rishte bhi yahan jur jate hain. In tamam masajid aur idaron ki rishte tay karne ki saholiyat bhi hain aur mukhtalif mauqon par bahami mukhtasir mulaqat ke mauqe faraham kiye jate hain. Ramzan mein hi kafi falahi idaray apne chanday ki mang ki mehman chalate hain unko fund raising dinners kaha jata hai un mein ticket ke ilawa shirkao ko infaq fi sabeelillah par aksaya jata hai aksar log kafi bari raqam hidayat kar dete hain iske kafi mahir qisam ke muqarrar hain ek maqbool mahir brother ahmad shahab hain jo arabi nisbat hain aur quran, ahadees aur seerat ke lehaz se angrezi mein kafi ba asar taqreer karte hain shirkao bohot kuch hidayat karne par amadah hojate hain hazaron dollars ke atiyat ka ilan hota hai. Is zamana mein ecanada relief aur islamic relief ka dawat nama acha hai iske ilawa masajid apni chanday ki mehman aamooman khatam quran wali raat ko karti hain. Yeh tareeqa mujhe sab se acha laga ke auditor in tamam amadinon ka audit karte hain aur aksar bad anayat bhi samne ati hain. Beharhal yeh ek alag mawad hai- is waqt hum mah e ramzan ki barkat se mustafeed ho rahe hain aur hona chahte hain. ***