Denmark mein musalman 21 ghante ka roza rakhenge. Jabke Argentina mein roze ka dorania sab se kam hoga aur rusi shehar "Murmansk" ke shehri sehri aur iftari dono dhoop mein karenge. Zaraai ablagh ke mutabiq yahan roze ka dorania bees ghante par moheet hoga. Mah e Ramazan aur dunia bhar mein roze aur us ke dorania ke hawale se shaaye hone wali al Arabia ki dilchasp report ke mutabiq zameen ki soraj ke gird gardish ke sabab mukhtalif mumalik aur bare azamoon mein mah o saal ke auqat aur roz o shab mein aane wala farq Ramazan ul Mubarak mein dilchasp suratahal ikhtiyar kar jata hai jo insano ke liye hairat ke sath sath dilchasp ka baais bhi ban jata hai. Report ke mutabiq garmiyon mein Ramazan ki aamad ke sabab is tabdeeli ka farq sab se zyada rus ke shumali shehar "Murmansk" mein mehsoos hoga kyunke is shehar mein Ramazan ul Mubarak mein soraj bohot hi kam waqt ke liye ghuroob hoga jis ki wajah se yahan rehne wale musalman sehri bhi dhoop mein karenge jabke iftari karte hue bhi dhoop ki tamazat mojood rahegi, is shehar ke bashinde majma al fiqh al Islami ki janib se jaari kardah shariyat ki roshni mein sehri aur iftari ke intizamat tarteeb denge. Maqami zaraai ablagh ke mutabiq is mulk mein garmiyon mein din raat ka koi farq nahi rehta jabke sardiyon ke mausam mein baraks mamla hota hai. Din ke bajaye raat toweel ho jati hai aur din sirf do ghante ka hota hai jis ki wajah se sardiyon mein aane wale Ramazan ke roze yahan sirf do ghante par mohayya hote hain. Mahireen falakiat ke mutabiq is ki wajah "Murmansk" ke mosmi taghayyurat ke sabab is ka qutbi daire se bahir waqe hona hai jis ki wajah se yahan bais May se bais July tak basath din aise hote hain jin mein ek ghante ke liye bhi soraj ghuroob nahi hota hai aur wahan ke bashinde kisi subah ka nazara kar sakte hain na unhein kisi shaam se mahzooz hone ka moqa muyassir ata hai. Unhein chobees ghante soraj ki hiddat ka samna karna parta hai jabke sardiyon mein yakam december se gyarah january tak raat 23 ghanton tak phail jati hai. Is saal Ramazan chunke garmiyon mein araha hai is wajah se "Murmansk" ke musalman is deeni fareezay ko kafi mushqat ke sath ada karenge taham wahan ke musalman mazhabi iqtadaar ke hawale se bohot paband waqe huye hain aur ulamae karam ki janib se mutayyen kardah auqaat kaar ke mutabiq bees ghante ke bawajood din hi din mein roza rakhne ki saadat hasil karenge jo dunia ke kisi bhi mulk se munfarid iftari aur sehri hogi jabke Rus ke shehr Moscow mein raat teen baje se agli raat das baje tak roza rakha jaye ga jis ka dorania bees ghante bees minute hoga. Rus ke musalman zaraai ke mutabiq rusi hukomat ki janib se is saal kafi sakhtiyon ka samna hai aur hukommt ne mulk bhar mein kisi bhi masjid ke bahar namaz ki adayegi se manaa kar diya hai jis ki wajah se rus mein musalmano ko shadeed mushkilaat ka samna hai kyun ke Moscow samait rus ke tamam shehron mein musalmano ki aksariyat hai aur un ke liye masajid ki tadad bohot kam hai jabke nayi masajid tameer karne par pabandi aaid hai. Report ke mutabiq Denmark aur Norway ke musalman 21 ghante roza rakhenge. Is ke baad taweel roza rakhne walay mumalik mein iceland pahly number par hai jahan ke musalman bees ghante aur bees minute tak saim rahenge. Teesre number par Canada ata hai jahan ke musalman athaarah ghante roza rakhenge. Saudi Arabia, Muttahida Arab Emirates, England, Germany aur France mein solah ghante ka roza rakha jayega. Report ke mutabiq sab sy kam dorania ka roza Australia, South Africa aur Argentina mein hoga. Australia mein din ka dorania sirf das ghante rahega, isi tarah South Africa ke mumalik mein das ghante aur tees minute tak roze ka dorania ho ga, jo yahaan ke bashindon ke liye is saal garmiyon mein Ramzan ki aamad kaafi khushgawar aur suhat sabit ho rahi hai. Report ke mutabiq janubi Africa se bhi kam waqt ka roza bare azam janubi America ke mulk Argentina ke musalman rakhenge jahan din sirf faqat no ghante par moheet hoga. (Shukriya: Roznama Ummat Karachi - Hafta 21 July 2012)