Hikayat mashhoor hai ke Allah ka ek naik banda kisi safar par ja raha tha ke raaste mein uska guzar kooray cricket ke ek dhair par hua jahan kapron ke cheethray aur insano ke fuzla jaat pare the. Yeh apne naak ko lapait kar wahan se guzar raha tha ke gandagi se awaz aayi ke hum se kyun nafrat karta hai. Nafrat karni hai to apne aap se kar. Cheethron ne kaha ke humein to hamare banane wale ne bohat khubsurat banaya tha aur yeh hum hi the ke jin se tumhari khubsoorti mein izafa hota tha aur tum humein pahan ke utra, utra ke chala karta tha. Lekin tumhare jism ki musalsal sohbat ne hamara yeh haal kar diya ke ab humein koi dekhna bhi pasand nahi karta. Fuzla jaat ne kaha ke hum to asal mein rang birang aur khushbu daar khanay the. Yeh hamari khushbu hi to thi jo tum ko khane ke liye be tab kar deti thi. Aur yeh hum hi the ke jin ko hasil karne ke liye tum itni door dhoop kiya karte the. Hum to har qisam ki khushbu ka maskan the aur tum log hamari khushbuon ki misalein diya karty the. Lekin yeh tumhara jism hai ke jis ne hamara yeh haal kar diya. Tumhare jism ki singat ne hamari khushbu ko badboo mein aur hamare rang o roop ko koora cricket mein hi badal ke nahin rakha, balke tumhari sohbat ne to hamari haqeeqat hi badal kar rakh diya aur aaj hamara yeh haal ho gaya hai ke log hamari asal bhool ke humein gandagi aur kooray cricket ke naam se jaante hain. Yeh hikayat sahi ho ya na ho lekin haqeeqat yehi hai ke jo is mein bayan hui hai. Insani jism asal mein mukhtalif badbuon ka majmua hai. Paseena uska badbu daar, peshab paakhana uska badbu daar, thook balgham uska badbu daar, haiz nafaas uska badbu daar, reeh dakar uska badbu daar. Har achi se achi khushbu us jism mein ja kar badbu ban jati hai, yeh ajeeb machine hai. Lekin is se bhi ajeeb baat yeh hai ke woh madi jism ke jis ki asal badbu hai usko khushbuon mein badla ja sakta hai. Aur yehi to us ke khaliq ka kamal hai kyun ke khushbu ko badbu mein badalna to bohat aasan hai, asal to yeh hai ke badbu ko khushbu mein badal diya jaye. Aur yeh kisi insaan se khas nahin balkay har zamane mein har insaan jab chahe nuskha ilahi istemal kar ke apni badbu ko khushbu mein badal sakta hai. Aur yeh nuskha woh aamaal hain jo Allah ne apne anbiya ke zariye se ata kiye hain. Kisi ko yeh ghalat fehmi na ho ke in amaalon se us ke jism aur jism ke akhrajaat se khushbu ki lehren uthna shuru ho jayengi, yeh to nahin hoga albatta yeh zaroor hoga ke us ke aamal ki khushbu itni ghaleb aa jayegi ke jism ki badbu loghon ke mehsoosat se mawra ho kar reh jayegi. Aur khushbuon ki is manzil ki taraf sab se zyada jo amal raahnumai karta hai woh roza hai aur is safar mein sab se zyada jo muaawin banta hai woh Quran hai. Roza aur Quran sath sath chalte hain aur jo in ke sath chale us ki mitti sona, us ke patthar paars, us ke ansoo moti aur us ki badbu khushbu ban jati hai. Ramazan ek baar phir khushbuain bantne hum mein mojood hai. Hum chahein to pichle sare barson ka azaala is ek Ramazan mein kar sakte hain. Yaad rakhiye ke agar hum ne apne madi jism ki badbu ko rozay ki taqat se mughalub karne ki koshish nah ki to yeh balakhir hamari rooh ko bhi badbu daar bana kar rakh de gi aur yeh to aap jante hain ke jannat mein badbu daar roohain dakhil nah ho sakti. Roohon ko khushbu daar banane ka ek aur mauqa is Ramazan ki shakal mein humein ata hua hai. Is se faida uthaiye. Aisa na ho ke agle baras Ramazan ka yeh season hamari roohon ko khushbu daar banane ke liye aaye aur humein yahan na paaye.