Hazir hain tere darbaar mein hum, Allah karam, Allah karam Deti hai sada yeh chashm num, Allah karam, Allah karam Hibat se har ek gardan kham hai, har aankh nadamat se num hai Har chehre pe hai ashkon se raqam, Allah karam, Allah karam Jin logon pe hai inaam tera, un logon mein likh de naam mera Mehshar mein mera reh jaaye baram, Allah karam, Allah karam Har saal talab farma mujh ko, har saal yeh shehar dikha mujh ko Har saal karoon mein tawaf-e-haram, Allah karam, Allah karam Meri aane waali sab naslein, tere ghar aayein tera dar dekhein Asbaab hoon unko aise behm, Allah karam, Allah karam Is wird mein umr katay saari, honton pe sabaih rahe jaari Allah karam, Allah karam, Allah karam, Allah karam