Ek baparda aurat ne France ki ek supermarket se khareedari ki aur us ke baad woh aurat paiso ki adaiygi ke liye line mein khari ho gayi. Apni baari anay par woh check-out counter par aayi, jahan usay raqam ada karni thi, wahan usne apna samaan ek ek kar ke counter par rakh diya. Check-out par khadi ek be-parda musalman larki ne is aurat ki cheezein ek ek kar ke uthai, aur un ki qeematon ka jaiza lenay lagi. Thorhi deer baad usne naqab wali aurat gahak ki taraf narazi se dekha aur kehne lagi! Humain is mulk mein kai masail ka samna hai, in masail mein ek masla tumhara naqab hai. Hum yahan tijarat karne ke liye aaye hain, na ke apna deen aur tareekh dikhane ke liye. Woh musalman Arab aurat jo naam nahad Roshan Khayal thi apni be-huda taqreer jhaare ja rahi thi ke agar tum apne deen par amal karna chahti ho aur naqab pehnna zaroori samajhti ho to apne mulk wapas chali jao, jahan jo tumhara dil chahe kar sakti ho. Wahan naqab pehno, burqa pehno, topi wala burqa pehno, jo chahe karo magar yahan reh kar hum logon ke liye masail mat paida karo. Naqab pehnne wali aurat ek musalman aurat ke munh se nikalne wale alfaz par dam bakhud ho kar rah gayi. Apne samaan ko bag mein rakhate hue us ke haath ruk gaye aur achanak usne apne chehre se naqab ulta diya, counter par khari larki us ka chehra dekh kar hairan reh gai kyun ke naqab wali larki ke baal sunehri aur aankhein neeli thi, usne counter wali se kaha ''Main French larki hoon na ke Arab muhajir, yeh mera mulk hai, main musalman hoon...... Islam mera deen hai. Yeh nasli deen nahi hai ke tum us ki malik ho. Yeh mera deen hai aur mera Islam mujhe yahi sabak deta hai jo main kar rahi hoon. Tum nasli musalman ho kar yahan ke ghair musalmanon se maroob ho, dunya ki khatir khoof mein mubtala ho, mujhe kisi ka khoof nahi hai. Is French no muslim aurat ke yeh lafz to be-parda musalman auraton ke munh par tamanche the ke tum paidaishi musalmanon ne apna deen bech diya hai aur hum ne tum se khareed liya hai. Ek niji akhbaar mein jab main ne is no-muslim French larki ke bare mein parha to Roshan Khayal aur Islam ko backward yani purana aur farsuda nizaam kehne walon par afsos hua jin ki jholiyon mein jaddi pushti Islam jaisi nemat aagayi, unho ne is ki qadar na jani aur hijab ko farsuda rawayat keh kar utar phenka woh hijab jo us ke liye ek hifazati qilay ki hesiyat rakhta hai. Mujhe ek aur maghribi adakara ka waqiya yaad aya woh sahil samandar par nehane ke liye gayi ab usay apna libas utarna tha aur us libas mein jo ke baraye naam hai neem burhanah ho kar sahil par usay nahana tha. Yaqdam us ke andar ki aurat jagi, haya jo ke aurat ki fitrat hai, bedar ho gayi, us ke haath ruk gaye, ek musalman be-parda aurat ka sarapa us ki nazron mein ghoom gaya. Usne Islam ka mutalia karna shuru kar diya, kalma parh kar daire Islam mein dakhil ho gayi. Hijab orhna shuru kar diya. Ab is no-muslim ka kehna hai ke burqa ya chadar aurat ka hifazati qila hai jo usay shaitan aur bure insanon ki parhos aur bure nazron se mehfooz rakhta hai. Main in no-muslim auraton ke ehsasat aur jazbat ko daad de rahi thi ke ya Allah teri yeh farmabardar bandiyan, European muaashray ki paidaawar hain, unho ne deen Islam ko seenay se lagaya to us ke har hukum ka haq ada kar diya. Pabandi hijab ke bawajood istiqamat ikhtiyar ki, (Allah un ki madad farmaye, Ameen) aur idhar meri muslim behnon aur bachiyon ka haal dekho, abhi kuch din pehle main souda self kharidne ke liye ek super store par gayi, abhi samaan trolley mein rakh rahi thi ke tang paint aur mukhtasir shirt pehne hui larki mere samne aayi, makeup se chehra lathra hua, kehne lagi ke kaun sa toothpaste istemal karti hain, abhi main kuch boli nahi usne haath mein pakri toothpaste ki tareefain shuru kar di, maine kaha ke yeh to mein baad mein loongi pehle mujhe yeh batao ke kya tum musalman ho? Baray fakhr se goya hui: 'Jee aunty.' Main ne kaha: 'Tumne jo libas pehn rakha hai kya woh ek musalman aurat honay ke taqazoun ko pura karta hai,' kehti hai: 'Nahi aunty yeh to company walon ka libas hai, jo majburi mein pehnna parta hai.' B.A paas larki ghurbat ke haathon maari hui un multinational companies ke hathe charh jaati hai aur yeh multinational companies apni cheezon ko mutarif karwane ke liye jawan khoobsurat larkiyon ko thori thori tankhwahon par baray baray stores aur posh ilaqon mein door to door bhejte hain aur phir khuda ki maar libas bhi kafiron ka chuna hua. Behrhaal! Mery samajhne par mazkoorah larki ki himmat jagi aur usne wada kiya woh jald hi is be-huda libas se jaan chhuraye gi aur apne liye koi muaziz raasta talash kare gi. Haqeeqat yeh hai ke mein musalman beti ko kuffar ki chaalon ka nishana bante apni aankhon se dekh rahi hoon aur karh rahi hoon ke deeni tarbiyat ka fuqdan hai aur meri nojawan nasl kuffar ke bane hue jaal mein phansati ja rahi hai aur neem barhana haalat mein stores, chowkoun aur mashhoori ke liye lagaye gaye posteron ki zeenat banti ja rahi hain. Yehi neem barhana phirne walain jab Allah ke ghar se bulawa aa jaaye, hajj aur umrah ki adaigi ke liye jaayein to apne aap ko siyah abaaya mein chhupa leti hain. Yeh hukumat Saudiya ka hukm hai, kaash! Woh Quran ka mutala karein ke yeh Allah tabarak wa ta'ala ka bhi hukm hai. Surah Al-Ahzab mein Allah farmate hain: 'Aye Nabi! Apni biwiyo aur apni betiyo aur momino ki aurton se keh do ke woh apni chadaron ka kuch hissa apne oopar latka liya karein, yeh zyada qareeb hai ke woh pehchani jaayein (ke shareef zaadiyan hain) to unhein takleef na pahunchai jaaye aur Allah be had bakhsne wala meherban hai.' Yaad rahe! Allah tabarak wa ta'ala aurat ko seep mein band moti ki tarah chhupa kar rakhna chahte hain taake moti ki khoobsurti barqarar rahe. Buri nazron ke teeron se daaghdar na ho, lekin aurat apni kam ilmi ki wajah se deen se door hone ki bina par be-pardagi karti hai aur rab ke hukm ki nafarmani karti hai. Me ny apni bohot sari behnon aur betiyon ko dekha hai ke woh Allah ke hukm ka mazaq urraati hain, hajj aur umrah ki adaiigi ke liye gayi hain, abaaya aur chadar orh li, adaiigi kar ke wapas aayi to abaaya aur chadar ko almari ki zeenat bana diya, ke dobara jab Allah ke ghar jaayen gi tab pehn leingi. Ya phir jahan aurton ka deeni dars hota hai, wahan baaji be-parda jaane ki wajah se sharminda karti hain to is liye pehn liya. Khudaraa aisa karne wali meri behnein zara is baat par ghor karein ke kya woh Saudi hukumat se darti hain ya dars wali baaji se? Agar Allah ka hukm maan kar karti hain to Allah ka hukm to har jagah hai aur har waqt hai. Humein chahiye ke sahabiyaat ko role model banaayein aur un Europe ki noo muslim auraton ke kiradar dekhein jinhon ne Islam ka mutala kiya aur musalman aurat ban kar dikhaya. Allah sahih ma'noon mein musalman banne ki toufeeq ata farmaaye. Ameen sum Ameen.Shukriya www.ownislam.com ***