Be noor hoon ke shama-e-sar-e-raah guzar mein hoon Be rang hoon ke gardish-e-khoon-e-jigar mein hoon Andha hoon yun ke koor nigahon mein reh sakoon Behra hoon yun ke qissa na matbar mein hoon Zarre jawaan ho ke ufaq tak pohanch gaye Main itne maah o saal se batn-e-gehr mein hoon Mustaqbil-e-baeed ki aankhon ki roshni Aurun mein hoon, na hoon magar apni nazar mein hoon Lakhon shahadaton ne mujhe wastay diye Main shab-guzida phir bhi talash-e-sehr mein hoon Saffak bachpanon ka khilona bana hua hai Duniya ki zad mein panja shams o qamar mein hoon Main junglon ki raat se to bach agaya Ab kya karoon ke wadi-e-nau-e-bashar mein hoon Jee chahta hai misl-e-Zia tujh se mil sakoon Majboor hoon ke mahbas-e-deewar o dar mein hoon Main hamnashin-e-khalwat-e-shahnaz-e-lalah rokh Main garmi pasina ahl-e-hunar mein hoon Khawabon ke rahrawo, mujhe pehchannay ke baad Awaz do ke asal mein hoon ya khabar mein hoon Itni to door manzil-e-warfatgah na thi Kon raaston pe hoon ke abhi tak safar mein hoon Kaisa hisaar hai jo mujhe chorta nahi Main kis tilsam-e hosh ruba ke asar mein hoon Zindaan mein hoon ke apne watan ki faseel mein Izzat se hoon ke jism faroshon ke ghar mein hoon