Shikasta khawab o shikasta pa hoon Mujhe duaon mein yaad rakhna Main aakhri jung lar raha hoon Mujhe duaon mein yaad rakhna Hawaayein pegham de gayi hain ke mujhko dariya bula raha hai Main baat saari samajh gaya hoon Mujhe duaon mein yaad rakhna Na jaane kofay ki kya khabar ho Na jaane kis dasht mein basar ho Main phir Madine se ja raha hoon Mujhe duaon mein yaad rakhna Mujhe azeezan-e-man! Mohabbat ka koi bhi tajurba nahi hai Main is safar mein naya naya hoon Mujhe duaon mein yaad rakhna Mujhe kisi se bhalai ki ab koi umeed nahi hai Taabish Main aadatan sab se keh raha hoon Mujhe duaon mein yaad rakhna