Woh ek khamosh taba aur mehnati ustad hain. Un ke haan doosri beti ki paidaish ke baad main ne un se poocha ke aap ne is ka kya naam tajwez kiya hai? To unhone kaha, 'Raeesa Fatima'. Main ne kaha, yeh naam rakhne ki koi khaas wajah? Woh thori der ke liye mazeed khamosh ho gaye aur phir unhone kaha, haan is ki ek wajah hai. Main hamataan gosh ho gaya kyunki aise log apne dil ki baat kam hi share karte hain. Unhone kaha, school mein meri ek teacher thin, un ka naam tha, Raeesa. Main ne apni beti ka naam un ki yaad mein rakha hai. Aur jab woh yeh baat keh rahe the to main un ke chehre ke tasurat se mehsoos kar raha tha ke woh kahin bohat door yaadon ki dunya mein pohanch chuke hain jahan kuch sapne hain aur kuch apne hain jo un ke liye baanhain kholay khare hain. Main ne kaha ke aap ki is teacher ki khaas baat? Woh kehne lage ke mujhe math se sakht nafrat thi primary tak mera yehi haal tha. Yeh meri teacher thi jis ki mohabbat ne mujhe math ka ghrwida bana diya, aur aaj tum dekh rahe ho ke main math teacher hoon. Woh kehne lage ke yeh teacher mujh se bohat mohabbat karti thin. Mujhe apne paas bithati thin. Baray pyaar se math samjhati aur mujhe batati ke tumhare liye math parhna koi mushkil nahi. Woh kehne lage ke main un ke husn sulook se itna mutasir hoon ke aaj tak unhe yaad karta hoon. Lekin woh mere school ke baad apni family ke saath America shift ho gayin aur us ke baad un ka kuch pata na chal saka ke woh kis haal mein hain. Kehne lagy ke main jab bhi India jata hoon to airport par meri nigahein unhein talash karti rehti hain ke shayad woh bhi kisi American flight par yahan pahunchi hain aur main unhein salaam kar sakoon. Main ne un ka yeh jazbah ek aur teacher ke saath share kiya to woh apne bare mein batane lage, ke woh aaj agar parhe likhe jaany jatay hain to yeh bhi ek teacher ki mehnat ka sadqa hai. Woh kehne lage ke un ke liye teacher ka matlab mahaz marpet tha. Aur woh hamesha school se bhagne ke mansoobe banate the lekin jab ek Hindu teacher mili aur unhone mere sar par haath pherna shuru kiya aur mujhe yeh bawar karana shuru kiya ke mujh mein kitni salahiyat hai to meri duniya hi badal gayi. Woh kehte hain ke mujhe bohat acha lagta ke teacher mujhe apne paas bithati hain, mujh se pyaar se baat karti hain aur mujhe beta kehti hain. Un ke pyaar ne mere ander se ek naya talib ilm daryaft kar liya jo apni class mein top karne laga. Talib ilm ki taleemi aur akhlaqi taraqqi mein jo cheez sab se ahem kirdar ada karti hai woh ustad ki apny talib ilm se mohabbat hai aur un ke liye dua karna hai. Talib ilm ke dil ki duniya ustad ki taleemi digarun, maharat, takneek, tajurbay ya jadeed samai o basri aalaat ke istemal se nahi badalti balkay yeh ustad ke apne dil ki halat hai jo us par asar andaz hoti hai. Ustad ki baqi sab maharat aur qabliyat us ke matehat hai. Ustad apne talib ilm ke liye jo jazbah aur dard apne dil mein rakhe ga, woh bina kuch kahe bhi us tak muntaqil ho jaye ga aur agar ustad apne dil mein tau shagirdon ko lootne ka jazbah rakhe aur inhen tuition ke liye phansne ke nuskhe dhoondne ki fikar mein rahe aur zuban par intehai taleemi aur takneeki guftagu laye to shayad waqti tor par talib ilmon ko mutasir kar le ya kuch maloomat un tak muntaqil kar sake magar un ko ilm de sake aur un ki zindagi tabdeel kar sake yeh mumkin nahi. Main ne class mein ane wale ek naye bachay ko ek thappar lagaya to woh naraz hua aur ghuse se kehne laga ke aap ne mujhe kyun mara hai? Is se pehle ke main koi jawab deta, us ke sath baitha hua doosra bacha goya hua, ''beth jao, tumhe pata nahi, sar, ka asal mein haath marta hai dil nahi''. Is bachay ka yeh jumla mere liye bohat bara aizaz tha, aaj woh bacha pata nahiN kahan hai lekin jab bhi mujhe yaad aata hai mein us ke liye dua karta hoon. Gyarahvi jamaat ke ek lambay tarrangay aur sehat mand talib ilm ko chemistry ke ek chhotay se ustaad ne mara to agle din woh apni maan ko le aya. Mein ne us se kaha, Talha tumhein sharam nahi aayi, tum apni walida ko kyun le aaye. Ustaad ne agar tumhein ek thappar laga hi diya tha to kya qayamat aa gayi thi. Kahne laga sar ji thappar ki baat nahi. Aap agar mujhe ground mein khara kar ke jootiyan bhi maarenge to mein uff tak nahi karoonga. Lekin usne mujhe kyun mara hai? Mein ne kaha Talha woh bhi tumhare ustaad hain. Kahne laga nahi sar ji aapko nahi pata yeh hum se nafrat karte hain. Mein hairan tha ke jazbay ban keh bhi kis tezi se muntaqil howa karty hain, halankeh woh apne subject ke bohat qabil ustaad the lekin woh waqatan in bachon ko pasand nahi karte the. Bad qismati se taleemi idaroon ki intizamiya bhi is haqiqat se be khabar hai. Woh bhi yeh samajhti hai ke ustaad ko courses karwa ke, workshops munqad karwa ke aur kuch gur sikha ke acha ustaad bana sakenge. Yeh un ki bhool hai. Ustaad apna kaam puri lagan aur mehnat se kare is ke liye har intizami harbe se zyada moasser us ke dil mein akhirat ka astehsaar paida karna hai aur ustaad yeh chahe ke us ke talib ilmon ki zindagi badal jaye to is ke liye har taleemi takneek se zyada ahem talib ilmon se dil se mohabbat karna hai. Hum dekhte hain ke mazi mein tatt aur boriye par bethne wale, deewaron aur reet par sawal samjhane wale aur diye ki roshni mein talib ilmon ko parhane wale ustaad ki mohabbat ne kaise kaise aala talib ilm paida kiye aur aaj internet, samai basri aalaat, electronic boards, behtareen furniture aur har jadeed sahulat se arasta mahol mein parhaane wala ustaad kaise kaise radi shagird paida kar raha hai, yeh sab ke samne hai. Yeh theek hai ke is mahol mein bhi chand achay talib ilm mil jayenge lekin agar taqabul kiya jaye to mazi mein har sahulat se mehroom mahol mahaz ustaad ki mohabbat ki badolat kitne behtareen talib ilm paida kar raha tha is ka tanasub yakeenan aaj se kahin zyada hai. Hum asal mein har jagah conceptual misconception ka shikar ho chuke hain mazhab, riyasat, siyasat ki tarah taleem ki dunya bhi lafz-e-inqilab ka ghalat mafhoom ikhtiyar kar chuki hai jis tarah mazhab mein chand rasmon ko pura karna inqilab, siyasat mein jalsay juloos, nare baazi aur tor phor inqilab, aur riyasat mein chand qawanon banane ka naam inqilab samjha jane laga hai. Isi tarah taleem ki dunya mein taleemi idaroon ki bari bari imaratein tameer karna aur unhe har sahulat se arasta karna inqilab samjha jane laga hai halankeh taleem ki dunya mein inqilab asal mein talib ilmon ki zindagiyan badalne ka naam tha. Zindagi ka rukh badal jana yakeenan aik bara inqilab hai aur yeh bara inqilab mohabbat karne wala ustaad bari building ke baghair bhi barpa kar sakta hai. Safha ki tareekh bhi is pe shahid hai aur Rasool Allah (ﷺ) ki baqi seerat bhi aur Rasool (ﷺ) ki seerat se bara saboot aik haqiqi musalman ke liye aur kya ho sakta hai?