Aflaatoon apne ustaad Socrates ke paas aaya aur us se kehne laga "Aap ka naukar bazaar mein khare ho kar aap ke baare mein harzah saraai kar raha tha." Socrates ne muskurakar poocha "Woh kya keh raha tha?" Aflaatoon ne jazbati lehje mein jawab diya "Aap ke baare mein keh raha tha." Socrates ne haath ke ishaare se use khamosh karwaya aur kaha "Aap yeh baat sunane se pehle use teen ki kisauti par rakh kar tajziya karo aur uske baad faisla karo kya tumhein yeh baat mujhe batani chahiye." Aflaatoon ne arz kiya "Ya ustaad teen ki kisauti kya hai?" Socrates bola "Kya tumhein yakeen hai tum mujhe jo baat batane lage ho yeh baat sau feesad sach hai." Aflaatoon ne foran inkar mein sar hila diya. Socrates ne hans kar kaha "Phir yeh baat batane ka tumhein aur mujhe kya faida hoga?" Aflaatoon khamoshi se Socrates ke chehre ki taraf dekhne laga. Socrates ne kaha "Yeh pehli kisauti thi. Hum ab doosri kisauti ki taraf aate hain. "Mujhe tum jo baat batane lage ho kya yeh achi baat hai?" Aflaatoon ne inkar mein sar hila kar jawab diya "Ji nahi yeh buri baat hai." Socrates ne muskurakar kaha "Kya tum yeh samajhte ho tumhein apne ustaad ko buri baat batani chahiye?" Aflaatoon ne inkar mein sar hila diya. Socrates bola "Goya yeh baat doosri kisauti par bhi poora nahi utarti." Aflaatoon khamosh raha. Socrates ne zara sa ruk kar kaha "Aur aakhri kisauti. Yeh batao woh baat jo tum mujhe batane lage ho kya yeh mere liye faida mand hai?" Aflaatoon ne inkar mein sar hilaya aur arz kiya "Ya ustaad yeh baat har gaz aap ke liye faida mand nahi." Socrates ne hans kar kaha "Agar yeh baat mere liye faida mand nahi to phir uske batane ki kya zaroorat hai?" Aflaatoon pareshan ho kar daayein baayein dekhne laga. Socrates ne guftagu ke yeh teen asool aaj se chobees sau saal pehle wazay kar diye thay. Socrates ke tamam shagird us par amal karte thay. Woh guftagu se pehle baat ko teen kisautiyon par parakhte thay. Kya yeh baat sau feesad durust hai? Kya yeh baat achi hai aur kya yeh baat sunne walon ke liye mufeed hai? Agar woh baat teenon kisautiyon par poori utarti thi to woh be dhadak baat kar dete thay aur agar woh kisi kisauti par poori nahi utarti ya phir us mein koi ek element kam hota to woh khamosh ho jaate thay. Maine maghrib mein zyada tar logon ko is asool par kaarband dekha. Tourn Italy ka ek khoobsurat shehar hai. Yeh shehar Switzerland ki sard hadd par waqe hai aur yeh apni achi hamsaai ki wajah se bohat khoobsurat, puraman aur sehat afzaa shehar hai. Yeh do hazaar saal purana shehar hai. Shehar ke darmiyan se darya Po guzarta hai. Yeh darya shehar ke husn mein mazeed izafa kar deta hai. Tourn International Labour Organization ka training center hai. Mujhe 2009 mein is center mein International Labour Organization mein chhota sa course karne ka mauqa mila. Main ne wahan se kuch aur seekha ya nahi seekha yeh alag baat hai lekin mujhe Socrates ka yeh formula seekhne ka mauqa zaroor mila. Hamare tamam ustaad Italian thay. Course ki instructor darmiyani umar ki khatoon thi. Course ko ardi netr base saal ki nojawan larki thi aur markazi ustaad hamari umar ka tha.wan filp tha. yeh be intiha mustaid aur mahir log thay. mere group mein aath log thay, un mein misr ki darmiyani umar ki ek khatoon bhi shamil thi. yeh khatoon laabali, ghair zimmedar balkay thori si badtameez bhi thi. yeh aam tor par group ko chhod kar cafe teria chali jati ya phir center ke pub mein baith jati thi. ek din filp ne mujh se poocha, "aapka group kaisa chal raha hai?" maine pakistani rawayat ke mutabiq group ke logon ki ghaybat shuru kar di. mera sab se bara hadaf misri khatoon tha. filp khamoshi se sunta raha. maine peet bhar kar ghaybat ki aur is ke baad sarshari ke aalam mein filp ko dekhne laga. filp ne meri ghaybat par kisi qisam ka tabseer kiye baghair mujh se poocha, "kya aapne apni research mukammal kar li?" maine haan mein sir hilaaya aur is ke baad usse batana shuru kiya mere group ke kis larke aur kis larki ne internet ki kis kis site se mawad chori kiya hai. filp is par bhi khamosh raha. main sach bol bol kar thak gaya to usne mujhe bataya hamare center mein wifi ki sahoolat bhi mojood hai agar aapko us ka password darkar ho to aap meharbani kar ke reception se le len aur woh us ke sath hi wahin se uth kar chala gaya. mujhe us ka rawiya bohat bura laga, mujhe mehsoos hua us ne mujhe response na de kar meri tauheen ki hai. main be izzati ke ahsaas mein jalne laga lekin phir mujhe achanak mehsoos hua filp suqrates ke teen asoolon ka waris hai. us ne dekha meri baat ki sachai mashkooh hai, yeh baat buri hai aur is baat ka usse koi faida nahi channanche us ne is mein kisi qisam ka interest zahir nahi kiya. haan albatya woh murawwat ya akhlaqiyat ki wajah se meri baat sunta raha. maine jermani mein ek bar ek jerman sahafi ko hitler ke latife sunana shuru kiye. main joon joon latife sunata gaya woh hansne ya qehqaha lagane ke bajaay sanjeeda hota gaya. main sharminda ho gaya aur maine us se poocha, "tum mere latifon se lutf andooz nahi ho rahe?" usne sanjeedi se jawab diya, "yeh jhutay latife hain, hitler aisa nahi tha. doosra hitler ki batain dunia ke be shumar logon ko takleef deti hain. main unhein acha nahi samajhta. aur teesra yeh fazool aur be ma'ni cheezein hain, hum un se zyada achi guftagu kar sakte hain. chalo aao mausam ki baat karte hain. jermani mein is saal sardian bohot deer se aa rahi hain. meri sharmindgi mein izafa ho gaya. maine ek bar america mein ek japani se nagasaki ke atomic hadse ke bare mein poocha, usne ghor se meri taraf dekha aur sanjeedi se bola, "hum japani 1945 ke waqie ko bura khwab samajhte hain, channanche hum us ka aam tor par zikr nahi karte. aap mujh se achi batin poocho. aaj kal tokyo mein cherry blossom ka season hai. hamare shehar mein cherry ke phool khile hue hain aur main un phoolon par jaan deta hoon. maine us se kaha, "tum is zikr se khauf ho?" usne foran jawab diya, "nahi, hum bahadur qaum hain, humne do do atom bomb sahe hain. aap puri duniya mein japan ke baad koi doosra mulk batao jis ne atom bomb ki tabahi sahi ho magar hum us ke bawajood sirf pandrah barson mein apne qadmon par khade ho gaye thay. lekin hum japani samajhte hain, humein logon ko apne dukh suna kar un ka mood kharab nahi karna chahiye. humein be fayda batoon mein bhi apna waqt barbaad nahi karna chahiye." maine us se poocha, "kya tum america ko is ka zimmedar nahi samajhte? kya japani america se nafrat nahi karte?" usne hans kar jawab diya, "mere bhai, hamari nafrat doosri jang e azeem ke sath hi khatam ho gayi thi. hum agar is nafrat ko 'keeri' karte to hum aaj bhi nagasaki aur hiroshima ke mlebey par baith kar gireh o zaari kar rahe hote. insaan ko mohabbat hi se fursat nahi milti ke yeh nafrat bhi shuru kar de. hum be fayda ya fazool cheezon mein nahi uljhte." meri sharmindagiY barh gayi. Yeh meri zindagi ke chand waqiat hain jab mein ne darjon martaba Europe, America aur Mashriq ba'eed ke logon ko Socrates ke teenon asoolon par amal karte dekha, yeh ghaibat, chughl khori aur manfi batoon se hamesha parhez karte hain jab ke hum mein yeh teenon buri aadatein mojood hain. Hum har baat ko tabligh samajh kar phelate hain aur hargiz hargiz yeh nahi sochte kiya yeh baat sach bhi hai, hum yeh bhi nahi dekhte yeh baat achi hai aur hum yeh bhi andaza nahi karte humein ya sunne wale ko is ka koi faida pohanch raha hai? Hum baat ko kisooti ke teen asoolon par pehray baghair usay phelate chalte jaate hain aur ek lamhe ke liye nahi sochte hamari is harkat se kitne logon ko takleef pohanch rahi hogi. Aap ko yaqeen na aaye to aap aaj ke SMS dekh lejiye, aap ko har doosra SMS jhoota, bura aur be fayda milega. Aap kabhi apni guftagu record kar ke sun lein, aap yeh dekh kar hairan reh jayenge aap ki zyada tar baatein suni sunai, buri aur be fayda hain. In baaton se sunne wale ko koi faida nahi hota, in se us ki pareshani mein izafa hota hai aur yeh baatein khilaf haqiqat ya galat bhi hain. Hamare is rawaye ne pure muashray ko bemar kar rakha hai, hum agar baat karte hue is baat ko Socrates ke teen asoolon par pehray lein to hamare muashray ki enlightment mein pachas percent kami aa sakti hai. Hum aur hamare ird gird mojood log seekh sakte hain, warna doosri surat mein hum buri batoon ke keechad mein dafan ho jayenge aur buri khabron ke changal mein buri khabar ban kar reh jayenge. (Shukriya Roznama Express)